Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Bani-Ismail And Responsibility Of Shahdah

Tagged: 

  • Bani-Ismail And Responsibility Of Shahdah

    Posted by Saiyed juned Alimiya on March 25, 2023 at 6:23 am

    According to gamdi sir, 3 chize bani ismail ikhtiyar kare unity,teconstrion of religious & ilm o akhalaq me bartari to phir wo allah ki maiyat ko pa sakte he,in marahil me kya qital ki nobat ho sakti he,mean rasul ki sahadat me to qetal tha,ye sahdat isase alag possible he!,second thing ye he ki ab ka daur nooh ke bete yafas ki aulad yajuj & majuj ka daur he,mukasifa ke mutabik ab yehi log qyamat layege, ye baate janneke baad bani ismail ka roll kya rehta he? Isko kese samje

    Saiyed juned Alimiya replied 1 year ago 3 Members · 16 Replies
  • 16 Replies
  • Bani-Ismail And Responsibility Of Shahdah

    Saiyed juned Alimiya updated 1 year ago 3 Members · 16 Replies
  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 25, 2023 at 6:27 am

    Second thing ye bhi he ki jis tarah bani israil ko do daur mile the,wese hi do dour hum ko bhi mil chuke he,mean ab qyamat hi baki he,isko kese samje?ab kya hamara roll koi baki bhi he?

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 26, 2023 at 3:36 am

    ?

  • Umer

    Moderator March 26, 2023 at 9:41 pm

    Quomon kai uruj o Zawal ka qanoon alag hai jis kai mutabiq yafit ki aulad ko ab uruj hasil hai aur Quran kai mutabiq unhi yajuj majuj ki takht kai andar sai hi Qiyamat namudar hogi. Laikin Bani Ismail ya zuriyat-e-Ibrahim ka qanun alag hai, jis main agar woh in sharait ko pura karain toh yaqeenan khuda ki maiyat ka zahur unkai sath hoga. Iska qatan yai matlab nhi hai kai woh poori dunya par hakumat hasil kar lain gai, laikin baharhal unko aisa ghalba zarur hasil ho sakta hai jis sai khuda ki maiyat ka zahur nazar aa jaye sari dunya ko.

    Laikin shahdat ki zimmadari unhain har surat nibhani hai aur woh Quran phonchanay ki zimmadari hai, chahay ghalba hai ya nahi hai.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 26, 2023 at 11:30 pm

    Is mathale me qital ki offensive sakal nahi ho gi balki defensive sakal ho gi?

    • Umer

      Moderator March 26, 2023 at 11:32 pm

      Qital ab sirf zulm kai khilaf ho sakta hai. Qital ki doosri surat itmam-e-hujjat kai baad khatam hoo chuki hai, jiska taluq nabi (Sws) kai itmam-e-hujjat sai thaa.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 27, 2023 at 12:12 am

    Ji jazakomullah

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 27, 2023 at 12:15 am

    Mean quran pahuchane ki dawat me koi country ya apni hi country ke kuch log ya government rol lagati he to aehle iman ka kya roll hona chahiye?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar March 27, 2023 at 1:00 am

    غامدی صاحب نے اپنی کتاب میزان میں قانون دعوت میں عام اہل ایمان کی ذمہ داری امر بالعمروف اور نہی عن المنکرکی بتائی ہے۔ اس سے بڑھ کو کوئی ذمہ داری لینا چاہے تو سعادت کی بات ہے، لازم نہیں۔ البتہ بنی اسماعیل پر لازم ہے کہ عالمی سطح پر دعوت قرآن سے ذریعے سے دے۔

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 27, 2023 at 2:11 am

    According to gamdi sir asal bani ismail wo he jo aehle arab he hum log iman laye he is liye unke tabe he,sawal ye he ki jo aehle arab se hijarat karke ajamiyo ki bich aa basa ,uske roll me kuch difference aayega, din ki dawat ke hawale se? Dusara sawal he ki kya kisi aehle arab ko unki zamin kitani bhi paresani aaye chodani nahi chahiye is mansab ki wajese jo aehle arab ko diya gaya he? Agar kisi ne ye zamin ko choda he to kya wo allah ke yahe jawabdeh hoga??

    • Umer

      Moderator March 27, 2023 at 11:14 pm

      Yai zimmadari ijtimai satah pai ba-haisiyat quom ada karni hai bani ismail ko, yai infiradi zimmadari nhi hai. Issi qanon kai tehat jazeera numa arab ko baqi adyan sai paak rakhnay ka hukam hai takay yai khitta tawheed ka markaz ban kai rahay aur poori dunya kai liya aik markaz ki haisiyat rakhay aur isi tarah shahdah ka kaam injam daina bh bh mozun hoojaye. Jab tak ijtimai satah pai yai zimmadari ada hoti rahay, tab tak chotay motay infiradi maamlat sai kuch nhi hota.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 27, 2023 at 2:16 am

    Mean jo aehle arab he,woh bani isaril jis tarah apani jagah me wapas huwe,aesa Amal hona chahiye sahadat ki is responsibility ki waja se?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar March 29, 2023 at 5:56 am

    جی ہاں اگر بنی اسمعیل کو بالفرض عرب سے نکال دیا جائے تو انھیں پھر وہاں واپس آ کر اپنی ذمہ داری ادا کرنی ہے۔

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 29, 2023 at 12:02 pm

    Ji,lekin jo family ne hijarat karke zajira e arab ko chod chuki he unki aulad ko kya phir se waha Jana chahiye,mean ye hijarat ka unko Jawab Dena padega,ye koi bada gunah banega is responsibility ke sabab?

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 29, 2023 at 12:06 pm

    Second sawal ye he ki bani ismail world ke kisi bhi place me ho,unka mamla aam ummat se different hoga responsibility ke context me??

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar March 29, 2023 at 9:48 pm

    اس کا جواب عمر قریشی صاحب نے دے دیا ہے۔ ملاحظہ کیجیے۔

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 30, 2023 at 12:21 am

    Ji jazakomullah allah amno aman me rakhe

You must be logged in to reply.
Login | Register