Forums › Forums › Youth And Islam › Different Understanding Of Religion By Different Scholars
-
Different Understanding Of Religion By Different Scholars
Posted by Alishbah Zaffar on March 2, 2024 at 6:42 amCan anyone tell me how dr israr is so extreme about Islam Islam tu bht wasih Aur Asaan deen hay tu dr israr itna complicated kar k Q btaty thy I can’t understand his videos
But Haan Ghamidi sahab ki baatin samjh aati hain
Alishbah Zaffar replied 10 months, 3 weeks ago 2 Members · 3 Replies -
3 Replies
-
Different Understanding Of Religion By Different Scholars
-
Mohammad Ali Soomro
Member March 2, 2024 at 8:59 amAap ke saamne Jo baat aaya kare toh yeh jaanne ki Koshish Karen iski daleel Quran aur sunnat me Kiya pesh ki jaarahi hai. Agar koi daleel di jaati hai maslan kisi Quran ki ayar pesh ki jaati hai jiski bina bar koi alım baat karraha hai, toh ussi Qurani ayat ko dusrey Quran ko achhi taraha samjhne waalon ki ussi maqam ki tafseer dekhen. phir jis ki baat wazni lage toh uss par qaayam rahen.
lekin aik bohat ehem cheez yeh hai ke kisi sawal ka jawab, jald baazi aur zehni afra tafri me talash karne ke bajaaye. khule, halke aur rahat waley dimag ke Saath samajhne ki Koshish Karen. baaz auqat jaldi aur iztrar(anxiety) me sawal Ka jawab dhoondne me zehan bohat si details miss kardeta hai. ya toh kisi aik side ki taraf se biased( yak tarfa) hokar sochta hai.
Misal ke tor pe, aik adamı jo aik kam saalon se karta aaraha hai, bohat zyada time se, us kaam ki uski zindagi me bohat ehmiyat hai. achanak jab usse khabr milti hai ke woh cheez Haram hai, toh woh nihaayat iztrar mein pohanchta hai. aur uska zehan us khabr ko confirm karte waqt (ke yeh cheez waqai Haram hai ya halal) anxiety me hota hai, aur woh jald aik jawab chah raha hota hai. aur yeh dilme chaahat bhi hoti hai ke ‘yeh cheez halal Nikal aye, kaash’.
us waqt Agar toh uski shaksiyat skeptical (shakki mizaj) ki hoti hai toh woh har har daleel me chhaan chhaan ke Haram hone ke ishaare talash karta hai. uska zehan uske qaabu se baahir hokar har daleel me sochta hai. essa shakhs jis cheez se jitna darta hai, uska zehan utna hi usko wahaan dhakelta hai aur woh ussi cheez ko haqiqat samajhta rehta hai, ya Baar Baar shakk me parta rehta hai “Kya pata yeh yoonh toh Haram nahi horahi? Kya pata ese toh Haram saabit nahi horahi?”. is rawayye me woh bajaaye puri baat ko samajhne ke. iztrar aue jaldi jawab Milne ki Koshish me, sırf utna hissa dekhega jisse kahin Haram hone Ka ishara mile (chahey kitna hi kamzor kyun na ho). bas phir us cheez ko uska zehan pakkar leta hai. baat ko aql ke bajaaye taasur aur jazbaat se samajhta hai
us ke bar aqs. Agar kisi shakhs ki heela nikalne waala mizaj hota hai. yani jab uska batin gawahi bhi de raha ho ke yeh Haram hai. phir bhi woh usko kisi na kisi tareeqe se halal karne ki Koshish me Laga rehta hai. esa shakhs bhi puri baat ko samajhne ke bajaaye. sırf utna hissa dekhega jisse koi halal hone Ka ishara mille (chahe kitna kamzor kyun na ho), woh usko pakarke, halal Ka fatwa deke bhaag Jayega.
-
Mohammad Ali Soomro
Member March 2, 2024 at 9:19 amsahi rawayya yeh hai ke samjhne ke Saath Saath Khud ko us iztrar me na mubtila hone den. us cheez ke Haram nikalne aur phir usse chorne ki waja se Jo dunyawi mushkilat pesh ayengi, unpar iss waqt na sochiye jiss waqt aap tehqeeq karrahin hain. warna woh aapko yak tarfa dhakel sakti hai.
iska achha namoona yeh hai. ke misaal ke tor pe aap Deen ke kisi ese masle ke bare me parh rahi hon, jiske halal ya Haram hone se aapki Zindagi me koi change nahi ayega. maslan aapki koi aulaad nahi, aur na koi jaidaad hai. toh is waqt aap wiraasat ke qanoon ko parhengi, toh kitne relax aur thande dimag ke Saath puri baat aur dallail samajhte huwe parhengi. kyun ke apko koi aulad me batwaara karte huwe kisi bete/beti ya rishtedar se muzahmat ka khhayal o dar nahi hoga. toh issi tarha har baat ko thande aur khule dimag se samajhne ki Koshish karen.
aur doosri ehem cheez waqt ka guzarna hai, Kuch cheezen Shuru me samajh nahi aatin, aahista aahista waqt ke Saath khulti aur samajh me aane lagti hain. apne tasur aur samajhne ki galatiyan bhi khulti jaaati hain. aur doosron ki kahi baat ki weakness bhi saamne aati hai. yeh sab waqt ke guzarne ke Saath saath hoti Rehti hai. isse bhi zehan me rakhna chahiye aur jald baazi nahi machani chahiye iztrar ki kaifyat me. iztrar ki kaifyat mein bohat si cheezen insan galat samajh jata hai. jab koi chez aapko Haram hone Ka zyada khadsha ho, usse filhal chor kar uss par thande dimag se tehkeek karte rahen.
kabhi kabhar iztrar me samjhi aadhi baat bilkul koi aur najeeta nikaalti hai. aur ussi baat ko pura pura aur thande dimag se aur puri baat samajhne par woh koi aur nateeja balke opposite nateeja nikalti hai. toh use bhi zehan me rakhiye
-
Alishbah Zaffar
Member March 2, 2024 at 9:28 amThankyou itna Acha smjhanay k liye
Sponsor Ask Ghamidi