Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Quran 7:33 – Application Of Fawahish On Sadd-e-Zariya Actions

  • Quran 7:33 – Application Of Fawahish On Sadd-e-Zariya Actions

    Posted by Rimsha on December 17, 2022 at 4:05 pm

    AOA

    Quran ma 7:33 pe bayan kya gya ha fawahish ko mane is se mutaliq discussion ko parha ha kafi had tk bt waziya hogai ha ma pochna chah rhe thi Quran k is lafz ka sahi itlaq kis tarh hoga log tu half bazo pehne wali larkion ko kehte fahashi ki hy. kya ma thek samjhi hn k fawahish ma sad-e-zariya ki cheezain nahi hn unka hukam alag ha k unko ikhtayar krna ha aur kasy krna. bena lebas dosron ko apna ya kisi aur ka jism dekhana, badkari/sex/intercourse ko kisi b digital ya dosri form ma phelana jaisy audio video pics writing or discussion yah phir hud sex krna ye sb fawahish ha aur sex bhi tamam iqsam ka shadi shuda ho kr ya ghair shadi shuda ya janwar k sth ya admi admi ya aurat aurat har tarh ka sex fawahish ma aye ga.

    kya sad-e-zariya ki cheezain jaisy libas bht shaista nahi hy ya kissing ya galy milna ya hath pakrna ya sth baithna is trh ki cheezain agr kisi digital tariqy se dekhai ja rhe hn kya wo bhi fawahish hain kabira gunah hn k fawahish ko phela rhy ya wo tb bhi sad-e-zariya k takht he samjhai aur btai jain gi aur unko dekhna aur dekhana fawahish ma nai aye ga? yah hum jisko samjhna chah rhy hn usko kahain gy k tmne kabira gunah ka irtakab kya ha aisi video bana kr jis ma galy mily ya kiss kya ab zahir ha wo content ya video dekhi ha sb ny kya ye fawahish ma aye ga aisa content ya tb bhi na munasib hone ki waja sy mana kya jay ga aur bachne ki talqeen ki jay gi. kya fawahish ka itlaq tb hoga jb mamla bena libas hone se shuru ho aur usko agy dekhya jay? is ka farq waziya kr dijye please

    Umer replied 1 year, 3 months ago 2 Members · 4 Replies
  • 4 Replies
  • Quran 7:33 – Application Of Fawahish On Sadd-e-Zariya Actions

    Umer updated 1 year, 3 months ago 2 Members · 4 Replies
  • Umer

    Moderator December 18, 2022 at 10:55 pm

    Zina ko jurm qarar diya kaa chuka hai islam main aur iski saza bh muqarrar ki jaa chuki hai aur sadd-e-zaria kai tor pai zina kai muqadmat ko bh haram kaha gaya hai, yai sab fawahish main hi aayne gai aur in sai bacha hi jaye ga aur inkai irtikab ki surat main insan sagheera gunnah ka murtakib hoga.

    Jahan tak libas ka talluq hai, uska kam ya zayada honay ka masla dosra hai, usmain fawahish usi surat main masla banay gai jab fawahish ki noiyat ka libas pehna jaye jis sai jinsi aaza numayan hona shuru hoojayne.

    Please also refer to the video below from 30:22 to 30:57

    https://youtu.be/pNv0HxdZXkQ?t=1822

  • Rimsha

    Member December 19, 2022 at 4:54 am

    tu kya sad-e-zariya ki cheezain agr kisi dramy ma hn jaisy humre dramas ma Pakistani dramas ma hath pakrna lgy mil lena mtlb sad-e-zariya ki nouiyat ki cheezain wo b fawahish ma aye gi? kiun k wo rehain gi tu saghira gunah he wo bt apki bilkul thk ha lakin phir un ko dekhna bra jurm kaisy hoga phir fawahish phelana b us waqt samjha jana chahye jb fawahish yani badkari ko dekhaya jay ma thek keh rhe hn? hath pakrna sth baith jna ya is se agy koe sad-e-zariya ki nouiyat ki cheez krna ye dekhana ye b tu sad-e-zariya ma ana chahye. kya ma sahi samjhi hn

  • Rimsha

    Member December 19, 2022 at 5:14 am

    aur agr dramy ka maksad story ka maksad ghalat nahi ha kisi sad-e-zariya ki khilafwarzi hogai hath pakra ya kuch bhi tu kya income haram hojay gi.

    • Umer

      Moderator December 19, 2022 at 7:57 pm

      Income ko toh haram nhi kaha jaa sakta is surat main laikin aik khilaf warzi zaror hue hai aur karnay walay is sagheera gunnah kai murtaqib bh huay hain.

You must be logged in to reply.
Login | Register