Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Epistemology and Philosophy Question On Ghamidi Sahab's Meezan: Mubadi Tadabbur-e-Sunnat

Tagged: ,

  • Question On Ghamidi Sahab's Meezan: Mubadi Tadabbur-e-Sunnat

    Posted by Nazar Muhammad on November 5, 2021 at 9:58 pm

    mee meezan class dek raha hu usol o mubadi magar un classes ko dekhne me zara 19 20 sal late hu dar asal me porani videos dek raha hu or sawalat krne se ajiz hu bki logo ki tra jo us videos me kr rae he per sawalat to mere andar b peda hu rae hein

    so mera ak sawal ye hei ke Ustad ne farmaya ke koi chiz apni noiat ke lihaz se deen huna chaiye so khajoor kaddo khana gadhe ki sawari etc ye sb Insani tatheer se mutalliq ni he deen ni he or noiat ke mutalliq deen ni he to mera nukta ye he ye cheze aslan deen ni he apni buniad se lkin buniad Nabi ki muhabbat hu to pir to amal ka daro madar niat per he iski waja se nabi ki muhabbat tatheer b he rohani or deen b he ab us me koi gadhe per is niat se sawari kre ya kajoor ya kaddo khae tb to wo apne asal se ni magar nabi ki muhabbat ki rooh se to deen hu jae gi na mene ustad ke usool per jirah ni ki wo apni jaga qaim he magar application me frq he kia ap smjh pa rae he?????

    Umer replied 2 years, 5 months ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Question On Ghamidi Sahab's Meezan: Mubadi Tadabbur-e-Sunnat

  • Umer

    Moderator November 6, 2021 at 3:34 am

    Woh Insani mohobbat ka izhar hi rahay ga, ussay deen nhi kaha jaa sakta. Deen wohi hai jissay Rasool deen ki haisiyat sai jaari karay.

    Samjhnay ki had tak isko Waldain sai mohobbat kai jazbay sai samjha jaa sakta hai; deeni hukam un sai husn-e-salook hai aur woh us kai ada karnay sai poora hojaye ga. Laikin insan main walidain sai mohobbat ka jo jazba hai us kai tehat kabhi insan unkai pair choom laita hai, kabhi wahan sota hai jahan woh sotay hain…yai sab mohobbat kai jazbaat hain jinki bunyad insani fitrat main mojood hai. Laikin yai deen kai dairay ki cheez nhi.

You must be logged in to reply.
Login | Register