Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Putting Blankets On Graves In Shrines In Anniversaries

  • Putting Blankets On Graves In Shrines In Anniversaries

    Umer updated 8 months, 3 weeks ago 2 Members · 9 Replies
  • Mohammad Hasan

    Member August 4, 2023 at 8:36 am

    Mazaron me jana chadar chadhana shirk h na

  • Umer

    Moderator August 5, 2023 at 5:35 pm

    Chadar charhana shirk nhi hai laikin shirkiya rawaiya zarur hai.

    Asal baat yai hai kai us chadar charhanay kai peechay kya niyat hai ya kya aqida hai? agar toh aqida yai hai kai is qabar wala hamain koe faida ya nuqsan phoncha sakta hai, toh phir chadar charhana bh shirk hoo jaye ga. Laikin agar yai aqida nhi hai laikin phir bh koe banda chadar charha raha hai, toh woh shirk toh nhi hoga laikin shirkiya rawaiya zarur kehlaye ga, jo kai saghira gunah hoo sakta hai.

    • Mohammad Hasan

      Member August 5, 2023 at 10:37 pm

      Urs manana mazaro me jana shirk h na

    • Mohammad Hasan

      Member August 6, 2023 at 8:41 am

      Urs?

  • Mohammad Hasan

    Member August 7, 2023 at 10:59 pm

    Urs manana gunah h na

    Mazaro me jana

    • Mohammad Hasan

      Member August 8, 2023 at 10:38 pm

      Anyone answer my question?

      Urs manana gunah h na

    • Umer

      Moderator August 9, 2023 at 8:15 am

      Yai daikha jayega kai Urs main kis kisam ki activities hoti hain aur woh kyun manaya jata hai, urs kai peechay aqida kya hota hai?

  • Mohammad Hasan

    Member August 9, 2023 at 12:31 pm

    Bhii ye bataye jaise 500 logo k khana ban h usme se 1 logo k khane me fatiha huwa ho to kya jis khane me fatiha huwa h usko nhi kha sakte Laikin baki k khana kha sakte h ki nhi urs me hota h

    • Umer

      Moderator August 11, 2023 at 12:49 am

      Agar Khana Allah kai naam ka hai toh kha saktay hai. Laikin agar Allah kai elawa kisi ki nazar kai liya hai toh nhi khaa saktay. Aur agar zabeeha hai toh us par Allah ka naam lai kar zibah karna zaruri hai, us par agar Allah ka naam laikar janwar ko zibah nhi kiya gaya toh tab bh woh khana nhi khaa saktay.

      Fateha parh lainay sai woh khana haram nhi hoo jata.

You must be logged in to reply.
Login | Register