Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Splashbacks Of Impurity When Washing Clothes

Tagged: 

  • Splashbacks Of Impurity When Washing Clothes

    Posted by ashif ahmed on April 11, 2022 at 5:00 am

    assalam alaikum agar mere jism me koi napaki lagi ho ya kapdo per jab bhi me usko wash karta hu toh chitein wapas mujper ata hei aur bathroom ki diwar o per bucket me jata hei is mamle kya karna chahiye kyki me bar bar diwar aur apne kapdo dhona padega kyki chitein toh bar bar wapas ayega fir dhona aur jaha jaha chitein pari ho firse usko dhona yeh bohot mushkil lagti hei aur fitrat ke khilaf bhi lagta hei lekin napaki ki ke mamle me kya koi wajeh rehnummai diya gaya hei kyki aksar tog isme mubtala ho jatein hei aur pareshani hoti kya sirf ek bar dho dena kafi hoga chitein mein toh pani mix ho chuka hei aur chiton se rang buu bhi nehi malum hota aur agar napaki ko dhone ke time jo chitein wapas ati hei usse bachna muskil hei aur kya is chiton ko dhone ka bhi koi huqum wajeh tor per diya gaya hei kyki yeh aur peshab ke chitein toh samaj ata hei unke dhona zaroori hei kyki woh toh wajeh napaki hei per un chiton ko dhote time phir unke chitein iska kya haal hei Islam mei …

    Umer replied 1 year, 5 months ago 2 Members · 17 Replies
  • 17 Replies
  • Splashbacks Of Impurity When Washing Clothes

    Umer updated 1 year, 5 months ago 2 Members · 17 Replies
  • Umer

    Moderator April 11, 2022 at 6:54 am

    Iska asan tareeka yeh hai hai aap ehtiyaat kai saath dhoyen kapray, is ehtiyaat kai baad bh agar kuch cheentain par jaati hain toh koe baat nhi, aap pai dhona lazim nhi, kyunkai jo cheentain hain woh lazman napaak nhi hoti aur jab tak apko yaqeen na hoo kai yai cheentain napaak hain tab tak ap pai inko dhonay ki bh zimmadari nhi.

    • ashif ahmed

      Member April 11, 2022 at 10:25 am

      yakeen na iska matlab mein samjha nehi ya toh yeh paak hoga ya napak hoga mujhe yeh kaise pata chalega ki yeh paak hei ya nehi kyuki chitein toh kisi ek jagah pe nehi hoti aur pata bhi chalta colour smell kuch bhi pata nehi hota hei isiliye Mera question tha ki kya koi ribayat hei ya kuch dalil hei jisme napak kapdo ya istinja ke waqt peshab aur defecate ke time jo chitein athi hei kya woh napak hoti hei koi ribayat kyo nehi hei isme aur yeh bad walon ke liye itna masla kyo ban gaya sahaba ke waqt kya aise koi waqia milta hei jisme in pareshani o ki bat Hui ho unko bhi agar nehi hui hei toh kya koi kar sakte hei kyki kapde dhote waqt toh chitein lagte hee aur istinja ke waqt toh bachna muskil hei

    • Umer

      Moderator April 11, 2022 at 4:30 pm

      Deen kai ehkam main ghair mamooli mushaqqat nhi hoti. Aur mehaz shak ki bunyad par chenton ko napak samhjhna ghair mamooli mushaqqat main dalta hai. Aur aam tor par itna saaf paani kapron kai saath mil janay kai baad, chentoon ka napak hona kisi surat mumkin nhi lagta. Zayada pani saaf hai toh napaki nhi keh saktay un cheenton ko. Agar yaqeen hojaye napaki ka, toh dhoo lain, warna mehaz weham ki bunyad pai apnay apko mushaqqat main dalna deen ki ruh kai munafi hai.

      Yai sab fiqhi araa hain jo neechay aap nai bayan ki hain, in main logon kai ma bain ikhtelaf hoo sakta hai.

    • ashif ahmed

      Member April 12, 2022 at 7:06 am

      @UmerQureshi 1st : =point kya istinja ke mamle me bhi yehi lagoo nehi hona chahiye ki istinja ke chitein bhi tab tak napak nehi hona chahiye jab tak unme koi smell ya napaki ka asar malum ho lekin isko malum karna bhi gair mamoli mushaqqat dalna nehi hoga aur……

      2nd : = point yeh ki agar malum bhi ho ki thodi halki si napaki ko chu kar ayi hei chitein par malum nehi ho ki usme napaki mix hokar uska colour and smell change hua ya nehi kya tab bhi paak hee kehlayega kyki yaha bhi toh pata nehi hota ..

      3rd : = point pura ehtiat ke bad bhi jitna koshish karna chahiye matlab bachne koshish ke bad bhi napaki ka thoda sa chitein ag jaye jaise ki agar istinja ka Pani napak bhi ho aur yeh malum ho ki kabhi kabhi peshab karte waqt halka sa napaki ki chitein a Jaye lekin unse bacha nehi ja sakta bar bar dhona bhi khudko mushaqqat me dalna he hoga matlab kapdo ko dhona jis jis ko dho sakte hei jaise hath o aur pedo dho lu per kapdo ko chod du toh yeh kya maf ho sakta hei Islam me . kuki yeh sab bhi musakkat me ata hei .aur kya hei musakkat khudko dalna ke liye mana kiya hei allah ne toh agar ho napaki se bacha nehi ja sakta woh bhi maf ho sakta hei ..?

      mere yeh teeno ponits ka jawab dijiye aur sorry me bohot sawal kar raha hu per mujhe lagta hei mere sawal ka jawab Milne se me in waswase se bahar a sakunga

    • Umer

      Moderator April 12, 2022 at 8:09 am

      1) Bilkul aisa hi hai isi liya jab tak mukammal yaqeen na hoo tab tak mehaz shak ki bunyad par aap par koe deeni zimmadari nhi aati.

      2) apko agar yaqeen hai kai napaaki lag gae hai toh woh jagah saaf kar lain, laikin mehaz cheentain napak nhi hoti, napaki waali cheentain napak hoti hain, aur agar saaf pani ki miqdaar bhot zayada hoo toh cheentain napak nhi hongi kyunkai saf paani unki napaki khatam kar chuka hoga.

      3) Ji agar aap poori ehtiyat kartay hain jitni aik aam insan kai bas main hoti hai, toh us par agar koe kami reh bh jati hai toh Allah maaf karay ga Insha’Allah. Deen main koe mushaqqat nhi, yai Quran ka musalma asool hai. Ab kitni mushaqqat insan kai bas sai bahir hoo rahi hai aur takleef ka baees ban rahi hai, yai insan ko khud dayanatdari sai tai karna karna hai.

    • ashif ahmed

      Member April 12, 2022 at 8:45 am

      shukriya toh yeh usul toh is mamle bhi ho sakta hei kyki istinja karte waqt thodi bohot kapdo per lag sakti chetein agar roj istinja ke karne ke waqt agar kapdo ko dhona parein toh mushaqat ka kanoon lagi ho sakta hei ..? kyki agar defecate ke bad har bar ya zyadatar aisa he hota hei toh roj defecate ke bad kapdo ko dhona ya shower Lena mushaqqat ho sakta hei aur yeh isnsani fitrat se bhi malum nehi hota aur sahaba aur pehle ki muslim o ke waqt bhi kuch aisa nehi milta …?

    • Umer

      Moderator April 13, 2022 at 6:25 am

      Bar Bar kapray sirf shak ki bina par dhona yaqeenan bilawaja ki mushaqqat hai. Jab tak insan kai pass qatae wajah na hoo kapray donay ki, tab tak mehaz shak ki bunyad par bar bar kapray dhona apnay apko bilawajah ki mushaqqat main hi daalna hai, jo kai deen ki ruh kai khilaf hai.

    • ashif ahmed

      Member April 11, 2022 at 12:12 pm

      @UmerQureshi aur meine thoda is barein aur janna chaha toh goggle mein thoda search bohot se nukta a najar sunne ko mila

      kuch log kehte hei thode si napaki ko nazar andaaz kiya ja sakta hei chahe woh peshab ke halke chitein kyo na ho kyki Islam me mushkil nehi hei ha pair ko dho Lena chahiye agar dhona hei kyki sahaba aur pehle ki musalman o ke pass utna Pani bhi nehi tha aur papper bhi nehi tha jo unko akhon se wajeh tor par dikhti thi unhi ko saf karke chalte the , kya yeh sahi nehi hei bat toh bilkul sahi lagta hei waqai us time pani ki kami thi

      aur imam Malik ya Maliki o ka yeh nukta hei ki agar istinja ke chitein malum na ho yani smell colour ka Change nehi hua ho toh woh paak hei yeh bhi logical lagta hei lekin isme masla yeh hei ki bata nehi chalta ki colour aur smell change hua hei ya nehi isme kya karna chahiye agar bata na chale kya yeh yaakin nehi hote ki catagory ayega aur isko paak mana ja sakta hei agar yakeen matlab pata hee na ho ki colour aur smell change hua hei ya nehi ? aur yeh nuqta zyada dekhne ko mila hei per mujhe Isme ek hee masla ho raha hei ki mujhe pata kaise chalega ki colour aur smell ka agar bata na ho toh yeh paak kehlayega…? aur mujhbar har bar chitein athi hei toilet me kabhi kabhi sayad Bach bhi jata hu har bar kapdo ko dhona sahi nehi lagta aur yeh mushkil hei aur sahaba aur pehle ke muslim o me bhi aisi pareshani nazar nehi ati kyki meine kabhi nehi suna ki koi sahaba toilet jane ke bad kapdo ko dhoya kadte the chitein girne ke wajeh se…

  • ashif ahmed

    Member April 13, 2022 at 11:20 am

    @UmerQureshi baqrah (2:155) We shall certainly test you by afflicting you with fear, hunger, loss of properties and lives and fruits. Give glad tidings, then, to those who remain patient

    tauba 9:24Say: If your fathers, your sons, your brothers, your wives, your kindred, the wealth that you have gained, the commerce in which you fear a decline, and the dwellings in which you delight … are dearer to you than Allah and His Messenger, and striving hard and fighting in His Cause, then wait until Allah brings about His Decision (torment). And Allah guides not the people who are Al-Fasiqun (the rebellious, disobedient to Allah

    in dono ayat o se aisa lagta hei ki allah logo ki azmaish kar sakte per bata nehi kisko kab karenge allah he janta hei behter agar mujhe aisa lage ki yeh mujper azmaish ho rahi ho phir bhi me asani ki aur jaou jaise ki mera 2 maslo me musaqqat ki bat kar raha hu apse 1St / napaki ko saf karna jaise ki hum discuss kar chuke hei aur 2nd/ gas incontinence agar mein Mazur ho jawu tab bhi agar asani ki taraf jaou kya yeh in do ayat o se mujhe apne Jaan o maal ka zyada fikar karna hoga mujhe confusion ho raha hei ki agar musaqqat nehi hei toh yeh 2 ayat me toh jo hei yeh kya bayan hei

    • Umer

      Moderator April 14, 2022 at 6:36 am

      In dono Ayat ka talluq hum sai nhi hain, yai dono Rasul kai sahaba sai mutaliq hain, jis ka talluq rasul sai mutalliq aik khas ibtila kai qanon sai hai .

      “…A specific form of this law (i.e. ibtila) comes into play in the times of the rusul (Messengers) of God. At the behest of the Almighty, their propagation culminates in the worldly Judgement of their addressees and those who claim to profess faith in these messengers are, during the course of this propagation, put through certain trials and tests which are generally not faced by others. Consequently, the Quran says:

      أَحَسِبَ النَّاسُ أَن يُتْرَكُوا أَن يَقُولُوا آمَنَّا وَهُمْ لَا يُفْتَنُونَ وَلَقَدْ فَتَنَّا الَّذِينَ مِن قَبْلِهِمْ فَلَيَعْلَمَنَّ اللَّهُ الَّذِينَ صَدَقُوا وَلَيَعْلَمَنَّ الْكَاذِبِينَ (٢٩: ٢-٣)

      Do people think that once they say: “We believe [in the rasul]”, they will be left alone and not be tried even though We [similarly] tried those who lived before them. So God will surely set apart the truthful, and He will also surely set apart the liars. (29:2-3)

      Once the Messengers of God communicate the truth to their addressees to the extent that they are left with no excuse to deny it, this test manifests itself to isolate and discriminate the believers and the disbelievers before the latter are punished. The words of the above quoted verses: فَلَيَعْلَمَنَّ اللَّهُ الَّذِينَ صَدَقُوا وَلَيَعْلَمَنَّ الْكَاذِبِينَ (29: 3) (So God will surely set apart the truthful, and He will also surely set apart the liars) refer to this very reality. The implication is that before the judgement is delivered it is clearly known where each person stands. At certain other places in the Quran too, this law and practice of God is mentioned with similar emphasis:

      وَلَنَبْلُوَنَّكُمْ بِشَيْءٍ مِّنَ الْخَوفِ وَالْجُوعِ وَنَقْصٍ مِّنَ الأَمَوَالِ وَالأنفُسِ وَالثَّمَرَاتِ وَبَشِّرِ الصَّابِرِينَ الَّذِينَ إِذَا أَصَابَتْهُم مُّصِيبَةٌ قَالُواْ إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ (٢: ١٥٥-١٥٦)

      We shall test you with some fear and some famine and some loss of property and life and some loss in produce [from the fields]. And [O Prophet!] give glad tidings [of success in this world and in that to come] to those who persevere [in this cause]. [Those] who when afflicted with some calamity say: “We belong to God, and to Him [one day] we shall return.” (2:155-156)”

      (Excerpt from Meezan: Javed Ahmed Ghamidi)

      (Translated by Dr. Shahzad Saleem)

  • ashif ahmed

    Member April 14, 2022 at 7:01 am

    baqarah 155-156 kya yeh aj ke musalmano ko per lagi nehi hoga aur kya aj ke musalmano ko yeh ayat o se samjhya nehi ja sakta ki dekho quran me yeh ayat me aisa aya hei toh hamein sabr karna chahiye ya allah ne aisa sab ke liye hee bola hoga

    • Umer

      Moderator April 14, 2022 at 7:08 am

      Uska siyaq o sibaq parh kai pata lag jata hai kai uska taluq hum musalmanon sai nhi hai.

  • ashif ahmed

    Member April 15, 2022 at 3:59 pm

    @UmerQureshi

    aur ek baat 2 din se sab thik sal raha tha asanak aj mujhe phirse yeh waswasa me a gaya hu mujhe lag raha hei mein ocd ka patient ban gaya hu ab me confirm hu lekin is ocd ke sath lad raha hu per mujhe majeed aur kuch batein zyada is ko badhwa de raha hei ajj me jab toilet me gaya tha ab mosquito mere as pas ud raha tha aur kuch jakein gandagi me beth gaya tha peshab jagah per aur wapas akar mujhe bite karne ke liye akar mere pairo per aur mere body me beth raha tha ab is mamle me kaise bacha jaye kya me body ke woh parts napak kehlaya jayega me bimar ho chuka hu lagata hei mere liye dua bhi kare

    • Umer

      Moderator April 16, 2022 at 6:53 am

      Aap kisi achay doctor sai bh raabta karain, OCD kai elaj kai liya bhot techniques available hain. Us sai bhot farq paray ga.

      Allah apki madad farmaye.

      In khalayat ko dimagh main mat aanay dain, agar aayne toh ignore kar dain.

      Islam itni choti choti details main jaa kar logon ko mushkil main nhi daalta.

      Us machar sai apko kuch nhi hoga.

  • ashif ahmed

    Member April 16, 2022 at 8:01 am

    shukriya bhaijaan @UmerQureshi

  • ashif ahmed

    Member November 8, 2022 at 3:13 am

    assalamualaikum alaikum

    mera ocd toh thik ho gaya hei lekin

    kuch batein confusion ho rahi hei

    darasal agar mein koi napaki ko dhota hu toh chiteein toh ayega hee ham ya toh usko ehtiyat karke kam chiteein lage yeh kar sakte hei yeh science ki bhi khilaf hei aur aqal ke bhi khilaf hei

    example agar mere chest par kisi baby ne peshab kar de jo agar me pani baha du us hisse par toh yakinan chiteein toh niche girgar pero par aur bathroom ke dusre jagahon par lagega is mamle mein phir me pura bathroom ko dhona padega yahir ignore kar de.. kyki napak hee honge aise koi rules nehi hei kyki normal insan chiton ko dhyan nehi deta amm tor par am log isko Pak hee samajhte hei … meine jitna observed kiya hei

    please is bat ka bhi jawab de de kyki mere sath jab bhi aisa hota hei tab mei body ke sath jaga jaha cheetein lag jata hei us par bhi pani Marta hu toh pani bohot waste ho jata hei aur aisa bhi hota hei ki phir un chitein ko pani marte waqt ho chiteein lagte hei unka bhi napak samajhta hu

    baki sab thik hei kapdo aur baki baswasa dur ho raha hei bas yeh confusing hei Jo body par aise jagah lagte hei jisko dhone se chitein jor e gir kar felta hei hei

    • Umer

      Moderator November 10, 2022 at 10:12 pm

      Is par bh wohi asool lago karain kai mehaz chentain par jana napaki nhi hai jab tak apko yaqeen na hoo kai yai napak cheentain hi hain, sirf cheentain par gae hain toh unhain ignore karain. Laikin agar poora yaqeen hai kai yai napak cheentain hain tab unhain saf karain, shak ki bunyad pai in cheenton ko ignore karain.

You must be logged in to reply.
Login | Register