Forums › Forums › Islamic Sharia › Is Offering Eid Salah Mandatory
-
Is Offering Eid Salah Mandatory
Posted by Mohammad Hasan on May 19, 2023 at 6:34 amAurto k liye kya eid k namaz farz h
Umer replied 1 year, 10 months ago 2 Members · 13 Replies -
13 Replies
-
Is Offering Eid Salah Mandatory
-
Umer
Moderator May 19, 2023 at 10:58 amEid ki Namaz kisi par bh farz nhi hai, balkay mustahab hai:
Neechay diya gaye link main Ghamidi Sahab ki video mulahiza karain:
-
Mohammad Hasan
Member May 20, 2023 at 1:37 amBhai ye jo apne link bheja h usme Irfan shab kh rhe h agr Muslim state iska istemam kre kre to farz h
-
Umer
Moderator May 22, 2023 at 8:11 amGhamidi Sahab kai nazdik farz nhi hai, jaisa kai unhon nai video main bataya kai mustahab hai.
-
Mohammad Hasan
Member May 22, 2023 at 10:37 pmTo bhai wo jo hadees h k aur ye bhi eid k namaz me ayengi aur jo haiza aur ye h wo bhi ayengi khutbe sunne to bhai ise to ye farz huyi na
-
Umer
Moderator May 24, 2023 at 4:50 pmYai targheeb ka uslub hai, farziyat ka nhi.
-
Mohammad Hasan
Member May 24, 2023 at 11:00 pmMeri ammi ne hmse pucha kya aurto ko bhi eid k namaz padhna chaihiye to hmne kh diya zarori nhi h sahi kha n
-
Umer
Moderator May 25, 2023 at 7:48 amJi zaruri nhi hai, laikin agar parh lain toh bhot ajar ki baat hai.
-
Mohammad Hasan
Member May 25, 2023 at 11:19 pmTo ghr me pdhe k Eid gah me kyuki iska khutbe bhi dena hota h yha India kii khatoon kha jata h masjid
Aur kya akele bhi padh le
-
Umer
Moderator May 27, 2023 at 7:39 amAgar eid gah jana asan hai toh udhar jaa kai parh lain aur agar nhi jaa sakti toh koe baat nhi. Yai namaz farz nhi hai kai har surat main parhni hai. Waisay ghar main do nafl parhna chahain toh woh bh parh sakti hain.
-
Mohammad Hasan
Member May 28, 2023 at 1:10 amYe farz namaz h k nafil
-
Umer
Moderator May 29, 2023 at 12:04 pmNafal, magar parhna bhot ajar-o-sawab ka bais hai.
-
Mohammad Hasan
Member June 30, 2023 at 1:12 amJb Eid k namaz Nafal h to qurbani Eid k namaz k baad hi hogi to agr nafal hoti to qurbani eid k namaz k baad hi kyu iska mtlb farz huyi Erna agr koi Eid k namaz na padhe to qurbani kr hi nhi sakta
-
Umer
Moderator July 3, 2023 at 2:04 amQurbani ka waqt eid ki namaz kai baad shuru hota hai. Mustahab toh yahi hai kai har qurbani wala eid ki namaz khud parhay aur phir qurbani karay, laikin eid ki namaz hoo janay kai baad Qurbani ka waqt shuru hoo jata hai, aur us doran ki gae qurbani youm-un-nahr ki Qurbani kehlye gi. Waisay koe ba-shaur Musalman aisa kar nhi sakta kai aik nafal ibadat yaani Qurbani toh kar lai laikin us sai pehlay ki ibadat, Eid ki namaz na parhay.
Dusri baat yai kai Kuch nawafil ibadaat hain jo apnay hadud-o-qayyud kai saath ki ki jati hain, jaisay Umra, Aitekaf, Tahajjud ki Namaz aur aisay hi 10th Zulhajja ki Qurbani bh. In hadud-o-qayud sai yai ibadatain farz nhi hoo jatin, balkay nafl hi rehti hain, laikin inko agar koe shaks karna chahta hai toh phir kuch hadud o qayud ka paband rehna paray ga. 10th Zulhajja ki Qurbani kai liya woh shart eid ki namaz hai.
Akhri baat yai kai kuch mustahab amaal aisay hain jo farz toh nhi hain laikin unko jan bujh kai chorna saghira gunnah ka baes banta hai. Mairay mutabiq eid ki namaz bh jan bujh kai chorna isi qabeel ki cheez hai.
-
Sponsor Ask Ghamidi