Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Ruling On Gaze & Definition Of Temptation

  • Ruling On Gaze & Definition Of Temptation

    Posted by MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER on February 24, 2024 at 11:29 am

    https://youtu.be/2YYlruf7WNA?si=zJNJuqAzCo2SpSSy

    Ek dafa is video ko dekhiye Fitne ki definition jo batai gai hai kya dusrust hai?
    Thoda confusion me hoon ek to is video k hawale se dusra ek khadsha hai, kya kisi ki jamaliyat se mutassir hona example same ya opposite gender ko khubsurat mahsoos karna appreciate karna , har dafa se lust hi ki wajh se hota hai? Like aap k khaas bahen hai ya dusre cousin hai ya aapke mangetar hai ,unka chehra pasand aana khushi mahsoos hona,ye lust hi ki wajh se hota hai? Ya generally jis tarah kisi chote bache par pyar aata hai ye b usi tarah hai? Nazaar neeche karne se muraad kya aisi Nazar jisme pasandigi aur appreciation ho aur Lust na hoon wo b jaiz nahi?
    Koi riwayat hai ap hazrat k ilm me Jo bata sake ye sub culture ka hissa hai?
    Neez is me Jo gazze basar k hawale se bataya gaya hai kya wo durust hai mard k liye

    @Irfan76 @UmerQureshi

    MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER replied 2 weeks ago 2 Members · 9 Replies
  • 9 Replies
  • Ruling On Gaze & Definition Of Temptation

    MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER updated 2 weeks ago 2 Members · 9 Replies
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar February 25, 2024 at 11:16 pm

    There are no such restrictions mentioned in the Quran or hadith. Both can look at each other in a normal way. The instructions are given in Surah Nur 24: 30-31

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member March 28, 2024 at 10:05 am

      @Irfan76 aap ki bat se 100% sehmat hoon shykh lekin confusion is baat se horahi hai ! Pahle inho ne kaha k nikah k pasand karna jaiz hai phir yehi kate hain k agar kisi aurat ko ya mard ko kisi se nikah karne ki chahat hai kisi se ab uske liye use dekhna jaiz nahi kyu wo uske fitne hai!

      Neez mujhe ek clear cut wazahat bhi dijiye kya mahes kisi k husn o Jamal se jo bil umuum Zahir hote hai us se mutassir hona kya yani mahram ho ya ajnabi unke ausaf se mutassir hona jisme husn o Jamal b shamil hai bagair shehwat k, kya yahi fitne ki tareef hai aur yaha b hurmat hai?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar March 29, 2024 at 12:14 am

    جیسا کہ پہلے بھی بتایا جا چکا ہے بہت وضاحت سے کہ حسن خواہ قدرتی مناظر میں ہو، یا مرد یا عورت میں یا بچے یا بچی میں انسان کو متاثر کرتا ہے۔ ہر جمالیاتی احساس شہوت پر مبنی نہیں ہوتا۔ جب شہوت ہوتی ہے تو انسان کو معلوم ہوتا ہے اس وقت اسے خود کو قابو میں رکھنا ہوتا ہے اور وقار بناءے رکھنا ہوتا ہے۔

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member November 25, 2024 at 12:34 am

      @Irfan76 is par kalam kijiye sir husn k hawale se

      ” وَّلَوۡ اَعۡجَبَكَ حُسۡنُهُنَّ “

      ( اور نہ یہ کہ ان بیویوں کو چھوڑ کر اور بیویاں کرو خواہ ان کا حسن تم کو (کیسا ہی) اچھا لگے مگر

      Yaha par jab Allah ne Nabi alaihisalam se kaha k aap ko kisi khatoon ka husn kitna hi accha Lage! Isme sirf jisni raghbat ki buniyad par accha lagne ki Haqeeqat batai gai hai ?yani is baat par k khilqi aur jamalyati lihaz se koi accha lagna iski nafi ki gayi? yani is jazbe ko bhi jinsi shehwat par mahmool Kiya gya? maslan aizza aqraba ki ! Is se ye murad Lena k jab paigambar bhi kisi k Zahiri husn Ko bagair shehwat mahsoos nahi kar sakte to aam admi bhi bina shehwat k husn o Jamal se mutassir nahi hote ! Baaz log har tassur ko shehwat par mahmool karke har nazar par badnazri ka itlaq karte hai ,is ayat se mard ki nature ko khalis sexual batakar!

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar November 26, 2024 at 12:45 am

    یہ جمالیاتی حسن ہے۔ اس میں جنسی کشش محسوس ہونا کوئی مانع نہیں۔

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member November 26, 2024 at 1:13 am

      Agar ye mana nahi hai to phir ankho na zina kisi kahte hai? Aap ne rahnumai farmai k nazaro k shehwat k ghalbe se bajao! To ye usme kyu daqil nahi?

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member December 8, 2024 at 5:12 am

      @Irfan76 iska jawab bhi arz kardijiyega

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar December 9, 2024 at 1:26 am

    بری نظر ڈالنے کو آنکھوں کا زنا کہتے ہیں۔ یعنی جو محسوس ہو رہا ہے اس کے تقاضے پر عمل کرتے ہوئے عورت کے جسم پر بری نظر نہ ڈالی جائے۔

    جب لوگ اپنی تہذیب کر لیتے ہیں تو وہ اپنی نظروں کو حد ادب میں رکھتے ہیں۔ اس کا یہ مطلب نہیں ہوتا کہ دل میں کچھ محسوس بھی نہیں ہوتا۔ اسی احساس کو حد ادب میں رکھا جاتا ہے۔

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member January 6, 2025 at 3:31 am

      Acadmic discussion k liye puchraha hoon shykh alhamdulillah aap ki hidayat se bhot mustafid hua hon! Gazz e basar ki jo tabeer karte hai kuch ulama ,jaha fitna hi waha nazar neeche karne ko kahte hai,Jab ammi Aisha RA ko nabi alaihisalam ne habshiyaon ka khel dikhaya usme wo log kale the isliye Nabi ne dikhaya ,aur unme maktoom RA riwayat me jaha nabi alaihisalam ne k tum na bina nahi ho ,apni azwaj se ,to allama Nawawi rahimahullah ne is hadees ko nabi gairat k sath khaas Kiya,jab k maloom hai k ye hadees zaef hai, my chahta hoon k in hadees par aap kalam karein,kya iski sanad me iqtelaf hai?

      Mazeed aisa lagta hai k fitne ko define karne me extrime rawaiyye nazar aate hai, kuch ulama k yaha,yani halka sa jamaliyati ahsas b sexual nature ka hota hai aisa batate ,basa auqat hum jins se b nazar jhukane ka hukm dete hai ,aur ek layman bhot mushkil me padjata hai in opinions k samne! Fitne ki asal khuda aur uske rasool ki taraf se kya tareef hai? In dono sawalo par meri rahnumai kareien

You must be logged in to reply.
Login | Register