Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Is Offering Eid Salah Mandatory

  • Is Offering Eid Salah Mandatory

    Umer updated 9 months, 3 weeks ago 2 Members · 13 Replies
  • Umer

    Moderator May 19, 2023 at 10:58 am

    Eid ki Namaz kisi par bh farz nhi hai, balkay mustahab hai:

    Neechay diya gaye link main Ghamidi Sahab ki video mulahiza karain:

    Discussion 69005 • Reply 69030

  • Mohammad Hasan

    Member May 20, 2023 at 1:37 am

    Bhai ye jo apne link bheja h usme Irfan shab kh rhe h agr Muslim state iska istemam kre kre to farz h

    • Umer

      Moderator May 22, 2023 at 8:11 am

      Ghamidi Sahab kai nazdik farz nhi hai, jaisa kai unhon nai video main bataya kai mustahab hai.

    • Mohammad Hasan

      Member May 22, 2023 at 10:37 pm

      To bhai wo jo hadees h k aur ye bhi eid k namaz me ayengi aur jo haiza aur ye h wo bhi ayengi khutbe sunne to bhai ise to ye farz huyi na

    • Umer

      Moderator May 24, 2023 at 4:50 pm

      Yai targheeb ka uslub hai, farziyat ka nhi.

    • Mohammad Hasan

      Member May 24, 2023 at 11:00 pm

      Meri ammi ne hmse pucha kya aurto ko bhi eid k namaz padhna chaihiye to hmne kh diya zarori nhi h sahi kha n

    • Umer

      Moderator May 25, 2023 at 7:48 am

      Ji zaruri nhi hai, laikin agar parh lain toh bhot ajar ki baat hai.

    • Mohammad Hasan

      Member May 25, 2023 at 11:19 pm

      To ghr me pdhe k Eid gah me kyuki iska khutbe bhi dena hota h yha India kii khatoon kha jata h masjid

      Aur kya akele bhi padh le

    • Umer

      Moderator May 27, 2023 at 7:39 am

      Agar eid gah jana asan hai toh udhar jaa kai parh lain aur agar nhi jaa sakti toh koe baat nhi. Yai namaz farz nhi hai kai har surat main parhni hai. Waisay ghar main do nafl parhna chahain toh woh bh parh sakti hain.

    • Mohammad Hasan

      Member May 28, 2023 at 1:10 am

      Ye farz namaz h k nafil

    • Umer

      Moderator May 29, 2023 at 12:04 pm

      Nafal, magar parhna bhot ajar-o-sawab ka bais hai.

    • Mohammad Hasan

      Member June 30, 2023 at 1:12 am

      Jb Eid k namaz Nafal h to qurbani Eid k namaz k baad hi hogi to agr nafal hoti to qurbani eid k namaz k baad hi kyu iska mtlb farz huyi Erna agr koi Eid k namaz na padhe to qurbani kr hi nhi sakta

    • Umer

      Moderator July 3, 2023 at 2:04 am

      Qurbani ka waqt eid ki namaz kai baad shuru hota hai. Mustahab toh yahi hai kai har qurbani wala eid ki namaz khud parhay aur phir qurbani karay, laikin eid ki namaz hoo janay kai baad Qurbani ka waqt shuru hoo jata hai, aur us doran ki gae qurbani youm-un-nahr ki Qurbani kehlye gi. Waisay koe ba-shaur Musalman aisa kar nhi sakta kai aik nafal ibadat yaani Qurbani toh kar lai laikin us sai pehlay ki ibadat, Eid ki namaz na parhay.

      Dusri baat yai kai Kuch nawafil ibadaat hain jo apnay hadud-o-qayyud kai saath ki ki jati hain, jaisay Umra, Aitekaf, Tahajjud ki Namaz aur aisay hi 10th Zulhajja ki Qurbani bh. In hadud-o-qayud sai yai ibadatain farz nhi hoo jatin, balkay nafl hi rehti hain, laikin inko agar koe shaks karna chahta hai toh phir kuch hadud o qayud ka paband rehna paray ga. 10th Zulhajja ki Qurbani kai liya woh shart eid ki namaz hai.

      Akhri baat yai kai kuch mustahab amaal aisay hain jo farz toh nhi hain laikin unko jan bujh kai chorna saghira gunnah ka baes banta hai. Mairay mutabiq eid ki namaz bh jan bujh kai chorna isi qabeel ki cheez hai.

You must be logged in to reply.
Login | Register