-
Etiquettes Of Gender Interactions According To Various Cultures & People
Quran o sunnat k buniyadi usool e iqtelat
1.nazro ki pakeezgi
2.satar ka dhanka bawaqar libas se
3.ba waqar baat cheet aur rawaiyya
4.khalwat se ijtenab
Ye shariyat k wazni usool hai !
Is ke alawa baqi adab shaqsi aur saqafiti lihas se muqtalif hote hai ! To kya isme aap par koi gunah hoga agar aap apne nazariye k mutabiq kisi cheez ko decent samjhe aur use karein jab dusra use ghalat rawaiyye par qiyas kare ? Masaln
Koi khatoon jis mere idhare me kaam karti hai mujhe apne pan se mizahiya andaz me baat kare aur dusre log ye samjhe wo mujhe seduce kar rahi hai!
Aur mai kisi khatoon se bila niyyat be takkluf hoke baat karu aur koi aur ise culture ki buniyad par behuda samjhe ,
Neez aap ke sarparast shohar/ baap/bhai aap ko mana kare kisi ladke se baat karne aur ijazat de dusre ladke se bat karne ki jab k wo dusra b gair mahram hai! Par bharose ki buniyad par di Jane wali ijazat aur mumuniyat Jo shaqsi lihas se muqtalif hoti hai ! Ispar kya hukum hoga ? Yani hum jin logo me rahte hai une yaha agar mardo zan ka bila Zarurat baat karna ya friendly baat karna bura samjha jata hai ya khud hamare moharramar ise bura samjte hai jab k Hume koi badkari ka andesha nahi tab b hamare liye zaruri hai k inke zawiye aur nuqte ka papand hona?
Sponsor Ask Ghamidi