Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Allegations On Ghamidi Sahab

  • Allegations On Ghamidi Sahab

    Posted by MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER on August 5, 2024 at 1:05 pm

    Bil umuum ye ilzam lagay jata hai internet par k ghamidi sahab ne

    Nabi(SAW) k sahi aqwal k hujjat ka inkar kiya

    Sahaba k ijmai masail ki hujjat ka inkar

    Mahez wo riwayaat,jo ghamidi sahab k mauqf ki taeed me hoon sirf unhe hi qubool karte hai

    Quran ki aisi tashreeh jo Nabi (SAW)se sahaba se tabeen o aslaaf me kisi se b sabit nahi use bayan karte hai ,jo ye sabit karta hai k pichle 1400 sal me sirf unhe hi siyaq o sabaq se tashreeh ka ilm hai ,

    Qadiyanio k aqeede ko ghalat to kahte hai magar us aqeede ko kufr nahi samjhte

    Jawab kya diya jaye jo ye ilzamat lagate hai,aur ek talib e ilm dono k dalael ko study kare wo is ilmiye se bahar kaise aye k sahi kya aur ghalat kya hai?

    Umer replied 1 month, 3 weeks ago 2 Members · 3 Replies
  • 3 Replies
  • Allegations On Ghamidi Sahab

    Umer updated 1 month, 3 weeks ago 2 Members · 3 Replies
  • Umer

    Moderator August 5, 2024 at 8:18 pm

    Iska tareeqa yai hai kai aap Ghamidi Sahab ka moaqqaf tafseeli aur ilmi tareeqay sai samjhain aur phir is baat ka faisla dayantdaari sai karain kai in ilzamat main kitni sadaqat hai. In tamam mozuaat par Ghamidi Sahab ki tafseeli videos mojud hain. Agar phir bh zehni kashmakash hoo toh uska behtereen hal yeh hai kai in ilmi maamlat ko side pay rakh kar apni zindagi muttafiqa Islami asuloon par guzarnay ki kosish ki jaye. Yai ikhtilaafi maamlaat zayada tar ilmi noiyat kai hain, inka aik musalman ki roz mara ki amli deeni zindagi sai itna taluq nhi hai.

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member August 6, 2024 at 2:28 am

      Muqtasar me ye kaha jasakta hai kya ,k ye tamaam ilzamat be buniyad hai? K hadees ko inkar karna sahaba k ijmai fahem ko muttafiq fahem ko ghalat man kar apni rai unse behtar samjhna,14sadion me sab se muqtalif Quran o sunnat ki tashreeh karna ,yani 1400 saal me koi mustanad ahle ilm ne b aisi tashreeh nhi ki jo ghamaidi shab ne ki hai,ye sab mahez jhute ilzam hai ghamidi shab par?

    • Umer

      Moderator August 7, 2024 at 8:35 pm

      Agar koe makhsus mozu par apko aiteraz hai toh uska alag sai sawal poochain takay aap sai dalail share kiya jaa sakain us mozu par.

      Aisay amumi aur zaati noiyat kai aitrazaat ka ilm ki dunya sai koe talluq nhi.

The discussion "Allegations On Ghamidi Sahab" is closed to new replies.

Start of Discussion
0 of 0 replies June 2018
Now