Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Talaq Ka Masla

  • Talaq Ka Masla

    Posted by Usman Ashfaq on July 30, 2024 at 3:35 pm

    Quran ke kon see shura mae talaq kay mutlaeeq deatil han ?. Or ghamdi shb ky motabiq 1 talaq de tu 3 month ka tym raju ker lo. Phir. 2 de phir 3 month ka tym. Or phir 3 de phir 3 months ka tym us ky bad end. Han urat hamal sau ho tu masla shura talaq mae hai sara. Magr detail nhainhano

    Hasan replied 2 months ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Talaq Ka Masla

    Hasan updated 2 months ago 2 Members · 1 Reply
  • Hasan

    Member July 31, 2024 at 8:07 am

    Qur’an mai Talaaq puri details ke saath mojood hay.

    Surah Talaaq [65] Verses 1 to 4: Jismai (1) kab talaaq de sakte hain, (2) Har aik talaaq dene ke saath waiting period (iddat) ka hukum, (3) waiting period mai aurat ko saath rakhne ka hukum, (4) do gawaah ka hona, (5) aur kitne months ka waiting period (3 months) agar haiz nahi aate (6) agar pregnant hay to waiting period kab tak (delivery tak). – Ye tamam cheezain puri detail mai mojood hain.

    Iske ilawa: Surah Al-Baqarah ki 228 se 233 ki ayaat mai 3 talaaq ki mazeed details hain ke: (1) har talaaq mai by default waiting period 3 haiz ka hay, (2) agar pregnant to unka pregnancy chhupana haram, aur shohar ka wapis leleni ki (ruju ji) ijazat, (3) phir Pehli talaaq aur waiting period ka hukum, ruju ki ijazat Ya iddat complete karke nikah khatam, (4) phir doosri talaaq aur uske waiting period aur ruju/iddat puri karne ka hukum, (5) phir nikah, aur teesri talaaq, aur iddat, ke baad uska (ex-)husband ka koi haq nahi usspar, naa wo phir se uss se nikah karsakta hay, (6) aurat kisi aur se nikah karle, aur ussko talaq ho jaye, to wapis pehle shohor se nikah ki ijazat.

    Har talaaq ke baad waiting period lazmi hay, ye 65:1 aur 2:228, 2:229, 2:232 se saabith hay, aur logically bhi yehi sense banta hay warna Pehli aur Doosri talaaq mai kya farq raha! Har Talaaq ka pura process complete hone ke baad agli talaq mumkin hay Aur teen talaq ikkhatti dena haram hay, (kyunke har talaaq ke baad waiting period lazmi hay) aur Hadiths ke mutabiq bhi 3 ikhatti agar kisi ne de bhi di to wo 1 hi maani jayegi (aur iddat lazmi hay):

    Sunan Abu Dawud 2196 (Hasan)

    Sahih Muslim 1472b (Sahih)

    Sunan Abi Dawud, 2200 (Sahih)

    Sunan an-Nasa’i, 3406) (Sahih)

    Sahih Muslim, 1472c (Sahih)

You must be logged in to reply.
Login | Register