-
Quran 33:32 -Was This Directive Specific For The Wives Of The Prophet (sws) Only
@Irfan76 Jaha par surah ahzaab me kaha gaya hai k ( laa tahza’na bil qaul) kuch ulama ne is se narmi se bat na Karo
Ghabrakar baat na Karo
Dabi awaz me baat na Karo
Awaz me mithas na paida Karo ,muraad liya hai
Farahi ulama k nazdeek ye hukm azwaj e mutahharat k liye khaas hai siyaq o sabaq ki raushni me
Digar ualama k nazdeek ye azwaj k hawale se tamam aurto k liye hi.
Kyu ke dil me marz sabhi k hota hai isliye baat me narmi Lana haram hai muskurana aur shafqat o mohabbat se b baat karna na jaiz hai!
Kyu k aurat ko mana hai k kisi ko attract karne k lahje me baat na kare Zahir hai jab wo hasi khushi baat karegi to attraction hoga hi!
Agar farahi ulama k nazdeek ye hukm azwaj e mutahharat k liye khaas hai to digar khawateen ko jaiz hai flirting jaisi voice apnana ,
Kyu k (tahza’na)ko kuch ne translate Kiya hai soft,low,polite, generous, flirty, affectionate voice se ,
Sawal ye aata hai is lafaz se asalan kya muraad hai ? Agar ise flirty voice kaha jaaye to ye subhi k liye mana hai agar is se Murad affectionate ya polite voice liya jaye to to ye azwaj e mutaharat k liye b kyu mana hai ? Wo to munafiqeen k liye b maaein hai !
Is se Murad kya tha?
Neez aaj bohot jaga jab koi ladki haske ya muskurakar baat karti hai to use signal samjhte hai sexual approach ka ill minded log to ye to quran sabhi ki baat karra hai munafiqeen k alawa b har daur k liye?
Friendly voice jo hoti hai aapki relatives k sath jab aap sath baith the hai ya koi b decent persons se friendly conversation hoti hai with brother hood usme b hasi mazaq ka khushmizaji ka b qasd hota hai ! Kya ise flirty voice ya flirting ke hukm me dakhil kiya jaega?
Is ayat k nuzzol ke baad kya koi riwayat me milta hai kisi ne apne relatives se hasi Khushi baat ki hoo?
Sponsor Ask Ghamidi
The discussion "Quran 33:32 -Was This Directive Specific For The Wives Of The Prophet (sws) Only" is closed to new replies.