Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Food Of Nazar Nayaz

  • Food Of Nazar Nayaz

    Posted by Rimsha on December 26, 2022 at 12:20 pm

    AOA

    Ghair ALLAH k nam pe nazar kya gya khana nahi khana chahye wo haram hota ha najaiz ha. jis ny wo khana nazar kya ghair ALLAH k us ny shirk kya kya agr kisi ny wo khana kha lya kya us ny bhi shirk kya, wo us ma hisa dar hai? ya us ny haram khaya?

    is video ma Janab javed Ahmad ghamidi ny kaha kiun k aik musalman shirk nahi kry ga tu is lye wo ye khana nai khaye ga is ka mtlb samj nahi aya kya wo shirk kry ga agr us ny kha lya? Kiun k abi tak jo maine sekha us k mutabiq tu aisa khana haram tha lakin khane wala shirk nai krta? please clear kr dijye Janab Javed Ahmad Ghamidi ki is pe kya rai hai

    Umer replied 1 year, 11 months ago 2 Members · 4 Replies
  • 4 Replies
  • Food Of Nazar Nayaz

    Umer updated 1 year, 11 months ago 2 Members · 4 Replies
  • Rimsha

    Member December 26, 2022 at 12:41 pm
  • Umer

    Moderator December 26, 2022 at 11:08 pm

    Ji aisa hi hai, woh khana Haram hoga bilkul aisay hi jaisay kisi mushrik ka zabeeha haram hoga, us sai khanay wala khud mushrik nhi ban jayega laikin woh haram khana khanay kai gunnah ka murtakib zaror hoga:

    Is par hum kafi tafseel sai guftagu kar chukain hain. Yai discussions doobara daikh lain aik dafa aur phir koe aur sawal hoo in main sai toh zaroor poochain:

    Discussion 50621

    Discussion 45824 • Reply 45833

  • Rimsha

    Member December 27, 2022 at 4:57 am

    Jee bilkul theek hai aur ye Janab Javed Ahmad Ghamidi ne is video main jo kaha is ka mtlb samjh nahi aya muje kya unka kehne ka matlb ha ye ha khane wala b shirk kry ga? is video ma unhon ny aik sawal k jawab ma jo kaha us ki bhi wazahat kr dijye please. kiya wo bhi ye he keh rahe hain jo ap ne kaha ya wo shirk karar dy rhy hain

    • Umer

      Moderator December 28, 2022 at 8:21 pm

      Agar woh usi aiteqad kai sath khaa raha hai jo ghairullah kai naam par nazar karnay walay ka hai, toh woh us shirk main shamil hai. Laikin agar sirf woh usay khaa baitha hai laikin aisa aiteqad nhi rakhta toh phir woh haram khaa raha hai laikin shirk nhi kar raha.

      Isko aisee misal sai samjhain kai agar yehi khana kisi shirk karnay walay ki taraf sai aata so ailaniya shirk karta hai, toh agar aap muslim hotay huay woh khana khaa lain gi toh aap sai shirk ka irtikab nhi hojayega laikin woh khana zaroor haram thaa khanay kai liya. Yahan par khanay kai tazkiya aur tasmiya ki sharait poori nhi hue aik musalman kai liya jis sai woh khana khanay kai liya haram hai, na kai shirk ka irtikab hogaya hai us musalman sai.

You must be logged in to reply.
Login | Register