Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Misbehaving And Abusiveness By Parents

  • Misbehaving And Abusiveness By Parents

    Posted by Ahsan Pervez on June 27, 2024 at 2:29 am

    Aik aklota bacha jis Kay walid bachan main foot ho gae hoon aur us ki walida na usey pal ka baraha Kia, walida ka mizaj main Shuru sa sakhti pai jati ha jo Kay waqat kay aur khasosan us bachay ki shadi ka baad mazeed barh gae ha aur choti choti baton pay shoor sharaba karna, baddwaen aur galian di jati han aur walida khud pay tashadud karti han, meri Bivi ka paka hoa khana nei khati aur sarey Rishtadaron aur society main us bachay ki behzati karana aur ilzamaat lagti han aur Bivi, bachon ko bi har waqat Baddwaen aur Galian di jati han aur BV Kay gar walon ko bi beizati ki jati ha aur aur jab koi Rishtadar mamla settle karnay ata ha tu khud pay tashadud karti han Kay aur mazloom ban jati han, Ab mere qareebi Rishtadar Sab yahi kehty han Kay hum apki walida ko nei samja sakty wo koi baat nei Sunti aur mazeed ya Kay walida ab society Kay well-known bandon Kay samney ja kar Rona dhona karti han aur un logon sa meri beizati karati han aur masla ya ha Kay log yah Samaj kar hamesha Mujy ghalt Samajty han Kay Tumari walida na tumain bachpan sa pala Apni Zindagi Qurban ki laikin halaat yah han hum jo ghar Kay log han wo har waqat Un ki waja sa perishan rehty han unain koi choti sa bi baat napasand ah gae tu aik daam halaat begar jaen gy. Yah baat bi note Karen Kay at a time walida ka mohaly main kisi na kisi sa jagra chal raha hota ha aur jab hum sa naraz hoti han tu baki sab sa achy tareeqay sa milti han aur aur jab kabi hum Sa teak hoon tu bakion sa maslay barh jaty han.

    Ab main apny bachon ki behtar parwarish aur specifically Bivi bachon ko mental stress sa bechany k liay agar Apni walida ko chor Kay kisi aur jaga shift hona chata hoon iss mamaly main meri rah numai farma dain kyun Kay un ki badtabiyati air abusive nature ki waja sa un ka sath koi aik din bi nei guzar sakta

    Dr. Irfan Shahzad replied 2 days, 17 hours ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Misbehaving And Abusiveness By Parents

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar June 27, 2024 at 10:29 pm

    والدین کے ساتھ حسن سلوک کی تلقین کی گئی ہے اس کے لیے ساتھ رہنا ضروری نہیں۔ مذکورہ حالات کے مطابق ساتھ نہ رہ کر حسن سلوک کا راستہ کھلنے کا امکان ہو سکتا ہے نہ کہ ساتھ رہ کر۔

You must be logged in to reply.
Login | Register