Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Difference Between Minor Sins And Major Sins And Their Forgiveness

  • Difference Between Minor Sins And Major Sins And Their Forgiveness

    Posted by Muhammad Bilal on October 31, 2021 at 9:59 am

    Ghamidi sahab se mera swal ye hai k kuch ulma kehte aur likhtay hain k agar sagheera gunah baar baar kiye jain tu wo kabira ban jate hain, kia ye baat sahi hai Quran o sunnat k mutabiq wazahat kar dain, misaal k taur par zina aur badkari haram hai lekin zina k jo sad e zaria ke ahkaam hain wo main ne suna hai k sagheera gunah hain, tu agar zina k sade zaria k ahkaam ki khilaf warzi ki jaye tu kia wo sagheera gunah se kabira ban jate hai.

    Aur sagheera aur kabira gunah main farq kaisay karain.

    Sagheera gunah ki koi list hai.

    Shukria

    Umer replied 3 years, 1 month ago 2 Members · 10 Replies
  • 10 Replies
  • Difference Between Minor Sins And Major Sins And Their Forgiveness

    Umer updated 3 years, 1 month ago 2 Members · 10 Replies
  • Umer

    Moderator October 31, 2021 at 11:51 am

    Following thread-link details the ten commandments of Quran which result in major sins (Kabeera Gunnah) if one deviates from them:

    Discussion 53800 • Reply 53844

    Following video summarizes the above point:

    https://youtu.be/4mONgMguYQw

  • Umer

    Moderator October 31, 2021 at 11:52 am

    Sagheera gunnah ki baar baar khilaf-warzi usay kabeera gunnah toh nhi banati jab tak us kabeera gunnah ka irtikab na hoo, laikin jan boojh kar us gunnah ka baar baar irtikab kuch soorton main sarkash rawaiya ki taraf lai kar jaa sakta hai banday ko. This may be helpful:

    Discussion 56142

    • Muhammad Bilal

      Member October 31, 2021 at 10:13 pm

      Is baat ki koi daleel hai k baar baar sagheera gunah usko kabeerah nahi bnata kyonke bohat saray ulma se suna hai ke baar baar sagheera gunah usko kabeera bna deta hai, maharbani farma k wazahat kar dain aur agar ghamidi sahib tak bhi swal pohanch jaye tu kia hi achi baat hai.

      Shukria

    • Muhammad Bilal

      Member October 31, 2021 at 10:18 pm

      Kin sorton main banda sarkish rawaiye ki taraf ja sakta hai aur sagheera gunah tu banda soch samjh k hi kar raha hota hai jis main bohat c cheezain shamil hain aur Quran o sunnat ki roshni main kia sagheera gunah khud ba khud namaz, jumah, achay kaam waghera karnay se maaf ho jatay hain.

  • Muhammad Bilal

    Member October 31, 2021 at 1:29 pm

    Sarkash rawaiye se kia murad hai?

    • Umer

      Moderator October 31, 2021 at 1:49 pm

      Agar woh chota gunnah bh jan bujh kar khuda kai miqablay main aa kar kiya jaye.

    • Muhammad Bilal

      Member October 31, 2021 at 10:11 pm

      Umar bhai agar sagheera gunah khuda k muqablay main khara ho k na kia jaye balke sirf amal ki kamzori ki waja se ho aur insan ki niyat us ko tark karne ki ho aur ye bhi niyat ho k aglay kuch arsay tak ahista ahista ye gunah mazeed ilm aur tarbiat se chor doon ga kyonke adat aik din main tu nahi badaltin aur sath sath Allah se maafi bhi mangta rahay, lekin sagheera gunah bhi baar baar routine se karey tu kia tab bhi ye sarkashi ho gi ya kuch aur.

    • Umer

      Moderator November 2, 2021 at 3:52 am

      Nhi tab yai sarkashi kai zumray main nhi aata.

      Sagheera gunnah Allah banday kai bhot sai naik amal ki wajha sai khud hi maaf kar daita hai. Jaisay aik jummay sai doosray Jummay kai Gunnah agar banda ahtemaam sai Jumma Parhay, isi tarah wuzu kartay hua, isi tarah aur doosray muwaqon par bh.

  • Muhammad Bilal

    Member October 31, 2021 at 10:22 pm

    Umar bhai main darasal “comparitive study” karta hoon mukhtalif topics lekin is topic par mujhay in sawalat ka internet par kahin jawab nahi mila, apkay taawun chahta hoon in sawalat par.

    Shukria

  • Muhammad Bilal

    Member November 1, 2021 at 10:01 pm

    A reply here will be much appreciated.

The discussion "Difference Between Minor Sins And Major Sins And Their Forgiveness" is closed to new replies.

Start of Discussion
0 of 0 replies June 2018
Now