Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Zakat On Savings Made For Constrction Of A House

Tagged: 

  • Zakat On Savings Made For Constrction Of A House

    Posted by Atiq Ur Rehman on March 6, 2023 at 8:37 am

    May her saal ramzan may gold wagaira ka zakat daita hoon laiken abi may nay kuch paise jama kie ghar banany k lie abi os pay saal nahi guzra laiken ramzan anay wala hay to kia os pay zakat daina paray ga or dosra hosakta os paiso pay Eid ko ghar may kam karlo .thankks in advance

    Umer replied 1 year, 1 month ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Zakat On Savings Made For Constrction Of A House

    Umer updated 1 year, 1 month ago 2 Members · 1 Reply
  • Umer

    Moderator March 11, 2023 at 5:42 am

    Maal ki zakat kai liya us par saal guzarna zaruri nhi hai, balkai saal ka aik din jo zakat kai liya mukhtas kiya hua hai, us tareekh ko jitna maal hai us main sai Nisab wali amount nikal kai aur zaati zaroraton ki cheezain nikal kai, baqi pai 2.5% zakat nikal li jayegi. Chunkay zaati zaroraton ki cheezain zakat sai mustasna hain, toh is main woh wali savings bh mustasna hongo jo kisi zati zarorat kai liya ki gae hon jaisay kai ghar bananay kai liya savings etc.

    Mazeed tafseel kai liya neecahy wala thread daikhain aur us main share kiya gaye links mulahiza karain:

    Discussion 46487

    Yai sirf maal ki zakat ka tazkara hai, paidawar ki zakat is sai alag hai, chunkay sawal sirf maal ki zakat ka thaa toh paidawar ki zakat wala topic discuss nhi kiya gaya is jawab main.

You must be logged in to reply.
Login | Register