Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia How Much Inheritance Can Be Distributed In A Will

Tagged: 

  • How Much Inheritance Can Be Distributed In A Will

    Posted by ashif ahmed on January 31, 2022 at 11:17 am

    agar koi bap apne kisi bete ya beti ke nam par property le lekin kis buniyad par le raha hei woh nehi bataya ya wasiat me kis wajeh se de raha hei sirf ek ya 2 ke nam par kuch property khidmat ya zaroorat inme se kuch bhi bayan na kare toh us wasiat ya jo property apne kisi aulad ke nam par karein kya woh zaij hoga aur jisne kiya tha woh bhi ab inteqal ho chuka hei toh hum kaise faisla karein us wasiat ke bare me …mene apne Walid se kaha tha toh mere Walid sahab ne kaha tha tumhare dada ji ne yeh humein diya hei aur property ke papers bhi dikhaya tha aur yeh bhi kaha ki humne joh wasiat me diya tha woh liya hei sirf wirasat me se humne kuch nehi liya

    Umer replied 1 year, 12 months ago 3 Members · 12 Replies
  • 12 Replies
  • How Much Inheritance Can Be Distributed In A Will

    Umer updated 1 year, 12 months ago 3 Members · 12 Replies
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar February 1, 2022 at 4:37 am

    وصیت کا حق صاحب جائیداد کو ہے ۔ اس سے پوچھنے کا کوئی قانونی اختیار نہیں ہے کہ اس نے وصیت میں کس کو کتنی جائیداد کس اصول پر دی۔ وہ چاہے تو ساری جائیداد کسی ایک یا چند کے نام پر کر سکتا ہے۔

    انسانوں کا کام وصیت کے مطابق عمل کرنا ہے۔ یہ ان کی قانونی اور اخلاقی ذمہ داری ہے۔

    وصیت میں اگر کسی زیادتی یا ظلم کا اندیشہ ہے تو یہ معاملہ وصیت کرنے والے اور خدا کے درمیان ہے۔ ممکن ہے بندے کے پاس کوئی جواز ہو جس سے دوسرے لوگ واقف نہ ہوں۔

  • ashif ahmed

    Member February 2, 2022 at 7:16 am

    @Irfan76 aur jo hadith hei Jo waris ke haq me wasiat ke bare me mana kiya hei us hadith ka sanad aur ribayat kya sahi ke darje me pura hota hei please batiye

  • Umer

    Moderator February 2, 2022 at 11:28 am
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar February 3, 2022 at 3:03 am

    سعد بن ابی وقاص سے متعلق وہ حدیث حضرت سعد کے حالات کے مطابق ایک مشورہ تھا، کہ جائیداد کا تیسرے حصہ راہ خدا میں وقف کریں۔ یہ کوئی قانونی فیصلہ نہ تھا۔

    • ashif ahmed

      Member March 23, 2022 at 12:08 pm

      @Irfan76 @UmerQureshi

      Sunan Abi Dawud 2870

      Narrated AbuHurayrah: heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: Allah has appointed for everyone who has a right what is due to him, and no bequest must be made to an heir.

      حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَهَّابِ بْنُ نَجْدَةَ، حَدَّثَنَا ابْنُ عَيَّاشٍ، عَنْ شُرَحْبِيلَ بْنِ مُسْلِمٍ، سَمِعْتُ أَبَا أُمَامَةَ، سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ “‏ إِنَّ اللَّهَ قَدْ أَعْطَى كُلَّ ذِي حَقٍّ حَقَّهُ فَلاَ وَصِيَّةَ لِوَارِثٍ ‏”‏ ‏.

      Grade: Hasan Sahih (Al-Albani) حسن صحيح (الألباني) حك‏

      mujhe is hadith ke bare me batiye agar yeh ribayat sahi hei ya Hasan hei tab toh waris ke haq me wasiat nehi ho sakta aur waris me sayad biwi ma bap sab ata hei…?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar March 25, 2022 at 5:24 am

    اس سے مراد قانونی وصیت ہے۔ قانونی حصے میں کوئی رد و بدل نہ ہوگا۔ البتہ حق خدمت یا کسی ضرورت کی بنا پر وصیت کی جا سکتی ہے۔

    • ashif ahmed

      Member March 25, 2022 at 1:25 pm

      kya ab mujhe hadith ka matalab English letter me Hindi me samjha sakte heivjis taraf mein likh raha hu mujhe samajh nehi ata urdu aur agar yeh pata na ho ki wasiat ki wajeh khidmat hei ya nehi aur jo insan wasiat kar chuka tha woh ab mar chuka ho aur jiske nam par wasiat hui ho woh bhi yehi keh raha ho ki yeh hame virasat me nehi wasiat me mili hei

    • Umer

      Moderator March 25, 2022 at 7:24 pm

      Rishtaidari ki bunyad par warson kai haq main wasiyat nhi hoo sakti laikin kissi haq khidmat ya kisi jaiz zarorat ki bina par warson kai haq main bh wasiyat hoo sakti hai. Is hadees main isi pehlay pahlu par tawajjo dilae gae hai.

      Baraye meharbani neechay diya gai link main videos mulaihiza karain:

      Discussion 32372

    • ashif ahmed

      Member March 26, 2022 at 12:14 pm

      aur agar yeh pata nah ho ko kis wajeh se wasiat kiya tha khidmat ya kisi zaroorat ke wajeh hee nehi pata ho tab kya hum yeh bat wasiat karke marne wale ke mamla unke aur unke rab ke bich chod de..? aur mujhe toh yeh bhi nehi lagta yeh wasiat thi yeh sayad ek tarah se dekha jaye toh tohfa tha kyki jee te Zee unlogo ke nam per kharida tha par batwara unke guzar ne ki bohot sal bad hua

    • Umer

      Moderator March 27, 2022 at 4:45 am

      Apni zindagi main agar naam kardiya thaa phir toh unka yai istehqaq thaa aur uskai liya koe wajah hona zaroori bh nhi. Aur agar wasiyat ki thii toh uskai liya kisi waris kai haq main wasiyat kisi wjah sai honi chaiyai jaisay kai upar bayan hua, agar wajah bayan na ki gae hoo toh maamla wasiyat karnay waalay aur khuda kai darmyan hi chorna chaiyai, jaisa kai mohtaram irfan shahzad sahab nai upar bayan farmaya.

    • ashif ahmed

      Member March 29, 2022 at 10:51 am

      @UmerQureshi matlab property toh 1983 me kharida tha apne beton ke nam per lekin tab sab log sath he the aur unka death 1990-1994 ke beach me hua hoga aur batwara toh 2009-2010 me hua hoga matlab kharid toh apne beton ke nam 1983 me hee tha par unlogo ko taqsim nehi kar diya tha sab log sath me hee the unke intaqal ke bohot bad beton ne batwara kar liya tha ab yeh wasiat me ayega ya gift ke category me hoga aur agar wasiat thi agar koi us hadith per Amal karke yeh kahe ki firse sab kuch batwara karna chahiye jaise ki hanfi school of thought ke ulma aisa kehte hei per agar koi yeh shoch ker khuda ke uper chor de ki yeh khidmat ke ya zaroorat ke bina per diya hei ya kuch aur hamein toh bata nehi toh woh aur khuda jane lekin yeh kahi mujse galat duniya ki daulat ka lalach ki wajeh se na aj jaye per mein kuch ker bhi nehi sakta abhi

      faisla mujhe kerna hoga kya us hadith ka koi tafseer ghamidi sab ke kisi book me bayan hua hei khidmat aur zaroorat ke bina per wasiat karne per aur yeh bhi batiye ki yeh wasiat hoga ya ek tarah ka gift

    • Umer

      Moderator March 29, 2022 at 10:37 pm

      Agar zindagi main hi walid sahab nai kisi aulad kai naam kuch kardiya thaa toh woh gift hai, uska wasiat sai koe talluq nhi hai, aur uska batwara bh nhi hoo sakta.

      Laikin agar koe shaks khud apnay apko paish kardai us jaidad kai batwaray kai liya, yai sooch kar kai us gift sai kisi na-insafi ka khadsha hai, toh yai woh shaks kar sakta hai.

      Ghamidi Sahab nai us hadees ko kafi jagah bayan kiya hai kai woh ussay kaisay samjhtay hain, upar diyay gaye link main woh videos mojud hain. Mazeed baran unka yai article bh mulaihiza kiya jaa sajta hai:

      In Urdu:

      https://www.javedahmedghamidi.org/#!/books/5aa66ae35e891e8f44a43f5f?chapterNo=41

      In English:

      Discussion 2587 • Reply 2615

You must be logged in to reply.
Login | Register