Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Why Is Ghamidi Sahab's Viewpoint Regarding Meraj Different From Others?

  • Why Is Ghamidi Sahab's Viewpoint Regarding Meraj Different From Others?

    Posted by MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER on February 18, 2023 at 3:03 pm

    Ghamdi sahab farmaate hain ke me’araj safar Haqeeqat hai liken ye bedaari ki halat me nahi balke kwab me hua tha! Jab ke digar ulama k istedalal bhi Qur’an hi hai jo sabit karta hai ke meraj bedaari me Hui thi aur is par tamaam fuqaha ka aiima ka ittefaq hi nahi balke bila shubah ijma hai.To phir Ghamidi sahab ki rai aur tafseer sub se munfarid q? Kya maazi koi ek bhi jaiyad tabai,fiqh,muhaqqiq,ya alim guzre jo safar e me’araj ko kwab ka manzar batate hain? 23objections ki series me mohatarm ka yaqeenan umda istedalal hai liken muqtlif ulama k ek hi lafz k muqtlif mafahim sunkar mazeed pechidgi badrahi hai mafhom konsa sahi hoga?

    Isliye agar koi batasakte hain Mazi k jaiyad koi mufassirien se b yehi mauqaf sabit hai to Kam as kam dil par itmenaan paaega k Ghamidi sahab ka mauqaf bid’ati ya Naya mauqaf nahi hai

    Faisal Haroon replied 1 year, 2 months ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply

You must be logged in to reply.
Login | Register