Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Husband Wife Not In Contact For 2 Years, Status Of Divorce And Inheritance?

  • Husband Wife Not In Contact For 2 Years, Status Of Divorce And Inheritance?

    Posted by Athar Mehboob on February 12, 2022 at 2:03 am

    Eik miyan bivi narazgi ki wajah se taqreeban 2 saalon tak eik doosre ki khabar nahi lete….2 salon bad achanak eik din sohar ka inteqaal ho jata hai jis mulq me rehte hain wahan ka law kehta hai shohar ne agar talaaq Nahi di to saara kuch jo sohar chhod k gaya hai woh bivi ko jayega… Par shohar k bhai bahen is baat ko keh rahe hain k jo kuch peeche chhuta usme hamara bhi hissa hai… Aur kuch moulvi saheb bhi is Tarah fatwa de rahe hain k 2 saal tak eik doosre se miyan bivi ka la talkuq hone se khud hi talaaq ho gayi hai kuch ne yahan tak keh diya k sirf 4 ya 5 mahine eik doosre se latalluq hone se khud hi talaaq ho jati hai is wajah se uski bivi ko kuch nahi jayega jo kuch ha woh bas uske bhai bahen ka hai.. baraye Meherbani roman urdu main jawab Dein..

    Umer replied 2 years, 2 months ago 2 Members · 3 Replies
  • 3 Replies
  • Husband Wife Not In Contact For 2 Years, Status Of Divorce And Inheritance?

    Umer updated 2 years, 2 months ago 2 Members · 3 Replies
  • Umer

    Moderator February 12, 2022 at 4:03 am

    Divorce doesn’t happen itself becasue of lack of marital relations between a husband and wife. For a divorce to take effect, it needs to be given explicitly, in accordance with Quran and the state law. Therefore, the marriage is still intact unless Divorce was given properly.

    Secondly, if inheritance law of a country is against Islamic Sharia, then Husband should’ve made the will as per Islamic Law of Inheritance. It was a religious duty of the Husband to make such a will. And in it’s absence, wife needs to distrbute the share she got in accordance with Islamic inheritance.

    (Miyan biwi ka mehaz talluq na honay ki surat main tallaq khud sai waqai nhi hoti jab tak Tallaq Islamic Shariat aur Mulki Qanoon kai mutabiq na di jaye. Is liya Tallaq diya baghair khud sai tallaq waqai nhi hoti.

    Aur agar mulki warasat ka qanoon Islamic Shariat kai khilaf hoo to husband ki zimmadari thii kai Islamic Shariat kai mutabiq wasiyat karay, yai uski deeni zimmadari hai. Aur agar uski wafaat aisi wasiyat sai pehlay hogae hai, to biwi ko jo warasat millay gi usko islamic shariat kai mutabiq sab main bantna hoga)

    Please refer to the following videos of Ghamidi Sahab regarding inheritance:

    Please refer to the video below from 31:06 to 33:10

  • Umer

    Moderator February 12, 2022 at 4:04 am

    Please also refer to the video below from 1:54:24 to 1:55:12

  • Umer

    Moderator February 12, 2022 at 4:05 am

    Please also refer to the video below from 1:16:37 to 1:19:57

The discussion "Husband Wife Not In Contact For 2 Years, Status Of Divorce And Inheritance?" is closed to new replies.

Start of Discussion
0 of 0 replies June 2018
Now