-
Quran O Hadees Ki Muqtalif Tashreehat
Quran jab humtak ummat k ijma se muntaqil hua to phir isme itne mufassireen ki kyu zaroorat padi is se hukm akhas karne ki? Kya ye tahreef ke zumre me nahi ata Quran k maani aur mafhoom ko ek mufassir ka dusre mufassir se muqtalif karna? Fun e hadees me bhi aisa kyu hai koi muhaddis ke nazdeek kisa khabr ka maana kuch aur dusre ka kuch aur kya sahaba ikram me b Quran ki ayat ko samjh ne me iqtelat hota tha? Abudullah bin abbas aur Masood (RA) sirf yahi to do sahabi hain jime iqtelaf tha Quran ki parde k hukm me? Ya dusre sahaba me b dusri jaga hon par iqtelaf hua Quran ko samjhne me? Tareef sirf matan ko tabdil karne ka naam hai?
Sponsor Ask Ghamidi