Forums › Forums › Sources of Islam › Putting Blankets On Graves In Shrines In Anniversaries
Tagged: Bidah, Polytheism, Shirk
-
Putting Blankets On Graves In Shrines In Anniversaries
Posted by Mohammad Hasan on August 4, 2023 at 8:35 amUrs manan gunah h na shirk h Lazaro me jana chadar chadhana
Umer replied 1 year, 3 months ago 2 Members · 9 Replies -
9 Replies
-
Putting Blankets On Graves In Shrines In Anniversaries
-
Mohammad Hasan
Member August 4, 2023 at 8:36 amMazaron me jana chadar chadhana shirk h na
-
Umer
Moderator August 5, 2023 at 5:35 pmChadar charhana shirk nhi hai laikin shirkiya rawaiya zarur hai.
Asal baat yai hai kai us chadar charhanay kai peechay kya niyat hai ya kya aqida hai? agar toh aqida yai hai kai is qabar wala hamain koe faida ya nuqsan phoncha sakta hai, toh phir chadar charhana bh shirk hoo jaye ga. Laikin agar yai aqida nhi hai laikin phir bh koe banda chadar charha raha hai, toh woh shirk toh nhi hoga laikin shirkiya rawaiya zarur kehlaye ga, jo kai saghira gunah hoo sakta hai.
-
Mohammad Hasan
Member August 5, 2023 at 10:37 pmUrs manana mazaro me jana shirk h na
-
Mohammad Hasan
Member August 6, 2023 at 8:41 amUrs?
-
-
Mohammad Hasan
Member August 7, 2023 at 10:59 pmUrs manana gunah h na
Mazaro me jana
-
Mohammad Hasan
Member August 8, 2023 at 10:38 pmAnyone answer my question?
Urs manana gunah h na
-
Umer
Moderator August 9, 2023 at 8:15 amYai daikha jayega kai Urs main kis kisam ki activities hoti hain aur woh kyun manaya jata hai, urs kai peechay aqida kya hota hai?
-
-
Mohammad Hasan
Member August 9, 2023 at 12:31 pmBhii ye bataye jaise 500 logo k khana ban h usme se 1 logo k khane me fatiha huwa ho to kya jis khane me fatiha huwa h usko nhi kha sakte Laikin baki k khana kha sakte h ki nhi urs me hota h
-
Umer
Moderator August 11, 2023 at 12:49 amAgar Khana Allah kai naam ka hai toh kha saktay hai. Laikin agar Allah kai elawa kisi ki nazar kai liya hai toh nhi khaa saktay. Aur agar zabeeha hai toh us par Allah ka naam lai kar zibah karna zaruri hai, us par agar Allah ka naam laikar janwar ko zibah nhi kiya gaya toh tab bh woh khana nhi khaa saktay.
Fateha parh lainay sai woh khana haram nhi hoo jata.
-
Sponsor Ask Ghamidi