Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Remedies And Wearing Gemstone For Evil-Eye

  • Remedies And Wearing Gemstone For Evil-Eye

    Posted by Rimsha on April 1, 2023 at 4:05 pm

    Assalamualaikum

    Kya Nazar lagne k ilaj k lye bary kehte hain mirchain 7 bar sar par se war lo Nazar utar jati hai. Yah chini war lete hain ya is tarh k aur totke … Kya aisa krna theek hai ilaj k lye aisa Kuch Azma sakte hain? Janab Ghamidi Sahab se aik sawal Kya gya Nazar se bachne k lye gemstone pehne k bary main k agr ye samj kar pehna jay k ALLAH PAK ne is main ilaj rkha ho skta ha tajurbe ki bunyad pe tu Kuch scholars ka kehna ha ye shirk hai tawez ya amulet pehna….agr mirchain wari ja sakti hn ilaj k lye tu phir gemstone ya evil eye amulet kiun nai pehn sakte ya tawez

    Thori confusion ha kindly guide kr dijye

    JAZAK ALLAH

    Umer replied 1 year, 8 months ago 3 Members · 18 Replies
  • 18 Replies
  • Remedies And Wearing Gemstone For Evil-Eye

    Umer updated 1 year, 8 months ago 3 Members · 18 Replies
  • Daniyaa Khan

    Member April 1, 2023 at 6:39 pm

    Unhon ne aik video ma mirchain Jala kr warne ki nafi nai ki lakin kaha shirk na ho bs ye khayal rkhna ha har tadbeer main. Tu Kya ye ilaj metaphysical nahi hai Yani maawra e asbab he hai na humain sabab tu pta nahi k mirch warne se Kya Hoga kis tarh kaisy kaisy Kya hota ha aur Nazar utarti ha baron Sy suna ha logon k tajurby hain k ilaj aisy b hota ha tu Kya aisy ilaj Kya ja Sakta ha ya ye superstition ma aye ga? Aur qayas hoga yeh Yani qayas kr k Amal kr lya tu Kya ye shirk ha matlb superstition aur speculation dono aik he cheez hain dono shirk hain ya alag alag mtlb ha

  • Umer

    Moderator April 2, 2023 at 1:01 am

    As long as it is based on some observation and experimentation (even in raw form at times), then it can be adopted but with extreme caution so that one does not slip into realm of speculation or superstition.

    Please see for details:

    Discussion 80466

    Discussion 58074

  • Rimsha

    Member April 2, 2023 at 6:45 am

    Janab Ghamidi Sahab k jawab se lag raha ha wo gemstone ko pehne se mana kr rhy hain k na Deen ma ye bt ha na scientifically proven ha. Lakin uper kaha gya hai k superstition na krain tu pehn sakte hain

    2- Kya Nazar lagne se bachne k lye locket pehna ja Sakta ha logon ka kehna ha is se Nazar nahi lagti ye science tu nai hai lakin log kehte hn

    3- Jo asal sawal tha k mirchain warne yah cheeni warne se b Nazar utar jati hai Kya aisa Kya ja Sakta hai?

    Kiun k jb Nazar lagna khud science nahi bana tu uska ilaj kaisy scientifically hoskta hai lakin Nazar lagne ko hum mante hain Janab Ghamidi Sahab ne kaha logon ka tajurba ha ye darwaza band nai kr skte

    Main samjh nahi paa rhe ap please Kuch asani kr k samjha sakte hain sb aik dosre se conflict mehsos ho Raha hai confuse kr rha hai

  • Rimsha

    Member April 2, 2023 at 6:47 am

    Humare Ghar main Nazar lagne pe mirchain ya cheeni wari jati hai Kya ye shirk hai? K is se Nazar utar jati hai lakin us ka scientifically source aur effect nai pata k kaisy kaisy Kya Kya hota hai aur mirch ya cheeni se Nazar ka ilaj hota ha log kehte hain k is se Nazar utar jati ha tu Kya ye Kya ja Sakta hai?

  • Rimsha

    Member April 2, 2023 at 6:58 am

    Aur sir aik aur bat k is video ma gemstone wali Janab Ghamidi Sahab ne kaha is ma na Deen ma koe bt ha na science ha lakin Nazar lagne k bary ma unhon ne k logon ka tajurba ha isko b ilm ki tarh dekhana chahye rad nai krna chahye wrna ilm ka darwaza band hojay ga. Tu phir gemstone k Bry ma aisa kiun kb jaiz lag raha jawb se kbi mana krte hove mehsos ho rhy hn isko kiun ilaj nai samjh sakte ye b tu tajurba hoskta ha

    Mazrat chahti hn ma samjh nai Pai

    Aur mirch ya cheeni waarne se mutaliq zaror batye ga

  • Umer

    Moderator April 2, 2023 at 11:56 pm

    Jahan tak nazar lagnay kai tasawwur ka talluq hai:

    1) Hum logon kai aik doosray par nafsiyati asrat ka mushahida kar saktay hain, isi sai nazar ka qayas bh kiya jata hai.

    2) Phir Quran sai bh in nafsi asrat kai shawahid miltay hain aur Quran hamaray liya aik zariya-e-ilm hai, jaisa kai Quran 12:96

    3) Teesra logon kai amumi mushahidat hain jo kai aik informal si ilmi riwayat ki haisiyat rakhtay hain.

    Yai sab awamil mil kar Nazar kai tasawwur ko mehaz superstition ya speculation nhi rehnay daitay, balkay ab yai tehqeeq aur ilm ka darwaza kholnay ki dawat daitay hain. Isi bina pai nazar lagnay kai tasawwur ko utha ka rad nhi kiya jaa sakta.

    Jahan tak nazar kai totkay hain un main bh yai tamam pehlu malhuz-e-khatir rehnay chaiyai, chahay woh koe bh tareeqa hoo, gemstone, ya mirch ka istemal etc. Agar un main yai tamam pehlu kisi na kisi darjay main mojud hain, toh unka istemal kiya ja sakta hai. Laikin agar koe bh pehlu mojud nhi hai, toh yai andha aiteqad hoga aur isi ko superstition kehtay hain aur is sai bachna chaiyai.

    Aur us sai agay barh kar is sab main kisi bh qisam ka shirkiya pehlu aajaye ag toh phir toh woh sarihan Haram hi hoga.

  • Rimsha

    Member April 3, 2023 at 12:06 am

    Lakin ye totky bary buzurg logon k tajurby hain kehte hain k Nazar ka ilaj ho jata ha tu Kya isko ilaj k lye Krna jaiz ha? Kiun k jaisy Apne kaha lehaza malhoz rehna chahye ilaj ma b tu ilaj se mutaliq tu Quran main Kuch nai hai aisy totky jaisy Nazar lagna logon k tajurby ki cheez ha waisy he ilaj b tu Kya agr Kisi ko lagy Nazar lagi ha tu Kya aisa is tarh ilaj Kya ja Sakta ha jaiz hai? Lakin ilaj samjh kr he k ilm ALLAH ka ha Sehat b us ne deni ha ho skta ha ALLAH ne is ma ilaj rkha ho

    Kiun k ye science nai tu khatmi tor par tu Kuch nai keh sakte jaisy Kari botion se pehle ilaj k Bry ma Kuch nai keh sakte thy…

    Hum in totko k Bry ma b nahi jante k kaisy kaisy asar hota lakin ka mehz tajurby ki bena k logon se suna ha ilaj hota is se tu Kya ja Sakta hai?? Lakin shirk shamil na ho ALLAH ki tarf he sb Kuch ho k ALLAH he theek krne Wala ha ilaj b us ka rkha ha agr hai tu

    • Umer

      Moderator April 3, 2023 at 12:13 am

      Jari boti sai bh ilaj tajarbay aur mushahiday ki bina pai hota thaa, na kai mehaz maan lainay sai.

      Agar apkay tajarbay aur mushahiday sai yai baat apko kuch na kuch ilmi satah pai theek lagti hai kai in totkon sai faida hua hai logon ko, toh aap yai totkay adopt kar sakti hain. Bas aik crticical factor agar aap zehen main rakhain gi toh kisi bari ghalti sai bach jayengi, woh yai hai kai aapko bas yai pata hoo kai in totkon ki koe na koe ilmi bunyad mojud hoo, ilmi bunyad sai murad scientific bunyad nhi, balkay kuch tajarba ya mushahida bh usay supprot kar raha hoo aur kuch ilmi riwayat bh. Bilkul hi baibunyad cheez na hoo.

  • Rimsha

    Member April 3, 2023 at 12:18 am

    Aik aam admi ya jaisy humre Yahan mothers krti hn bache ko Nazar lag jay tu Ghar ki bari kehti hn aur humre Yahan tu boht common ha mirch ya cheeni Sy Nazar utarna tu wo mother ilmi rawayat tu us waqt nahi dekhti haan ye ho Kya ja Sakta hai try kr k dekha jay k logon ka tajurba ha suna ha k aram ajata ha Nazar utar jati ha tu try Kya jay agr waqai lagy ye ilaj krti hai tu theek ha humra tajurba thek ha agr na kry tu nai krna chahye koe aur ilaj dekhana chahye tajurby ki bunyad pe tu ye he Kya ja Sakta ha aik aam admi ya Ghar ki aurat ye tehqeek kr LY k agr ilaj ho tu thek na ho tu bs ankhain band kr k us ko phir b krty na Raha jay balky koe aur ilaj dekha jay

    Darust??

    • Umer

      Moderator April 3, 2023 at 12:21 am

      Ji aisa ilmi rawaiya hi hona chaiyai aur yai durust rawaiya hoga.

  • Rimsha

    Member April 3, 2023 at 12:21 am

    Bht mazrat k sth sir lakin Kiun k ye kehne ma phir b asani lagta ha ilmi tehqeek kry phir tajurby aur mushahidy ki bunyad dekhe aur ye sb lakin sch tu hai log itna sb nai krte main ye ni keh rhe k theek hai

    Asal ma shirk bht bara masla ha is lye ma janana chahti hn k agr in se ilaj jaiz ha agr shirk shamil na Kya jay kiun k Janab Ghamidi Sahab ne b is k jawab ma kaha ye jitne b ilaj tajurby he hn bs shirk shamil nai hona chahye tu main confuse hn agr shirk shamil na Kya jay phir masla samjh nai arha kiun k jis insan ko yah us k qareebi ko Nazar lag jay wo tu sb se pehle ilaj he dekhta ha Kisi ne bta dya ye krlo wo krta ha k shaid sch ma thek hojay

  • Rimsha

    Member April 3, 2023 at 12:26 am

    Jee bilkul thek ha aur aik last sawal k agr koe imkan ki bunyad pe ilaj kry maslan jb koe bemar hota ha ya aisa lagta ha Nazar lagi ha aur wo aisy ilaj ko follow krta rhy totky Yani k…lakin ilaj samjh kr he Kya phir b shirk ha ye ghair ilmi rawaya tu ho skta ha Kya sth shirk b hai?

    • Umer

      Moderator April 3, 2023 at 12:36 am

      Main sirf apko yai bata sakta hun kai is conext main do baton sai bachna hai:

      1) shirk

      2) auham

      agar aik shaks in sai bach raha hai toh ain deen ki mansha kai mutabiq chal raha hai. Laikin agar in main sai kisi aik ki bh jantay boojhtay khilaf warzi kar raha hai toh kabira gunnah ka irtikab kar raha hai.

      Baqi insan nai isko apni zindagi main khud lagu kar karna hai. Mujhay koe aa kai yeh kehday kai mujhay nazar lagi hai toh main us baat ko shugal main ura dunga, kyunkai aaj tak aisay claims mainay apnay upar sabit hotay nhi daikhay. Jab koe mazbut dalil samnay aa jayegi toh usko sanjeedgi sai bh liya jayega. Nazar ka hona apnay andar dalail rakhta hai, laikin yai baat yaqeen sai keh daina kai kisko nazar waqae lagi hai, koe paimana nhi mojud. Is liya iska ilmi hal yahi hai, jis sai banda auham sai bh bach jaye, kai agar koe scientific ilaj bh insan kai kisi kaam nhi aaraha toh phir insan in totkon ki taraf aa sakta hai jin main kisi qisam ka shirk na hoo.

      ___

      Bagahir kisi waja sai aisay kisi totkay ko follow karna sirf ilaj ki gharz sai shirk toh nhi ban jata jab tak koe auham us kai saath na jur jaye.

  • Rimsha

    Member April 3, 2023 at 12:40 am

    Bagahir kisi waja sai aisay kisi totkay ko follow karna sirf ilaj ki gharz sai shirk toh nhi ban jata jab tak koe auham us kai saath na jur jaye.

    Sir is bt ki samjh nai aye Kya shirk aur auham alag alag cheezain hain ya auham he shirk ha aur auham Kya ha

    • Umer

      Moderator April 3, 2023 at 12:46 am

      Auham shirk ki taraf lai janay ka pehla qadam hai, jis main kisi ghairullah ko nafay aur zar samjhnay ka amal shuru hota hai. Is kai baad woh waqt kai saath baqaida shirk ki surat ikhtiyar kar laita hai. Yai bh aik noiyat ka shirk hi hai, laikin marahil ibtida kai hotay hain is main.

  • Rimsha

    Member April 3, 2023 at 12:51 am

    Jee theek hai mtlb totke ko Kya ja skta ha ilaj dosra b krna chahye lakin totka agr ilaj samjh kr Kya jay k ho skta ha jb farq nai para tu Nazar lagi he na ho Baki dobara Kya tu farq par jay k sch ma thek hogya insan k Nazar lagi ho skti hai. Lakin auham nai krna chahye k ye he nafa nuqsan ha ye sochna chahye ye ilaj b ALLAH ne rkha ha aur agr ilaj na ho us Sy kbi tu koe aur ilaj dekhana chahye us pe itkad kr k nahi baith Jana chahye

  • Rimsha

    Member April 3, 2023 at 12:54 am

    Aur duain tu har waqt parhi ja sakti hain na apko shak ho k Nazar lagi hai ap aur Kuch nai b krte duain parh skte hain na Nazar k lye

    • Umer

      Moderator April 3, 2023 at 12:56 am

      Ji bilkul.

You must be logged in to reply.
Login | Register