-
Quran Hafiz Vs Normal People
Assalamualaikum ghamdi sahab apse mera ye sawal hai ky jo banda Quran hafiz hai aur woo phr bhuljata hai quran too uski kiya saza hogi?
Aksar log kehty hain ky saza kaafi buri hogi qayamat waale din lekin dekha jaaye too arabic hamare national language bhi nahi hai phir itne buri saza q hogi
Aur normal logon ko jbky iski koi saza nahi mileegi lekin quran hafiz ko ischeez ki saza alag se q mileegi?dono ko same treat q nahi kiya jayga
And second qs ye hai ky
Aksar log burhaape me too quran zahir hai age factor ki waja sey bhuleenge hi uspe bhi saza hogi?
Sponsor Ask Ghamidi