Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Epistemology and Philosophy Every Good And Every Affliction That Comes Is From Allah

  • Every Good And Every Affliction That Comes Is From Allah

    Posted by Mohammad Hasan on April 9, 2023 at 2:51 am

    Jaise bhai achi aur buri taqdeer allah k trf se to ise murad kya h kya kya h mtlb thoda explain kr dijye mtlb jaise kuch acha huya to allah k trf se h aur jaise bhai kuch bura huya to bhai usme humse kuch glti huyi to bura huya k bura hona tha ya agr hmne sb kuch avhesr krke kar aur phir kuch glt huya to bhai bhai allah k trf se mtlb explain kr dijye

    Umer replied 10 months, 2 weeks ago 3 Members · 29 Replies
  • 29 Replies
  • Every Good And Every Affliction That Comes Is From Allah

    Umer updated 10 months, 2 weeks ago 3 Members · 29 Replies
  • Isabel Ayesha

    Member April 9, 2023 at 3:04 am

    تقدیر کے دو پہلو ہیں، ایک وہ جو اللہ کے ہاں تعین ہے جیسے کہ کسی کی پیدائش و موت کا دن، جگہ اور وقت وغیرہ کسی کے حصّے میں کون سے قرابت دار آئیں گے اور ایسے بنیادی قضا

    نہیں پہنچتی کوئی مصیبت زمین میں اور نہ تمہاری جانوں میں مگر وہ ایک کتاب میں ہے قبل اس کے کہ ہم اسے پیدا کریں بیشک یہ اللہ کو آسان ہے۔۔۔ سورۃ حدید

    اسی طرح تقدیر کا ایک حصّہ اللہ نے انسانو کے لیے خالی چھوڑ دیا ہے کہ وہ اپنی محنت اور فیصلوں سے اسے پر کرے مثلاً اگر کوئی آنکھیں بند کر کے روڈ کراس کرتا ہے اور اسکا حادثہ ہو جائے تو وہ اللہ کو نہیں بلکہ خود کو کوسے گا۔ قرآن میں آتا ہے کہ۔۔۔

    تمہیں جو مصیبت پہنچی وہ تمہارے ہاتھوں کے کمائے ہوئے اعمال کی وجہ سے ہے اور بہت کچھ تووہ معاف فرمادیتا ہے۔

    سورۃ الشوریٰ ۳۰

  • Mohammad Hasan

    Member April 9, 2023 at 3:29 am

    Moderator thoda aur isko explain krde

    • Umer

      Moderator April 9, 2023 at 11:27 pm

      Is thread main di gae videos mulahiza karain:

      Discussion 81899

    • Mohammad Hasan

      Member April 10, 2023 at 1:06 am

      Bhai jaise kisi ki tabiyat kharab h aur wo Doctor k yha nhi gya aur uski maut agyi to bhai aese hi likha tha k jayega to nhi ayegi aur nhi jayega to ayegi aur bhai gya aur jbhi agyi to phir bhai

    • Umer

      Moderator April 10, 2023 at 1:29 am

      Ji aisay hi likha thaa kai jayega toh nhi aayegi aur nhi gaya toh aa jayegi. Aur agar janay kai baad bh aagai toh mumkin hai kai aur kisi jagah koe aisa decision liya hoo jis kai nataij aagay zindagi main nikal aayne. Zandagi main sirf aik factor nhi hota, bhot sai hotay hain, Yai misal sirf samjhanay kai liya di jati hai kai kuch faislay Allah nai hamaray amal par chor diya hain. Unki poori fehrist nikalna toh mushkil hain laikin itna zarur kaha jaa sakta hai tajarbay ki bunyad pai kai aksar is qisam kai nataij hum apnay faislon ki bunyad pai hi agay zindagi main bhugattay hain. Ab Allah ki kahan kahan apni hikmat kai mutabiq mudakhlat hoti hai, yai bh hamaray pass hatmi tor pai jannay ka koe zariya nhi hai. Hamara kam khuda ki jagah par baith kar is qisam kai faislay karna nhi hona chaiai, balkay hamara kaam yai hon chaiyai kai hum kosish kar kai apnay iraday aur ikhtiyar ka theek istimal karain.

  • Mohammad Hasan

    Member April 10, 2023 at 4:09 am

    Bhai jaise maut waqt k waqt muqarrar h jagah time sb sb aur events k lihaz se mtlb jis likha h hamare lihaz se tabdeel hote rhte h mtlb aesa kre to ab ayegi aesa krega to ab ayegi to waqt muqarrar ho jata h

    to bhai maut allah k hath me h isiliye khudakushi haram h mtlb zindagi maut allah k hath me h to bhai jaise koi admi kisi ko qatal kr rha h to bhai jiski jaan gyi uski maut aese hi likhi thi

    • Umer

      Moderator April 11, 2023 at 3:49 am

      Har cheez Allah kai ilm main hai laikin har cheeez usnai apnay ilm ki wajah sai likh nhi di, agar zindagi aur maut ka qanon ‘cause and effect‘ par Allah nai na chilaya hota toh phir to kisi ko bh khudkushi kar kai bh maut na aati. Yai Allah ka hi diya hua ikhtiyar hai jis ki wajah sai Insan apnay apko marnay ka irada kar laita hai aur kar bh guzarta hai.

      Isi tarah jab kisi ko qatal kiya jaata hai, toh yai bh likha hoo sakta hai kai agar yai yai karay ga toh aisay itni zindagi hogi laikin agar koe aur shaks iskai khilaf iqdam kar dai ga toh phir maut jaldi aajayegi.

  • Mohammad Hasan

    Member May 20, 2023 at 6:47 am

    Bhai jaise apne kha k Doctor k pass gya to nhi ayengi aur agr wo Doctor pass gya to nhi ayengi maut to maut ayengi kb

    • Umer

      Moderator May 22, 2023 at 8:21 am

      us surat main aam illat-o-malul (cause and effect) kai asulun par jab madi tor pai jisam kaam karna chor daiga.

    • Mohammad Hasan

      Member May 22, 2023 at 10:35 pm

      Bhai ye batayie maut kin usoolo pr ati h

      Kya tabiyat kharab hone pr ati h maut

      Kya kisi ko bina tabiyat kharab hone pr maut ho ati h

    • Umer

      Moderator May 24, 2023 at 4:47 pm

      Is kai liya aap kisi achay doctor sai rabta karain woh apko tafseel sai bata sakain gai.

    • Mohammad Hasan

      Member May 24, 2023 at 11:06 pm

      Hm ko ap tafseel se ye batadijye k jo maut k kwaath muqarrar h uska mtlb kya h

      Aur hr kisi ko maut kisi na kisi wajeh se ati h ?

    • Umer

      Moderator May 25, 2023 at 7:52 am

      Incidents of the world are either ordained by God or are the natural outcome of the system He created. Both types of incidents are in His knowledge. In this sense, everything is written, but certain things are not his direct ordinance. Same goes for death:

      – God may order someone to be dead, or

      for others their death is a natural outcome of the natural and normal system of cause and effect.

    • Mohammad Hasan

      Member May 25, 2023 at 8:52 am

      Jaise bhai koi kisi bimari ya accident me mr gaya to iska kya mtlb h

    • Umer

      Moderator May 25, 2023 at 8:58 am

      Iska matlab hai hadsay ka shikar hogaya aur uskai jism nai kaam karna chor diya.

    • Mohammad Hasan

      Member May 25, 2023 at 9:00 am

      Nhi to ye kya allah k trf se h k usne kuch aesa kiya to huwa

    • Umer

      Moderator May 25, 2023 at 9:14 am

      In main sai koe aik baat hoo sakti hai jo upar bayan hue hain:

      Discussion 82201 • Reply 83972

  • Mohammad Hasan

    Member May 25, 2023 at 11:14 pm

    Bhai ap ye batayie jaise jo insaan khudkushi krta h to wo isiliye haram h na k allah ne jitni zindagi uske liye likhi usne use phle apni jaan leli

    To iska mtlb to yhi huwa na k waqt muqarrar h jitni zindagi likhi h allah ne itna insaan jiyega

    • Umer

      Moderator May 27, 2023 at 7:37 am

      Khudkushi is liya haram hai kyunkai woh aik nafs ka qatal hai na kai is liya k allah ne jitni zindagi uske liye likhi usne use phle apni jaan leli.

      Tafseel kai liya daikhain:

      Discussion 45127

  • Mohammad Hasan

    Member May 28, 2023 at 1:08 am

    Bhai laikin hmne Ghamidi sahab k ek video dekho thi usme unhone yhi kha tha k jitni zindagi likhi utni

    • Umer

      Moderator May 29, 2023 at 12:03 pm

      Ji woh unhon nai yai kaha hoga kai Allah nai zindagi is dunya kai imtehan kai liya di thii kai insan is imtehan sai guzray aur khudkushi us imtehan sai farar ki rah hai yani Allah ki scheme ki khilafwarzi hai.

    • Mohammad Hasan

      Member May 30, 2023 at 6:11 am

      Acha bhai ye batayie ek video hm dekh rhe the khaalid Zaheer sahab k to unhone usme kha tha zuhur n dagi aur maut allah k hath me ye to kism 100 percent sahi h iman h isme Laikin bhai unhone ye kha jaise koi admi kisi ko marne k koshish krta h goli ya kisi aur cheez se laikin kbhi hota h k wo nhi mar pata kyuki abhi uski maut nhi likhi hoti aur allah ise bacha leta h laikin unhone ye kha k aur agr kbhi koi kisi ko marta h to uski maut to agyi thi Laikin jisne usko mara uska allah k yha ye crime likh diya gya Laikin agr wo usko nhi marta tabhi uski maut usi din hoti koi aur wajeh se heart attack ya koi use

      To bhai iska mtlb to yhi huwa na k maut k waqt muqarrar h

    • Umer

      Moderator May 30, 2023 at 10:04 am

      Iska jawab is reply main hai, issay dobara parhain ghor sai aur phir bh na samamjh aaye toh zarur sawal karain:

      Discussion 82201 • Reply 83972

      ___

      Jo banda goli sai mar gaya ya bach gaya, ho sakata hai khuda nai baraihirast bacha liya hoo ussay ya phir woh dunya kai aam illat-o-malul kai qanun kai natijay main bach gaya hoo, hum nhi keh saktay kai in dono main sai konsi baat hue hogi kyunkai hamaray pass yai jannay ka koe zariya nhi hai. Laikin yai sab khuda kai ilm main zarur mojud hai pehlay sai, laikin woh apnay ilm ko hamaray ikhlaqi daira-e-ikhtiyar main asar-andaz nhi honay daita.

  • Mohammad Hasan

    Member June 1, 2023 at 2:37 am

    To phir khalid Zaheer ne kyu kha aesa jo upar hmne kha h

    • Umer

      Moderator June 1, 2023 at 8:20 pm

      Mainay unki baat nhi sunni toh us par tabsara nhi kar sakta.

    • Mohammad Hasan

      Member June 3, 2023 at 1:53 am
    • Umer

      Moderator June 4, 2023 at 5:25 pm

      Aap upar diyai gaye jawabat ka mawazna kar lain, jo baat behtar samajh aaye woh maan lain aur agar koe baat bh samjah na aaye toh apni tehqiq jari rakhain. Maira jawab wohi hoga jo main upar kafi tafseel sai bayan kar chuka hun, uska khulasa yai hai:

      1) Zindai aur maur Allah kai ilm main hai aur Allah kai izan sai hi aati hai.

      2) Uskai liya ya toh Allah nai maamlat illat-o-malul kai qanun par chor diya hotay hain ya phir kuch insani faislon par, jin kai karnay ya na karnay sai maut ka waqt insan kai lehaz sai agay peechay hoo sakta hai, Allah kai ilm main woh sab pehlay sai mojud hai.

      3) Ya teesra yai hoo sakta hai kai Allah kisi ki maut ka barhirast hukam kar dai apni kisi hikmat kai tehat.

      asal main in main sai kon shaks kis wajah sai mar raha hai, yai jannay ka hamaray pass koe zariya nhi hai. Isko Allah par hi chor daina chaiyai.

  • Mohammad Hasan

    Member June 5, 2023 at 1:15 am

    Bhai jaise mar gya kisi maut agyi maut hogyi to bhai ye kh sakte h h na ki uska waqt itna hi itni hi zindagi thi aese hi likhi thi maut

    • Umer

      Moderator June 6, 2023 at 3:31 am

      Aisa kehnay main kuch ghalat nhi hai kai “us shaks ki itni hi zindagi thii ya uska waqt itna hi thaa is dunya main” kyunkai in baton ki nisbat khuda kai ilm sai hai, laikin yai kehna hamary liya mumkin nhi kai aisay hi likh thaa ya nhi, kyunkai hum nhi jantay kai khuda nai kya likha thaa aur us likhnay main khuda nai us shaks kai apnay amal ki kitni gunjaish rakhi thii ya kitni options rakhi thii jis sai uski maut kai waqt ka taiyun hua hoga.

You must be logged in to reply.
Login | Register