Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islam And Science Was Adam A. S First Man?

  • Was Adam A. S First Man?

    Posted by ashif ahmed on November 22, 2021 at 10:28 am

    adam a.s se pehle agar jo insan the unka sha’oor nehi tha matalab adam a.s pehle insan jispar rooh dala gaya allah ke taraf se toh bagair ma bap ke kyo banaya un la sha’oor insan o se hee paida karke rooh dala jata ..? aur phir bhi man le ki agar ek special creation banaya adam a.s pehla insan the jisko sha’oor mila ruh ke natije par lekin

    quran me meins padha tha ki allah ne jin aur insan ko banaya hee isiliye taki woh allah ki ibadat kare toh kya jo pehle insan the jiske pass sha’oor nehi tha woh bhi toh insan the toh woh log ibadat karte the agar nehi karte toh ayat me toh ibdat ke liye banaya gaya hei woh log kya nafarmani karte the aur agar ibadat karte the toh woh la sha’oor kaise hua aur kya adam ki wife hawa a.s thi aur kya unko adam ke pasli se banaya gaya tha mujhe quran me nehi mil raha hei ..? ho sake toh mujhe bataye koi thank you

    Umer replied 3 years, 1 month ago 2 Members · 2 Replies
  • 2 Replies
  • Was Adam A. S First Man?

    Umer updated 3 years, 1 month ago 2 Members · 2 Replies
  • Umer

    Moderator November 24, 2021 at 4:19 pm

    Quran main jo kaha gaya hai kai jinn-o-ins ko ibadat kai liya paida kiya, yahan ibadat sai murad sirf namaz roza nhi, balkay yahan ibadat wasee’ mafhoom main istemal hua hai. Neecahy link main videos main ibadat kai lafz ki mazeed tafseel sunni jaa sakti hai:

    Discussion 32787

    Quran sai yai wazeh hai kai Allah ka hum insanon kai liya imtehan Adam (sws) sai hi shuru hua hai, us sai pehlay jo insan thay woh insan ka haiwani dor thaa, us main imtehan ki ibtida nhi hue thii. Unka maamla who hai jo doosray janwaron ka thaa.

    Hawa ko Adam ki pasli sai nhi banaya gaya, Quran kai isharaat sai wazeh hai kai dono akhtay paida huay jaisay jurwa paida hotay hain. Tafseelaat kai liya mulaihiza hoo:

    Discussion 54903

  • Umer

    Moderator November 24, 2021 at 4:21 pm

    Please see for further details:

    Discussion 58286 • Reply 58316

You must be logged in to reply.
Login | Register