Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Allah Tala Ne Hazrat Adam K Andr Mojod Jins Ki Jabilat Ko Jannat Ma Kion Zàhir K

Tagged: ,

  • Allah Tala Ne Hazrat Adam K Andr Mojod Jins Ki Jabilat Ko Jannat Ma Kion Zàhir K

    Posted by junaid ahmed on April 4, 2021 at 7:58 pm

    Allah tala ne hazrat adam k andr mojod jins ki jabilat ko jannat ma kion zàhir kia.

    hazrat adam as ki sirf aik hi jabilat aik hi potential tha jo dunya k imtehan ma bhejny se pehly zahir krwaya gya ya zahir hony dya gya or wo tha jins ki jabilat.

    uski waja ye ho sakti ha k chonky sab potentials sab insan py jins ki jabilat k zahir hony se pehly insan py wazeh ho hi jati ha jese k ikhlaki shaor, khuda ka shaor, asthetics sense, aqaL, waghera bs aik jins hi ha jo bad ma namudar hti ha.

    to jins ki jabilat or sharm ka daiya is liye zahir krwaya gya pehle kion k hazrat adam ne pehla nabi bn na tha pehla insan bn na tha jis ne shariat py amal krna tha to shariat ma to jins se mutalik ahkam bhi hony thy to is liye ye aqali baat ha k shariat milny se pehle hi un py jins ki jabilat wazeh honi chaiye thi.

    wese to hazart adam k kissy ma bht se dosry pehlo bhi ha bht si or talimat bhi insan ko batae gae ha lekin ye aik baat bhi ho sakti ha usmy jins ki jabilat zahir krny ma.

    kia ye point valid ha?

    Umer replied 3 years ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Allah Tala Ne Hazrat Adam K Andr Mojod Jins Ki Jabilat Ko Jannat Ma Kion Zàhir K

    Umer updated 3 years ago 2 Members · 1 Reply
  • Umer

    Moderator April 5, 2021 at 8:18 pm

    jinsi jabillat aur ananiyat do intehaye hain jo insan ki aqal ko mauf kardaitee hain. Aik ka zahoor iblees sai hua aur doosri ka zahoor Adam (sws) sai, laikin is sab main maanikhaiz baat Adam (sws) ka ruju ka rawaiya thaa aur ibless ka apni ananiyat pai bazid rehna.

    Tafseel kai liya yai lecture mulaihza karain:

    Discussion 14431 • Reply 14462

You must be logged in to reply.
Login | Register