Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Zina Ka Rasta

  • Zina Ka Rasta

    Posted by Mohammad Rehan on August 26, 2025 at 12:54 pm

    ASSALAMUALAIKUM

    Hmlog co education me pdhte hai yhan hme opposite gender se interact Krna pdta hai , kuch logo ke mobile number bhi hai q ki group project submission me hme aapas me baate karni pdti hai , lekin hmlogo kbhi kisi se gndi nazar ya glat intention ke sath interact nhi kiya , jis trah se apni behen ko respect dete hai waise hi un ldkiyon ko bhi aur wo log bhi hmlogo ko bhai ki trah treat krti hai aur ek distance maintain rakhti hai , lekin chand dino se mere sath ajeeb sa waqia ho rha hai . Do ldke hai mere class ke wo aate hai aur khte hai tum gunaah ke dal dal me q dhase ja rhe ho quran me kha gya hai “LA TAQRABUZINA” zina ke qareeb bhi mat jao ye bhut bura rasta hai , aur iska matlab ye hai aise chizo ki traf mat jao jisse jina ka darwaja khule aur ek ldki zina ka darwaja hoti hai usse interact Krna matlab zina ko dawat dena aur hadees me aata hai pehli nazar maaf hai dusri nhi , lihaza tum allah se tauba kro aur ye gunaah ka kaam chhod do , na mehram se baate Krna , uski mdad Krna ya fir bhut naram andaaj me baat Krna zina ko dwat deta hai . Wo ladke ldkiyon ko dekh ke zor se ASTAGFIRULLAH pdhte hai , jisse ldkiyon ko bhut embarrassing sa feel hota hai , aur wo proud feel krte hai ki hmare dil me imaan hai baki sare log gunaah me dube hue hai . Mera sawal ye hai ki kya jis trah se inlogo ne ye aayat interprete ki hai wo sahi hai agar nhi to iski sahi interpretation kya hai aur kya mujhe interaction Krna chhod dena chahiye kya hmesa gussail andaaj me hi baat karni chahiye .

    Umer replied 1 month ago 3 Members · 4 Replies
  • 4 Replies
  • Zina Ka Rasta

    Umer updated 1 month ago 3 Members · 4 Replies
  • Mohammad Rehan

    Member September 1, 2025 at 2:25 pm

    Mere sawal ka jawab de dein , aapse gujarish hai , mai is mas ale se kafi preshan hun kya mai sach me gunaah kr rha hun 😥

  • Zuhair

    Member September 1, 2025 at 2:55 pm

    Brother Im not qualified enough to give you a proper answer on this, but based on my learnings from Ghamidi sb for more than 5 years now, i can confidently tell you that Quran mentions zina as a great sin, with this being said, therw is another thing called ‘Sad e zariya’…koi bhi cheez jo us taraf le ke jaaye use dur rehna chahiye. For example, sitting with rhe opposite gender in a private setting(i.e a house or anywhere where there js no one, and jahan aap dono ki intentions saaf na hon). Us situation mai there js a big chance of you going towards the act of sad e zariya. But as you mentioned, looking at women or interacting with them in a day to day setting has never been wrong, its not normal to think ke yeh galat hai. Aap kaam pe jaate ho, school jaate ho, and many other instances jahan hume interact karna parta hai. Or when you’re meeting someone to know them to decide if you want to marry them or not for example. Kisi larki ko dekh ke Astagfirullah kehna ek bahut bewaqoofana aur I would say Jaahiliyat hai. You’re a very sensible person who is questioning this and is not like other men in your group. Apki intentions achi hain aur Allah janta hai bas kaafi hai. Looking at a woman by considering her your sister isn’t normal either, jab apki shaadi karne ka time aaye ga tou aap isi confusion se bahar nahi aa sako ge. I hope this helps.

  • Mohammad Rehan

    Member September 1, 2025 at 3:09 pm

    Jadatar log whan dusre relegion se hai isliye mai sabko behen bhai khke hi interact krta hun , isse samne wale ke liye behen bhai wali feelings aa jati hai jisse chances khatam ho jati hai ki kisi dusre relegion ke ldki se shadi ya attraction ho paye , kyun ki dusre relegion me sadi Krna jab tak wo islaam na apna le mana hai islam me , isliye mai aisa krta hun .

  • Umer

    Moderator September 1, 2025 at 3:13 pm

    Please refrain from posting the same question multiple times.

    See:

    Discussion 114885

The discussion "Zina Ka Rasta" is closed to new replies.

Start of Discussion
0 of 0 replies June 2018
Now