Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Last Meezan Lecture On Hazrat Esa (A.S.)

Tagged: 

  • Last Meezan Lecture On Hazrat Esa (A.S.)

    Posted by Aamir Khan on October 12, 2020 at 11:19 am

    Salam,

    Last Meezan lecture mein jo Allah Tala ka jo mukalma Hazarat Esa (A.S.) ke sath zer-e-behas tha woh kya sirf un kay zamanay k Christians k bare mein limited nahe hai?

    Plus Ghamidi sahab ki “Response to 23 questions” k series mein please yeh jo commonly known aqeeda hai is ke wazahat include kardein Hazrat Esa (A.S.) k baab mein:

    https://youtu.be/WK8pozi1BB0

    Faisal Haroon replied 4 years, 2 months ago 4 Members · 7 Replies
  • 7 Replies
  • Last Meezan Lecture On Hazrat Esa (A.S.)

    Faisal Haroon updated 4 years, 2 months ago 4 Members · 7 Replies
  • Umer

    Moderator October 12, 2020 at 5:18 pm

    Last meezan lecture main jis ayah zeere-e-behas ka hawala aap nai diya hai usko Ghamidi Sahab nai bari tafseel sai discuss kiya hai, Baraye meharbaani ussay doobara sun lain aur mazeed koe sawal ho toh zaroor poochain:

    Discussion 1486 • Reply 33185

    Insha’Allah Nazool-e-Esa kai baab main jitni ghalat fehmiyan hain aur unkai baaray main Ghamidi Sahab ka nuqta-nazar, us par tafseel sai alag episodes stream hon gi “Response to 23 questions” ki series kai zeer-e-tehat in meezan lectures sai hat kai.

  • Aamir Khan

    Member October 13, 2020 at 12:25 am

    Bohat shukriya apke reply ka. Agar possible ho tou please Ghamidi sahab k agay yeh baat rakh dein ke woh mukalma umomun samjha jata hai Hazrat Esa (A.S.) k zamanay k logo ke bare mein hai. Lecture or tehreer mein Ghamidi sahab ne yeh qayamat tak k christians k bare mein is ko bayan kiya hai

    • Umer

      Moderator October 13, 2020 at 1:54 pm

      Woh muakalma Hazrat Esa (SWS) ki wafaat kai baad kai saaray Masihi logon kai baaray main hai, jinhon nai unki wafaat kai baad unhain mabood bana daala. Yai parhnay waalay kai zoq aur samjh pai hai kai woh ussay kis waqt kai logon kai saath Khaas karta hai.

      Is sai bh barh kai asal ayat Surah Aal-e-Imran, ayat # 55 hai jis main Masih (AS) ki wafat kai baad qayamat tak kai baaray main faisla sunaya gaya hai, is ayat kai baad har qisam ki taweel ki gunjaish khatam hoo jati hai. (yai ayat upar waali video main engineer sahab nai poori nhi parhi):

      إِنِّي مُتَوَفِّيكَ وَرَافِعُكَ إِلَيَّ وَمُطَهِّرُكَ مِنَ الَّذِينَ كَفَرُواْ وَجَاعِلُ الَّذِينَ اتَّبَعُوكَ فَوْقَ الَّذِينَ كَفَرُواْ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ ثُمَّ إِلَيَّ مَرْجِعُكُمْ فَأَحْكُمُ بَيْنَكُمْ فِيمَا كُنتُمْ فِيهِ تَخْتَلِفُونَ (55:3)

      “O Jesus! I have decided to give death to you and raise you to Myself and cleanse you from these people who have denied [you]. I shall make those who follow you superior to those who reject faith till the Day of Judgement.Then to Me you shall all return and I shall give My verdict in what you have been differing.” (3:55)

  • Umer

    Moderator October 13, 2020 at 2:05 pm
  • Saira Qureshi

    Member October 13, 2020 at 3:34 pm

    Was this topic of “ return of Hazrat Essa “ known /popular/ prevalent during lifetime of Prophet Mohammad??

    • Umer

      Moderator October 13, 2020 at 3:45 pm

      Had it been the case, then the first ever book of Hadith Muwatta of Imam Malik should’ve included such narrations.

  • Faisal Haroon

    Moderator November 5, 2020 at 10:13 am

    Please see:

    Discussion 35124

You must be logged in to reply.
Login | Register