-
Behavior Of A Husband As A Sarbrah
Asalam o alaikum. Ustaaz Ma’aab Ghanidi sahib sa mera sawal ha. Sir ap apne bayanaat ma frmaty hen k islam ma family ko aik idary k tor pa munazzam kia gaya ha jis ma shohar sarbrah ha or buvu uski matehat ha. Is sa agey shohar ko aik sabrah ko kaisa hina chaiye, bivi k haq ma aik shohar ka rawaiya kaisa hona chahiye. Financial zimadari k elava plz btaiye k shohar ko kaisa sarbrah hona chahiye. Or agar koi acha sarbrah na ho ya bivi kahy k is admi na sarbrahi ma mujh sa acha salook nhi kia, mujhe tanha rkha, izzat nhi ki, kharch kia lekin takleef ma rkha.. To kya saza ha aise sarbrah ki? Ap sa gilla krne ki jsarat kr rhi hu, Ap k lectures ma kahi pa mard ko shohar k tor pa khabardaar ku nhi kia jata k agar wo haq ada nhi kre ga to uski kya saza ha? Kya naseehat ha mard k lie shohar k tor pa? Kya sirf rupya paisa kharch krne sa mian bivi k taluq k sab haq ada ho jaty hen?
Sponsor Ask Ghamidi