Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Is A Person Dying From Cancer A Martyr?

  • Is A Person Dying From Cancer A Martyr?

    Posted by Sumaiya Ijaz on April 12, 2023 at 4:25 pm

    Assalam o alaikum

    Sir, mera ek sawal hai. Ahadees Saw se maloom hota ha k shahdat k kai darjat han. Kya bemari(cancer) se intiqal kr janay wala insan shaheed ha?

    Or Jahad me shaheed honay k elawa Jo log kisi hadsay ya bemari se shaheed hotay han kya un pur b Allah k wahi inamat nazil hotay han jin ka quran me zikr ha?

    Please Mere in sawalon ka tafseeli jawab de den.

    Shukriya,

    Allah Hafiz

    Sumaiya Ijaz replied 1 year, 8 months ago 3 Members · 13 Replies
  • 13 Replies
  • Is A Person Dying From Cancer A Martyr?

    Sumaiya Ijaz updated 1 year, 8 months ago 3 Members · 13 Replies
  • Ahsan

    Moderator April 13, 2023 at 10:53 am

    Hadith should be understood in the light of Quran. For principles of understanding hadith refer to Discussion 56230

    According to Quran, shaheed is a person who dies on the way of Allah. Plz refer to verses 3:169-172, 22:58-59.

    Hence to be classified as shaheed the person should set out for sake of Allah.

    With this defined, when you refer to hadiths Ahmad (23804), Abu Dawood (3111) and al-Nasaa’i (1846), we can understand that a person who set out for the sake of Allah and dies due to drowning, sickness etc will be considered shaheed.

    Hence, just dying of cancer is not the reason for being considered shaheed.

    Only Allah can decide who is shaheed in real sense as we humans have no instrument to measure intentions of a person.

  • Umer

    Moderator April 13, 2023 at 5:05 pm

    If a person shows patience during severe sickness then that suffering can both become a source of atonement for that persons’s sins and can also make his death a death of a martyr.

    For details, please refer to the two videos of Ghamidi Sahab shared in the following thread:

    Discussion 77950

  • Sumaiya Ijaz

    Member April 14, 2023 at 7:48 am

    Bohat shukriya. Mere sawal k dosray hisay ka jawab b bata den. Kya bemari ya hadsay se intiqal kr janay walay shaheed logon k sath b Allah wesa e mamla rakhtay han jese jahad me shaheed ho janay walay k liye enam o fazail hotay han?

    • Umer

      Moderator April 14, 2023 at 1:56 pm

      Bimari main ya kisi bh qisam ki taklif aur sadmay ki surat main jis shaks nai Allah ki raza kai liya sabar ka muzahira kiya toh us kai liya Jannat ki basharat hai aur uski zindagi bh shahdat ki zindagi hai aur uski maut bh shahdat ki maut hai aur unkai darhat bh shaheed walay hon gai Insha’Allah. Is baat ki taraf ishara khud Allah kai rasul (sws) nai kar diya hai, Mazeed tafseel kai liya upar share ki gae Ghamidi Sahab ki videos mulahiza karain.

  • Ahsan

    Moderator April 14, 2023 at 8:07 am

    Ji bazahir aisa hi mehsoos hota hai ager bimari wagera say mernay wala shaheed hoga tou usay wesay hi inamat milengay.

    Is ka hatmi faisla khuda nay kerna hai. Hum apni mehdood malumat main yeah baat nahi janskty ky kis kay sath kia mamla hoga

  • Sumaiya Ijaz

    Member April 14, 2023 at 8:32 am

    Shukriya apki rehnmai ka.

    Mere bhai ki umer 25 sal thi. Wo 1st match ko Allah k pass chala gya. Ghamdi sahab k lectures follow krta tha or humare ghr or khandan me b us ne kafi logo k concept daleel se thik kiye. Jese k quran tarjumay se parna, deen me ki janay wali bidaton se rokta tha etc

    Mera ek sawal ha mera bhai Hamza job krta tha Usk salary ki amount humare pass ha. Kya us amount me se sadqa kherat krne pur usko ajar milay ga? Or isk elawa hum kya kr sktay han Usk liye ab?

    Shukriya

    • Umer

      Moderator April 14, 2023 at 2:01 pm

      دعا کے علاوہ، یہ کر سکتے ہیں کہ انھوں نے نیکی کے کام کی کوئی وصیت کی ہے تو اسے پورا کیا جائے۔ یہ صدقہ جاریہ بن جاتا ہے ان کے لیے۔ اپنے متعلقین کو نیکی کے جن کاموں پر عمل کرنے کا کہا کرتے تھے، وہ کیے جائیں، یہ بھی ان کے لیے مسلسل اجر کا سبب بن جاتا ہے۔ ان کے ذمے قرض ہے تو اسے ادا کر دیا جائے۔ اگر وہ کوئی خاص صدقہ یا عام صدقہ کرتے تھے تو وہ صدقہ ان کی تنخواہ کی رقم سے کیا جا سکتا ہے۔

  • Ahsan

    Moderator April 14, 2023 at 8:37 am

    May Allah grant him highest place in Jannah and shower blessing on him. Ameen

    @Irfan76 sb or @UmerQureshi sb can give better response to this

  • Sumaiya Ijaz

    Member April 14, 2023 at 2:08 pm

    Bohat shukriya. Allah apko ajar de. Hamza ko duaon me yad rakhiye ga.

    • Umer

      Moderator April 14, 2023 at 2:13 pm

      Ji kyun nhi, Hamza ki shaksiyat hamaray liya bhot izzat kai laiq hai. Kash un sai unki zindagi main mukalma hoo sakta. Laikin aik din toh sab nai Allah ki taraf hi lotna hai.

      Bas ab Allah unko apnay ghariq-e-rehmat karay aur unkai darjat buland karay aur unki saiyyat sai darguzar karay aur aap sab ghar walon ko sabr-e-jamil ata farmaye. Ameen.

  • Sumaiya Ijaz

    Member April 14, 2023 at 2:17 pm

    Ameen sumameen

    Ghamdi sahab ko bohat shoq se sunta tha mera bhai. He is fan of his wisdom and knowledge.

    Sir, khaas or aam sadqa me farq bta den. Shukriya

    • Umer

      Moderator April 14, 2023 at 2:19 pm

      Khas sadqa matlab kisi khas shaks ko ya kisi khas idaray ko sadqa karna. Aur aam sadqa matlab kisi bh zarurat mand ko dai daina. Unka amoomi rujhan jis taraf bh thaa us kai mutabiq sadqa kiya jaa sakta hai.

  • Sumaiya Ijaz

    Member April 14, 2023 at 3:49 pm

    Bht shukriya @uq4454819 and @ahsan

    Allah apko ajar ata kre. Ameen

You must be logged in to reply.
Login | Register