Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Home › Forums › World Religions › Shirk Or Respect ?

  • Shirk Or Respect ?

    Posted by Haroon Qazi on September 17, 2026 at 3:46 pm

    Assaalam Aleykum

    Main Italy mein rehta hoon, jo ek Christian-majority country hai, aur mere bohat se Christian dost hain. Kabhi kabhi main unki shaadi ya janazay mein church jata hoon. Jab priest prayer karta hai, to wahan Christian log uski baat ka jawab dete hain ya uske saath kuch alfaaz repeat karte hain, aur prayer ke dauran kabhi kharay hote hain aur kabhi baithte hain. Agar main bhi sirf respect aur courtesy ki wajah se unke saath khara ho jaoon aur baith jaoon, lekin unke religious alfaaz na boloon aur na un par iman rakhoon, to kya Islam mein is tarah unki ibadat mein shamil hona samjha jayega, ya yeh sirf respect ka izhar hoga?

    Haroon Qazi replied 2 weeks, 1 day ago 2 Members · 7 Replies
  • 7 Replies
  • Shirk Or Respect ?

    Haroon Qazi updated 2 weeks, 1 day ago 2 Members · 7 Replies
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar September 17, 2026 at 10:36 pm

    اس موقع پر وہ دعا خدا ہی سے کرتے ہیں۔ اس لیے اس میں شریک ہوا جا سکتا ہے۔ اگر وہ میسح سے دعا کریں یا جبرائیل (ہولی سپرٹ) تو یہ شامل ہونا چائز نہیں۔

    البتہ احترام میں کھڑا ہو جانے میں کوئی حرج معلوم نہیں ہوتا۔

    • Haroon Qazi

      Member September 18, 2026 at 5:46 pm

      Shukriya Sir, ek last doubt bhi clear kar dein please.

      Main aap ke pichle jawab ki ek baat ko thora sa wazeh karna chahta hoon.

      1. Jab aap ne farmaya ke “is mein shareek hua ja sakta hai”, to “shareek” se aap ki murad kya hai? Kya aap ki murad yeh hai ke agar woh Khuda se dua kar rahe hon to main bhi unki dua mein shamil ho sakta hoon? Aur agar woh Hazrat Isa (Jesus) ya Holy Spirit se dua kar rahe hon, to kya “shareek na hona” ka matlab hai ke main unki dua mein shamil na hoon ya unki dua ko repeat na karoon? Ya is se murad yeh hai ke us waqt wahan maujood rehna bhi jaiz nahi?

      Aur agar main kisi Christian Mass, funeral, marriage ya church ki kisi aur ceremony mein maujood hoon, aur sirf ehtiram ki wajah se, jab woh baithte ya kharay hote hain, main bhi baith ya khara ho sakta hoon, chahe woh kisi se bhi dua kar rahe hon?

      1. Aur isi silsile mein mera ek aur sawal hai.

      Christian Mass mein ek mauqa hota hai jahan priest kehta hai:

      “The peace of the Lord be with you always.”

      Log jawab dete hain:

      “And with your spirit.”

      Phir priest kehta hai:

      “Let us offer each other a sign of peace.”

      Is ke baad log ek doosre se haath milate hain ya “peace” kehte hain.

      Agar main us waqt sirf social gesture aur ehtiram ke taur par kisi Christian shakhs se haath milaun ya “peace” kahun, aur mera unki ibadat ya Christian aqeede mein shareek hone ka koi irada na ho, to kya yeh shirk ya un ki ibadat mein shamil hona samjha jayega, ya sirf ek social gesture aur ehtiram samjha jayega?

      Please in 2 points ka answer kar dein, i need really urgently.

      Thank you so much…

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar September 19, 2026 at 3:48 am

    آپ دعا میں اسی صورت شامل ہو سکتے ہیں جب وہ خدا سے ہو رہی ہو۔ ورنہ نہیں۔

    سماجی طور پر شرکت کر سکتے ہیں اور احترام بیٹھے رہنا یا ہاتھ ملانے میں بھی مضائقہ نہیں تاہم یہ فرق قائم رہنا ضروری ہے کہ ان کے کسی شرکیہ کام میں شریک نہیں۔

    • Haroon Qazi

      Member September 20, 2026 at 4:34 pm

      Main ek baat aur wazeh karna chahta hoon.

      Church mein jab Christians priest ki prayers ke dauran kharay hotay hain aur phir baithtay hain, mujhe yeh maloom hua hai ke kuch contexts mein unka kharay hona Hazrat Isa alayhis-salam ki resurrection ki yaad ya uski alamat (symbol) samjha jata hai. Agar aisa hai, to kya sirf ehteram ke liye unke saath kharay hona aur baithna unki ibadat/aqeede ya religious ritual mein shareek hona samjha jayega, agar main unki prayer ke alfaaz na kahoon aur us belief ko na maanun?

      Aur isi tarah, agar Christians aapas mein haath milate hain aur unke haath milane ka koi mazhabi ma‘ni ya aqeede se muta‘alliq wajah ho, jo Islam ke aqeede ke mutabiq durust na ho, to kya main phir bhi sirf social respect ya salam ke taur unse haath mila sakta hoon us mouqe par (christian mass ke dauran) ?

      Sorry for all this bothering, please inn ki bhi wazahat kar dein sir, mujhey tomorrow ek Christian wedding attend karni hai, or main koi bhi shirk nahi karna chahta iss liye yeh sab question kar raha hoon… please inn cheezun ki wazahat kar dein…

      Thank you so much as always…

    • Haroon Qazi

      Member September 21, 2026 at 12:08 am
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar September 21, 2026 at 4:06 am

    ہر بات کو ان سے معلوم کر لیں۔ جو عمل شرکیہ عقیدے کا مظہر ہے، اس میں شریک نہین ہو سکتے چاہے وہ خاموش بیٹھنے کا عمل ہو یا ہاتھ ملانے کا۔ تاہم، یہ اپنے گمان سے نہ کریں۔ ان سے معلومات حاصل کر لیں۔

    یہ بھی ممکن ہے کہ چرچ کی تقریبات میں شریک نہ ہوں اور چرچ سے باہر جو بھی ہو اس میں دوست کو مبارک وغیرہ دےدیں۔

  • Haroon Qazi

    Member October 3, 2026 at 12:30 pm

    Thanks a lot sir!

You must be logged in to reply.
Login | Register