Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islam And State Friday Namaz

Tagged: ,

  • Friday Namaz

    Faisal Haroon updated 4 years, 2 months ago 2 Members · 14 Replies
  • Faisal Haroon

    Moderator October 15, 2020 at 9:37 pm

    Muslim state ho tow farz hai. Non-muslim state mein aslan zuhr ki namaz farz hai. Kuch non-Muslim states mein Juma ijtihad kar ke padha jata hai, magar farz nahi hai.

    Discussion 8506 • Reply 8521

    • Mohammad Hasan

      Member October 15, 2020 at 11:14 pm

      Aur bhai meezan me juma k bare shayad kuch bhi nhi h

    • Faisal Haroon

      Moderator October 15, 2020 at 11:45 pm

      Shayad? Aapne Meezan padhi hai?

    • Faisal Haroon

      Moderator October 16, 2020 at 1:54 pm

      Jumma in Meezan

    • Mohammad Hasan

      Member October 16, 2020 at 12:56 am

      Bhai phli baat ye batadijye jaise ki india me yha masjid me imam juma ki namaz padhate h to us waqt hm kis niyat se namaz padhe farz ki kuch aur aur dusri baat agr yha juma ki namaz ho to kya phir bhi jm Zohar ki farz padhege ki sirf juma kaafi h

      Aur teesri baat jo hukmuran juma padhayenge wo kya pure country k hukmuran ho ki city k mohalle ka hukmuran ho

    • Faisal Haroon

      Moderator October 16, 2020 at 2:02 pm

      India mein ulema ijtihad kar ke Juma padhte hein. Agar us ijtihad pe aap ka itminan ho tow Juma padh lijiye. Itminan na ho tow Zuhr padh lijye. Agar itminan na ho magar community ke sath bhi chalna pesh-e-nazar ho tow Juma bhi padh lijye aur baad mein 4 rakat Zuhr bhi ada kar lijye.

      Pooray mulk ke hukumran ki zimmaydari hai ka Jumay ka ehtimam karay. Choonke khud tow hur jaga nahi pohoncha ja sakta iss liye wo illaqai level pe apnay log muqarar kar sakta hai.

    • Mohammad Hasan

      Member October 16, 2020 at 7:35 pm

      To bhai pakistan me kaise hoti h juma

  • Mohammad Hasan

    Member October 16, 2020 at 7:48 pm

    Aur dusri baat bhai ye batayie ki jb masjid me jao to do rakat sabit h to kya jb tk imam khutbe k liye na jaye jb tk jitni nafil padh sakte h utni padhna sabit h

    Aur bhai sirf ek azaan sabit h ki do azaan sabit h juma k din

    Aur bhai meezan me ye to nahi likha ki matlb hukmuran padhayega aur ijtihadi masla k bare me

    Aur akhri pakistan me kaise hoti h ghamidi sahab America me kaise padhte h aur ap kaise padh te h

    Aur saudi me to. Imam hi padhata h

    Aur ha ek aur baat agr ijtihadi ho kr muhalle muhalle me padhate h tha india me ya khi aur to kya ye biddat to nahih h

  • Faisal Haroon

    Moderator October 16, 2020 at 8:03 pm

    Taht ul masjid nafil namaz hai – padheinge tow ajar milega, nahi padhein tow moakhza nahi.

    Jumay ke liye dow azan hoti hein.

    Pakistan mein state ne private masjidon ko ijazat di hai.

    Saudi Arabia mein state ehtanam karwata hai.

    Biddat nahi hai – zaroorat ke tehat ijtihad kiya ja sakta hai.

    • Mohammad Hasan

      Member October 17, 2020 at 12:00 am

      Bhai tahiyatul masjid k baat nahi kr rhe h wo padhenge lekin baaki ka puch rahe h ki jb tk imam khutba na de tab tk jitni nafil mile padh sakte h

      Aur do azaan k bare meezan me to nahi h meezan me to sirf ek hi azaan kutbe se phle aur agar to iski daleel kya h

      Masjid me juma padhna biddat nahi h alag alag

      Aur masjid me padhenge to niyat nafil ki ho ya farz ki juma ki namaz me

      Aur agr hm juma na padhe to kya zuhur k namaz akele padhe ki jamaat se

    • Faisal Haroon

      Moderator October 17, 2020 at 1:49 am

      Taht ul masjid ho ya koi bhi aur nafil namaz, padheinge tow ajar milega, nahi padhein tow moakhza nahi.

      Sorry dow azan ghalati se keh diya.

      Masjid mein juma padhein tow jamaat ke sath padhein – alag alag nahi.

      Aap zuhr ki namaz padh rahe hein tow zuhr ki niyat se padhein, juma ki padh rahe hein tow juma ki niyat se padhein. Niyat ka taaluq ghar ya masjid se nahi hai. Niyat dil ke iraday ka naam hai – iss mein koi alfaz zuban se ada karna lazmi nahi hai.

      Zuhr ki jammat ho tow bohot acchi baat hai. Na ho tow akaly padh lein.

    • Mohammad Hasan

      Member October 17, 2020 at 2:03 am

      Bhai ek azaan ki kya daleel h

      Aur yha masjid me do azaan hoti h to kya ye biddat h

      Aur yha masjid me agar imam juma padhaye to kya padh sakte h koi biddat to nahi

      Aur juma padhenge to kya phir zohar padhne ki jarurat h ki Zohar to farz chot jayegi

      Aur juma farz h aur Zohar us fin kya h

    • Mohammad Hasan

      Member October 17, 2020 at 4:18 am

      Aur bhai ek aur masjid me padhege to imam padhayenge to biddat to nahi h padh sakte h

    • Faisal Haroon

      Moderator October 17, 2020 at 9:13 am

      Ji padh sakte hein.

You must be logged in to reply.
Login | Register