Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Gas Incontinence

  • Gas Incontinence

    Posted by ashif ahmed on April 3, 2022 at 9:11 am

    mera wadu karne bad hee zyada tar wadhu toot jata hei hawa kharij hojata hei aur kabhi kabhi thik he rehta hei aur aur namz me ruku aur sajde me zyada tar aisa hota hei kya mei majoor ki category me ata hu ya mujhe ghar per jab hawa kharij ki problem na ho ghar pe namaz ada karna chahiye ..? per mei sure nehi hota kab yeh problem nehi hoga kyki kabhi kabhi thik he rehta hei per kabhi kabhi jab bhi wadhu karta hu namaz me he wadu toot jata hei aur mera problem bhi hei bimar hone ka thand ki wajeh se toh mein kya karu ..?

    ashif ahmed replied 1 year, 11 months ago 3 Members · 14 Replies
  • 14 Replies
  • Gas Incontinence

    ashif ahmed updated 1 year, 11 months ago 3 Members · 14 Replies
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 4, 2022 at 2:26 am

    agr ye masla Ap key akhtiayar main nahi to is ko majburi samjha ja skta hai. hr namaz key liey neya wudu kar lia karein and us wudu sy namaz ada kr lein.

  • Umer

    Moderator April 4, 2022 at 4:42 pm

    Mazeed tafseel kai liya mulahiza hoo:

    Discussion 59287

    • ashif ahmed

      Member April 13, 2022 at 3:26 am

      @UmerQureshi kafi had tak asli bat samajh a chuka hei per meine ek salafi ulma ko yeh kehte hue suna tha ki Aisa hone per jab yakin ho jis time gas pass nehi hoga us waqt namaz parhe aur masjid me bhi na jaye Ghar pe parhe mera masla yeh hei ki mera kabhi kabhi continuously gas pass hota hei kabhi kabhi thode time bad aur kabhi kabhi wazu karne ke bad bohot jald hee waju toot jata hei namaz mukammal nehi kar pata ab mujhe pata bhi nehi hota ki kab konsa masla hoga kya is mamle bhi yeh kar sakte hei yeh

  • ashif ahmed

    Member April 13, 2022 at 4:57 am

    actually Mera 2 types ke problem ho raha hei aur tisra sawal bhi isi mutaliq hei

    1 / mera wuzu ko zyadatar barkarar nehi rakh sakta 1 namaz ko bhi mukammal nehi kar pata 1 wazu se bohot bar aisa hota hei kya yeh bhi mazoor ki list me nehi ayega kyki .. kyki waju agar nehi rehta hei tab bhi koi kuch nehi kar payega ha kabhi kabhi toot jaye toh thik hei per mera zyada tar wadhu jald toot jata hei lekin kabhi kabhi thik bhi rehta hei is wajeh se me faisla nehi kar pata ki kab kis wajeh se hua hei

    2/ 2nd problem toh bata he diya uska toh pata hei continuously gas pass hota hei

    3d kya karein hum agar namaz ke dauran waju toot jaye kuki mera lagbhag abhi namaz ke dauran waju toot he jata hei kya Ghar me mujhe namaz ada karna chahiye per mujhe masjide jane ki khwahish hoti hei aur aisa bhi nehi ki meri wajeh se logo ko problem ho Rahi ho jab aisa lage tab toh mujhe ghar per hee padhna chahiye aur kya me us waqt tak ruka rahu jab mujhe yakin ho jaye ab mera gas pass nehi hoga per aisa karna mushaqqat toh nehi per jamat me namaj ada nehi ho sakega kya aisa nehi ho sakta ki me masjid ki jamat ke waqt namaz jaou us waqt mera agar koi problem ho toh me ek he waju se namaz ada kar lu chahe bad ke time par normal ho sab halaki kabhi kabhi bad me zyada ho jata hei gas pass hona aur kabhi kabhi thoda kam jata hei namaz ke time ke muqable aur kabhi kabhi sirf namaz ke waqt (jamat) rehta hei bad me thik ho jata hei mujhe ab in sare sawal ko nazar karte jawab dijiye aur sorry aplogo ko bohot sawal kar raha hu per mujhe janna hei

  • Umer

    Moderator April 13, 2022 at 6:48 am

    apkai in tamam maslon ka hal yahi hai jaisa kai Irfan Sahab nai upar bayan kiya:

    agr ye masla Ap key akhtiayar main nahi to is ko majburi samjha ja skta hai. hr namaz key liey neya wudu kar lia karein and us wudu sy namaz ada kr lein“.

    Aap masjid bh jaa saktay hain aur usi wuzu main poori namaz ada karsaktay hain, beshak hawa kharij hoti rahay. Chunkai yai cheez apkai bas main nhi, toh is ko mazuri samjh kar mustasna qarar diya jayega, kyunkai bar bar wuzu ghair mamooli mushaqqat ban jayega.

  • ashif ahmed

    Member April 16, 2022 at 8:00 am

    bhaijaan ek aur sawal is mamle me ki

    meine suna tha ki azan ke bad waju karna chahiye is mamle me phir us waju se pura namaz ada kar sakte hei per kya azan se pehle wadhu karne se nehi hoga maghrib ke liye toh log aksar azan se pehle he waju kar lete hei kya azan se kuch minutes pehle waju kar sakte hei 5,10 pehle yeh toh koi shart toh nehi hei na

    • Umer

      Moderator April 16, 2022 at 3:19 pm

      Ji bilkul kar saktay hain, koe maslay waali baat nhi.

  • ashif ahmed

    Member April 16, 2022 at 4:19 pm

    ji shukriya

  • ashif ahmed

    Member May 28, 2022 at 10:25 am

    @UmerQureshi ek aur sawal agar kabhi namaz ko jamah karke padhne ho aur gas incontinence ki wajeh se ek bar wuzu karna kafi hota hei lekin kya namaz ko jama karne par 2 farz namaz ko ek hee wuzu se bhi padh sakte hei Zama namaz ko

  • ashif ahmed

    Member May 28, 2022 at 2:59 pm

    matlab kya gas incontinence me bhi me ek waju se do fard namaz ek sath padh sakta hu agar namaz ko jama kar liye hei toh

    • Umer

      Moderator May 28, 2022 at 4:11 pm

      Ji jama Namaz ko parh saktay hain aik hi wuzu sai.

  • ashif ahmed

    Member May 28, 2022 at 4:15 pm

    @UmerQureshi shukriya mene isiliye pucha hei kyki jab gas incontinence ho tab ek fard namaz ke liye ek wuzu karna chahiye aur alag fard namaz ke liye alag wuzu lekin Zama namaz ko jab padte waqt wuzu toot jaye gas incontinence ke wajeh se toh kya tab bhi ek wuzu se hee do namaz ek he wuzu se padh sakte hei please ek bar aur clear karde kyuki jab aise problem ho toh tab ek wuzu se pura namaz ada kar sakte hei wuzu toot bhi jaye toh lekin dusre fard namaz ko bhi ada kar sakte hei usi wuzu se agar jama namaz ho toh

    • Umer

      Moderator May 28, 2022 at 4:21 pm

      Agar is darjay main yai masla hoo toh jab tak banday ka apnay ikhtiyar sai wuzu na tootay, jaisay aam halaat main toot jata hai, tab tak aik wuzu sai aik sai zayada namazain bh parhi jaa sakti hain. Yai ijtihadi masla hai. Laikin behtar hoga kai nae namaz jo kuch waqt kai baad parhni hai us kai liya naya wuzu kar liya jaye. Aur agar do farz aik saath parhnay hain, toh woh usi wuzu main dono parhay jaa saktay hain.

  • ashif ahmed

    Member May 28, 2022 at 4:23 pm

    shukriya

You must be logged in to reply.
Login | Register