-
Can A Person Claim Another Person's Bad Deeds?
Salam.
Kya koi shakhs akhirat main kisi aur ke gunah ka azaab apne sarr le sakay ga? Aur agar ye mumkin hai to kya aik insaan poori insaniat ka azaab khud k sar le kar baqi sabko jannat ka rasta dilwa sakta hai?
Agar uss shakhs ka apna kirdar relevant hai to farz karlijiye k wo aik aam musalman hai jo sab faraiz pooray karta hai, quran ko behtar se bahtar samajhne ki koshish karta hai, ilkhaqi taur pe awam un-naas main achi raye rakhta hai, aur saadqi aur zuhd ki zindagi basar karta hai.
Main jaanta hu k aese sawal se shadeed entitlement aur takkabur ki boo aati hai, magar farz karlijiye k uss shakhs ki niyat sirf baqi sab ki nijaat hai. Kya aesi koi soorat e haal paida ho sakti hai?
JZK
Salam.
Sponsor Ask Ghamidi