Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Which Language For Education?

  • Which Language For Education?

    Posted by Mohammad Siddiqui on July 27, 2024 at 3:22 am

    Assalamualaikum warahmatullah wabarakatuh

    Sir, zubaan ke intikhaab se muta’alliq sawal tha, meri maadri, taleemi aur fikri zubaan urdu Rahi hai, 2-3 saal se mera English se bhi ta’alluq ho gaya hai, kya mere liye Mumkin hai ki mai English hi ko apni ilmi, fikri aur khitaabat o kitaabat ki zubaan bana saku ?? Meri English kaafi kamzor hai aur doosri taraf urdu nisbatan kaafi achchi hai, lekin Aaj kal ki dunya me apne paighaam ko pahuchaane ke liye English ko medium banaya jaaye to zyada behtar hai..

    Yaani, Zaroorat English ki hai aur Salaahiyat Urdu me hai..

    Ek aur baat waazeh karna chaahta hu, mai 1 saal se ek teacher hu doosre state ke ek school me, jaha ki zubaan Malayalam hai lekin School me talaba aur asaatza English hi bolte hai, yani mere gird o pesh ka mahaul urdu nahi balki English ka hai, lehaza mai unko apna paighaam English me hi de sakta hu, aise me mujhe husool e ilm ke liye English ki kitaabo ka mutaala karna chaahiye ? Taki meri English bhi improve hoti rahe , ya fir Urdu kitaabo ka mutaala karna chahiye ? Taki Mai zubaan ki rukaawat ke baghair baato ko sahi se samajh saku aur gehraai me utar saku ?

    Dr. Irfan Shahzad replied 2 months, 3 weeks ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply

You must be logged in to reply.
Login | Register