Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Hadees About Hafiz-e-Quran

  • Hadees About Hafiz-e-Quran

  • Umer

    Moderator December 19, 2021 at 3:06 pm

    https://sunnah.com/ibnmajah:3780

    Is hadees main najeejay kai aitebaar sai aik Quran kai saath zinda taluq rakhnay waalay ka silla btaya jaa raha hai. Jo shaks Quran parhta raha aur usko apni zindagi main amli tor pai apnaya, toh uska sila yai hai kai ussay har ayat kai saath aik darja bulandi ata hogi.

    Ahadess main cheezain itlaqi hooti hain, asooli nhi. Asool Quran aur Sunnat sai akhz hotay hain, aur un asoolon ki bunyad par ahadees samjhi jaati hain. Yahi wajah hai kai is Hadees main bh yeh baat muqaddar samjhi jayegi kai us shaks nai apni zindagi Quran kai asoolon kai mutabiq guzari hoo aur us main koe qasar na chori hoo.

    Following comments of Ghamidi Sahab will be helpful in this context:

    Please refer to the video below from 42:31 to 45:42

  • Muzammil Chandio

    Member December 19, 2021 at 8:30 pm

    JazakALLAH

You must be logged in to reply.
Login | Register