-
Quran 7:33 – Application Of Fawahish On Sadd-e-Zariya Actions
AOA
Quran ma 7:33 pe bayan kya gya ha fawahish ko mane is se mutaliq discussion ko parha ha kafi had tk bt waziya hogai ha ma pochna chah rhe thi Quran k is lafz ka sahi itlaq kis tarh hoga log tu half bazo pehne wali larkion ko kehte fahashi ki hy. kya ma thek samjhi hn k fawahish ma sad-e-zariya ki cheezain nahi hn unka hukam alag ha k unko ikhtayar krna ha aur kasy krna. bena lebas dosron ko apna ya kisi aur ka jism dekhana, badkari/sex/intercourse ko kisi b digital ya dosri form ma phelana jaisy audio video pics writing or discussion yah phir hud sex krna ye sb fawahish ha aur sex bhi tamam iqsam ka shadi shuda ho kr ya ghair shadi shuda ya janwar k sth ya admi admi ya aurat aurat har tarh ka sex fawahish ma aye ga.
kya sad-e-zariya ki cheezain jaisy libas bht shaista nahi hy ya kissing ya galy milna ya hath pakrna ya sth baithna is trh ki cheezain agr kisi digital tariqy se dekhai ja rhe hn kya wo bhi fawahish hain kabira gunah hn k fawahish ko phela rhy ya wo tb bhi sad-e-zariya k takht he samjhai aur btai jain gi aur unko dekhna aur dekhana fawahish ma nai aye ga? yah hum jisko samjhna chah rhy hn usko kahain gy k tmne kabira gunah ka irtakab kya ha aisi video bana kr jis ma galy mily ya kiss kya ab zahir ha wo content ya video dekhi ha sb ny kya ye fawahish ma aye ga aisa content ya tb bhi na munasib hone ki waja sy mana kya jay ga aur bachne ki talqeen ki jay gi. kya fawahish ka itlaq tb hoga jb mamla bena libas hone se shuru ho aur usko agy dekhya jay? is ka farq waziya kr dijye please
Sponsor Ask Ghamidi