-
Ghair Ikhlaqi Nafsyaat
Assalamualaikum Ghamidi Sahab,
Umeed hai k aap khairyat se hain.
Agar ek 42 saala admi 6 saal ki umer se lay k 16 saal tak taqreeban rozana ki bunyaad per ghair ikhlaqi ka shikaar raha ho, or uss mahol main uss ko kaafi saal tak ghair ikhlaqi films dikhai gyee hon. Uss k maa baap iss se bilkul khabardaar nahi they. Uss bachay ki soch or nafsyat ki bunyaad hi ghair ikhlaqi hai, Iss tarha k mahool main parwarish paanay walay k liye bhi fahashi ki saza wohi ho gi jo ek aam insaan ki hai?
Kya aisa insaan khud ko gunah se bachanay k liye ek se zyada nikah kar sakta hai?
Sponsor Ask Ghamidi