Ji aslan in sab riwayaat ka talluq us waqt kai munafiqeen sai hi thaa, chunkai woh dil sai eman qabool nhi kiya huay thaay toh Hazroor (SWS) nai Musalmanon ko kuch nishaniyan batayne un manfiqon ki kai chunaki in kai dil main eman nhi hai toh namaz aur baqi naik amal bh yai dil sai nhi kartay, isi wajah sai yai sab in par bhari hota hai aur isi wajah sai aksar o baishtar woh in par mustaqil meezaji sai amal bh nhi kar saktay. Chunkai Isha sonay sai pehlay parhi jaati hai aur fajr neend ko tor kar subah uth kai parhi jaati hai, toh woh in munafiqon par aur bh bhari hoo jaati thii.
Iska itlaq Aaj kai musalmanon par nhi karna chaiyai. Laikin Musalmanon ko mutanabbay zaror rehna chaiyai kai sachay eman kai hotay huay jaantay boojhtay is qisam ki kotahiyan na hon.
Namaz masjid main parhna farz nhi hai, behar toh hai kai masjid main hi bajamat parhi jaye laikin agar nhi bh parhi masjid main toh namaz hoo jayegi.
Please also refer to the following audio of Ghamidi Sahab as well:
درس حدیث، کتاب الایمان: حدیث 106 منافق کی پہچان
https://ghamidi.tv/audio/529/-106-