-
Seeking Concession In Religion Or Doing Taqleed Of One School Only?
Sharie masail me riayat talash karna khahishat ki pairwi karne ke manind hai? Maslan koi alim k baqaul koi cheez mamnu hai aur kisi k baqaul wohi cheez mubah hai ,ya phir kisi jagah par ye tasawwur raij hai kisi cheez k mamnu hone ka , is surat me harj paida hone ki wajh se koi shaqs daleel buniyad par gunjaish talash kare ya kisi bhi iqtelafi mauzu par dalil ki buniyad pe riayat talash kare ye shehwat parasti hai? Jaise k ahanaf kahte hai k agar aap ko shafai ki daleel mazboot lage ,kisi aur ki ,ya khud apki apni tahqeeq aap ko mazbot lage ,tab b aapne rahna hanafi hi hai agar ek masle me apne is fiqha ko choda to sare masail me chodna padega,illa mashallah jab tak hum us talfiq ki ijazat na marhat karein! kyu ke jo daleel aap ko mazbot lag rahi hai zaruri nhi hai k wo mazboot ho , aur isiliye wo kahte hai k gunjaish ki buniyad par tahqeeq karna ye shehwat parasti hai ! Shara’an iski ki kya hasiyat hai,agar koi daleel ya itlaqat ki buniyad par gunjaish ya riayat talash kare?
Sponsor Ask Ghamidi