-
Inheritence Given In Life
Aslam O Alikum, I joined live seasion but did not get a chance to ask.
Mare Taya Abu jo k cancer k mareez hain arsa 2 saal sa humry sath rehty hain kiu k unki koi ulaad nae ha aik mazoor wife ha.I have taken their all responsibilty including loans, health ha daily expences. Recently unho na apna sara share jaidad mare akela k naam transfer krdi ha or bola ha k unka bad b unki wife jab tak ghr mai rehna chaha rhy or unka bad bhi financial support provide ki jaye untill wo kahi or shadi krla. Aur unka kisi siblings ko koi hissa na du share mai sa including wife jbka unki kisi sath koi narazi b nahi.
Mera sawal ye ha k kia issa kisi ki haq talfi to nae horhi, mujha 1/3 gift wali hadees pershan kr rhi ha. Or unki behna jo k sab hayat hain unho na apna hissa b gift kia tha Taya abu ko 20 saal phla to kia mai wo bhi wapis krdu. Mujha lagta ha ye riwajan punjab mai log krty hain aisa. Main nahi chahta jo kaam mai sawab ki niyat sa kr raha hu wo b zaya hjye or ulta mai gunahgar ho jao
Rehnumai farmaye shukrya
Sponsor Ask Ghamidi