Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Youth and Islam Are 40 Levels Of Ishq Related To Ishq

Tagged: 

  • Are 40 Levels Of Ishq Related To Ishq

    Posted by Daniyaa Khan on June 21, 2023 at 11:37 am

    Assalamualaikum

    “Maine kahain likha parha hai k “ishq” k 40 darjay hain aur sb sy chota darja ha apna sar utar Kr mehboob k qadmon main rakhna.”

    Kya ishq shirk main aye ga? Kya ye Jo Maine parha such main ishq yeh he hai yah mehz poetry yah btain hain yeh shid mulana Rumi ne likha ha.

    Kya aisi poetry parhna yah songs suna yah istamal krna jis main ishq ka istamal ho Kya yeh shirk Hoga yh mehz lafz ha agr aisi cheez sun li jay jis ma ishq ka word ho ya aisi poetry ho tu koe masla tu nahi sanjeeda kiun k phir tu insan ho bht c cheezo. Sy bachna pary ga kiun k ye lafz bht commonly istamal Kya jata ha

    Wazaht kar dijye

    @UmerQureshi

    Umer replied 10 months, 1 week ago 3 Members · 22 Replies
  • 22 Replies
  • Are 40 Levels Of Ishq Related To Ishq

    Umer updated 10 months, 1 week ago 3 Members · 22 Replies
  • Daniyaa Khan

    Member June 21, 2023 at 11:45 am

    Aur ishq ka word kis my ijad Kya? Kya yeh sirf sufism sy related ha yah har koe istamal Kr skta ha sufism ne ghalat istamal Kya hai?

    Kya yeh love k levels main shamil ha is ka shirk sy koe relation nahi ha yah hai?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar June 22, 2023 at 2:02 am

    اس فورم کا اصول ہے کہ سوال میں حوالہ مہیا کرنا سوال کرنے والی کی ذمہ داری ہے۔

    دین میں عشق کا لفظ استعمال نہیں کیا جاتا۔ کسی بندے سے محبت خدا کی محبت سے مختلف ہوتی ہے اس لیے یہ شرک نہیں۔ شرک خدا کی ذات یا اس کی صفات یا اس کی عبادت میں کسی کو شریک ماننے سے ہوتا ہے۔ اس قسم کے خیالات کا دین کے واضح پیغامات سے کوئی تعلق نہیں۔

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar June 22, 2023 at 2:04 am

    انسان سے محبت کے مختلف روپ ہیں۔ ان میں سے جنس مخالف سے محبت ہونا بھی فطری بات ہے۔ ایسے جذبات کا اظہار شاعری وغیرہ میں کیا جاتا ہے وہ بھی درست ہے اور دین اس پر کوئی پابندی نہیں لگاتا جب کہ بات فحاشی کا بے حیائی کے زمرے میں نہ چلی جائے۔

  • Daniyaa Khan

    Member June 22, 2023 at 2:21 am

    Ma mazrat chahti Hun Kuch poche Gye sawalat k jawabat Baki hain. Aur ma samjh nahi paye yeh bt

  • Daniyaa Khan

    Member June 22, 2023 at 2:57 am

    Jaisy yeh lafz kis ne ijad Kya Kya sufism ne ghalat use Kya normally iska istamal Kya ja sakta hai?

    Kiun k sar kat Kr qadmon ma rkhana tu shirk Hoga na k apna sir ALLAH k Siwa Kisi k samny rkhana yah phir ye mehz poetry yah writing work ha. Agr ishq ko explain he aisy krty tu phir iska istamal ghalat Hoga Deen k lehaz se…yah phir har insan Apne lehaz se writing ma Jo chah raha likha rha

    Main samjh nahi pa rhe

    Apki bat thek ha yeh shirk nahi ha lakin phir is ko kaisy samjhain gy is ka istamal tu bht common ha

    Tu yeh cheezain ghalat kiun nahi samjhi jati

    @UmerQureshi Sir

    Ap bhi apna jawab share kijye ga

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar June 22, 2023 at 3:07 am

    اس پر تحقیق کی ضرورت ہوگی کہ پہلی بار کس نے عشق کا لفظ اختیار کیا۔ البتہ آپ نے جو حوالہ دیا وہ شاعرانہ بات ہے۔ شاعری میں مبالغہ شاعری کا حسن ہوتا ہے اسے حقیقی معنی میں نہیں لینا چاہیے۔ کوئی حقیقی معنی میں لے گا تو اسے غلط ہی سمجھا جائے گا۔

    یہ لفظ اب عام شاعری کا حصہ ہے اور استعمال ہوتا ہے اور اس میں کوئی حرج نہیں

  • Daniyaa Khan

    Member June 23, 2023 at 2:25 am

    @UmerQureshi sir

    Ap bhi is pe wazaht farma dijye mare samjhna asani hojay ma samjh nahi Pai

    Boht shukria

    • Umer

      Moderator June 23, 2023 at 11:14 pm

      Ishq ka lafz kisi deeni maaghiz main istemal nhi hua balkay uskai muqablay main mohobbat kai lafz ko tarjih di gae hai jis main insan aqli faislay kai tor pai kisi cheez ko apnay azeeztar rakhta hai (Quran 9:24, Quran 2:165). Lafz-e-Ishq ka istemal deeni maamlat main yaqeenan mubalgha hai, aur behtar toh yahi hai kai is sai bacha jaye, laikin agre koe istemal karta bh hai toh zayada sai zayada tawajjo dilaye jaa sakti hai, koe hukam nhi lagaya jaa sakta.

      Agar lafz-e-ishq ka istemal mujarrad kisi shaks kai liya hoo raha hai toh us par bh koe hukam nhi lagaya jaa sakta. Agar lafz-e-ishq ka istemal khuda kai muqablay main kisi cheez ko zayada azeeztar kar kai kiya jaa raha hai, toh woh shirkiya rawaiya kehlaye ga, aur agar lafz-e-ishq ka istemal khuda kai muqablay main kisi aur kai liya bator mabud istemal hoo raha hai ya bator khuda kai khalq-o-amar main sharik kai tor pai, toh woh yaqeenan shirk kehlaye ga.

      Raha sawal kai ishq kai kitnay darjay hain waghaira, yai sab romanvi baatain hain aur yaqeenan in baton ka deeni tasawwurat kai andar shuyu main tasawwuf ka bh amal dakhal hai.

      Neechay diyai gaye thread main videos bh daikhain:

      Discussion 77704

  • Daniyaa Khan

    Member June 24, 2023 at 3:01 am

    Sir Apne Yaha farmya agr lafz ishq ka istamal ALLAH k muqabaly ma Kisi cheez ko Aziz tar rkhne k lye istamal horha tu yeh shirk ya rawaya ha lakin yeh sawal Maine pehle kbi post Kya tha tu Janab Ghamidi Sahab ki aik video thi us ma unhone Kaha shirk wohi hai jo Maine apni kitab mizan ma bta dya hai k ALLAH ko Kisi ki zat se yah Kisi ko ALLAH ki zat se samjhna…khalq o Amar ma ALLAH k sth shareek thehrana yeh he shirk hai shirkya rawaya yeh he hain jaisy tomhumat ma parhna yah apni tarf se chezon ko halal o Haram qarar Dena.

    Agr ALLAH ki nafarmani ki jay jaisy ALLAH k hukam k agy Kisi dosri cheez ko ehmiyat di jay jb Aisa Kya jay ga tu insan koe ghalat Amal kry ga lakin ye shirk nahi hai na he shirkya rawaya ha

    Lakin abi Apne isko shirkya rawaya Kaha hai yeh tu boht khatarnak surat e haal hai …ma boht pareshan thi lakin Janab Ghamidi Sahab ne jb explain Kya tu samjh Aya…lakin ab phir pareshan hn k yeh tu shirkya rawaya hai jaisy hum aksar Kisi Kam ko ALLAH se Aziz tar rkhte hn Aisa tu har musalman Roz he Kr rha hota ha aur Kuch tu Aziz tar rkh Kr na farmni Kr jaty jaisy koe hukam nai nana tu gunah hogya yeh sb ghalat ha gunah ha lakin shirk yah shirkya rawaya yeh tu boht pareshani ki bt hai sir

    Aisy tu ishq ka lafz poetry ma songs ma writing ma yah bolne ma Jahan b aye ga wo shirk he Hoga lakin Janab Ghamidi Sahab ne is k istamal ko shirk nai Kaha jis ki Kuch wazahat chahti thi ma lakin sir Meri pareshani boht barh Gai ha k Kisi bhi cheez ko Aziz tarh rkhna b shirkya rawaya ha aur yeh lafz b…jaisy bolne yah likhne Wala Apne lover k lye likhta ha ishq, tu ishq tu muhabat se Kuch agle drjay ki cheez ha Kisi cheez k Bry ma obsess hojana tu zahir ha wo lover us waqt apko sb se Aziz hota hai lakin us ka mtlb Khuda banana nahi ha lakin han demag Kam nai krta wo sb sy Aziz hota phir ALLAH k hukam ki na farmani b hojati agr wo kahy tu aur agr uski bt man li tu yeh isko Aziz Kr lya yeh sb gunah ha ghalat ha lakin shirk yah shirkya rawaya bht khatarnak masla ha please madad farmye isko samjhne ma phir tu Roz mara k mamlat ma b masla hojay ga koe cheez b ehmiyat rkhi Kuch zaida tu yeh ghalat hojay ga bht aur yeh is lafz se b kaisy bacha jay har Roz hazaron jaga Sunna parha likha istamal Kya jata ha

    Please wazahat kr dijye

    Boht shukria

  • Daniyaa Khan

    Member June 24, 2023 at 8:13 am

    Main boht pareshani hogai da Gai Hun k yeh shirk ha

    Jb ALLAH ki muhabat se zaida Kisi cheez ki muhabat ho, ALLAH ki muhabat ka zaida hona mtlb ALLAH k hukam ko Aziz tar rkhna jb insan us hukam ko nahi manta yah apni khawahish se zaida muhabat krta ha, yah Kisi dosre insan se zaida muhabat karta ha k uski waja se yah apni khawahish ki waja sy ALLAH k hukam ki khilaf warzi krta hai tu yeh ALLAH ki muhabat pe Kisi dosri muhabat ko Aziz tar rkhna hai tu yeh shirk Hoga? Hum log Roz he ALLAH Maaf kry koe gunah Kr baithte hn yah jaisy Kisi ne Kisi se Milne jna tu namaz nahi parhi yah Apne faidy k lye jhoot bola yah Apne lover k kehne pe jhut bola yah chori ki yah Kisi se is se b bara koe gunah Kr lya ALLAH Maaf kry hum sb ko, yeh sb main sirf apni bt samjhne k lye misalain day rhe Hun, tu hum shirkya rawaya apna rhy hote hn har Roz hum jitne Bry gunah se b bach jayn lakin sb sy bura gunah uska hisa phir b ban rhy hote hain ma boht pareshan hn, lakin Janab Ghamidi Sahab ne Kaha shirk ye ha shirkya rawaya ye hn aur Quran ne ALLAH ki na farmani ko fisq se tabeer Kya hai shirk yah shirkya rawaya nahi,

    Lafz-e-Ishq agr hum poetry ma istamal krte yah songs ma sunte hain yah kahain parhte hn hum b kahain na kahain shirk ka hisa ban rhy hain?? Kiun k ishq tu phir aqal k baghair ha aur muhabat aqal k sth tu ishq ma insan jazbat ma hota ha us shakas k lye Pagal hota hai Kuch b kar sakta hai tu mtlb us ki muhabat Aziz tar rkhi us ne tu ye shirk Hoga. Kiun k songs ma poetry ma movies writing ma koe yeh nahi btata humne ishq se Kya mtlb ly Kr likha ha wo ishq ko istamal krte BS lakin ishq sb ko pata ha shedat, jazbati ha us insan k lye ha had se zaida, aur Kuch Bry Bry writer Rumi, Ganjshakar phir ishq ko Apne Apne hisab se likhte koe kehta ishq ki yeh had ha koe kehtasar kat Kr mehboob k qadmon ma rkhna etc etc lakin ishq ka lafz istamal hota ha phir aik amm insan tu phans gya ha Janab Ghamidi b kehte sb sy muhabat he krni chahye lakin yeh shirk ha yah shirkya rawaya ha is sy parhaiz krain yeh nahi Kaha is lye ma pareshan hogain Hun boht confused hn. ALLAH ki muhabat Beshak sb sy Aziz tar ha aur honi b chahye lakin agr koe Kisi se ishq krne ka dawa krta ha khawa koe peot etc tu ishq tu jazbat had se Bhar Kate tu yeh surt e haal tu Sahi nahi kiun k phir iska istamal aur Aslan krna b shirkya rawaya ha phir Is pe yeh hukam lagy ga? Hum sb is k hisa dar hain? Janab Ghamidi Sahab ne yeh kiun nahi Kaha yah Apne Jo wazahat farmye wo samjh nahi aye aur muj jaisy log tu boht mushkil ma hain phir boht bara masla ha phir yeh tu is ma shirkya rawaya ga masla agya ha

    Rehnumai kijye ta k ma thek se samjh sakon aur pareshani aur iztarab se Nikal sakon

    Boht shukria

  • Daniyaa Khan

    Member June 24, 2023 at 2:21 pm

    Aur Yahan yeh b bht zarori sawal ha kya shirkya rawaiye Ko he shirk-e-khafi kehte hain?

    Aur Kya Asal shirk aur shirk-e-rawaiye dono ki na qabil e maafi hain aur saza abdi jahanum ha…ALLAH Maaf kry hum sb ko

    Ap yaqeen janain sir Maine itne tpics pechle Kuch arsay ma parhy hn aur Deen ka knowledge hasil krne ki Koshish ki ha lakin har chote se chote Amal ma shirk, shirk rawaiye sunne ma arhy hain ma boht pareshan Hun even aik word ka use b itna pareshan Kun hai phir yeh b k agr Apne koe ghalat Kam Kya mtlb ALLAH ki muhabat Yani hukam ko Aziz tar nahi rkha yeh b shirkiya rawaiya ha bilkul insan ko sb se zaida muhabat ALLAH se honi chahye lakin insan is duniya ma boht khatain b Kr baithte ha lakin shirk aur shirkya rawaya tu boht bari bat ha jis ki maafi b nahi aur Jo sb se bara gunah ha. Mare lye yeh sb samjhna boht mushkil horha ha insan jitni b Koshish kry lakin kis Kadar bach skta ha koe na koe khata gunah Kr baithte ha koe dosri muhabat Aziz tar hojati ha aur insan irtakab Kr baithte ha is ma madad farmye aur Janab Javed Ghamidi Sahab ka point of view b zaror share kijye ga please

    Apki boht naiki hogi

    JAZAK ALLAH

  • Umer

    Moderator June 27, 2023 at 12:17 am

    Aap Ghamidi Sahab kai tafseeli nuqta nazar sai poori tarah waqif nhi hain. Baraye meharbani neechay diyai gaye thread main videos mulahiza karain takay shirk sai mutallaq Ghamidi Shaab ka nuqta-e-nazar theek sai wazeh hoo sakay.

    Discussion 37171 • Reply 37172

    Tohmaat, Rayakari, maal-o-dolat ki mohobbat jo insan ko andha kar dai, yai sab shirkiya rawaiyai hain aur Quran Hadith main bayan bh huay hain. Baqi Rawaiyon ko bh inhi par qayas kiya jaa sakta hai. Shirkiya Rawaiyai shirk nhi hotay aur na hi in ka gunnah shirk kai brabar hai, laikin yai shirk ki taraf lai jaa saktay hain aur inka gunnah inki apni noiyat kai hisab sai mukhtalif hoo sakta hai.

  • Daniyaa Khan

    Member June 27, 2023 at 7:08 am

    Jee sir boht shukria Maine tafseel se yeh videos Suni hain Janab Ghamidi Sahab ki,

    1- Tomhumat, RiyaKari, Maal-o-Dolat se andhi muhabat yeh bt tu samjh arhi hai lakin Yaha Janab Ghamidi Sahab ne Hadith ko bayan krte hove k namaz ma dekhawa krte yeh bhi farmya ha k ALLAH PAK kehy ga yeh Banda usi ka Kaha ha ALLAH PAK usko apni bandgi se Nikal dyga, yeh tu Asal shirk wali bat he hai itni he khatarnak surt-e-Haal hai…aur ALLAH se sb se zaida muhabat Yani ALLAH k hukam se muhabat aur hukam ki khilaf warzi Yani ALLAH se zaida Kisi koe Aziz Kya yeh shirkya rawaiya ha, yah ALLAH se zaida Kisi cheez se dar yeh b shirkya rawaya hai is tarh sari musalman ummat is ma mubtala hai ALLAH Maaf kry agr main ghalat Hun,

    2-Main yeh samjh nahi pa rhe shirkiya rawaiya b boht sanjeeda bat ha aur Janab Ghamidi Sahab ne Hadith b bayan ki ALLAH PAK apni bandgi se Nikal dy ga, aik aur Hadith bayan ki jaisy Kuch log aj subha musalman uthy aur Kuch kafir, aur Quran pak ki aik surat shaid surat Tawba yah surat Baqara ko explain krte hove Yaha b bayan ki tha k ALLAH PAK farmata ha in logo ne ALLAH se zaida Aziz rkha ab in kafiron k brabar hain aur in k lye dardnak azab hai, yeh Jahad ka mouqa tha.

    Yeh sb aur dekhne ma aik he lag rha hai saza agr shirk k brabar nahi hai tu phir b bht sanjeeda hai…aur ma yeh farq samjh nahi pa rhe Janab Ghamidi Sahab ne boht Umda Tareeqa se shirk aur shirkiya Rawaiye ki wazahat farmye lakin sth us ki sakhti aur sanjeedgi se yeh he samjh arha ha k yeh agr Asal shirk nahi aur shirk se Kuch zaida Kam bhi nahi.

    3- Aur ab iska itlaq Un surton ma Jo Maine uper pochni chahi us ma kaisy Hoga. Apne farmya yeh shirkya rawaiye hain phir tu chote bary gunah ka maafi ka concept aur shirk se neche ALLAH Jo chahye ga Maaf Kr dy ga yeh sab samjhne ma mushkil horhe hai boht, Janab Ghamidi Sahab ne jaha Mal-o-Dolat ko shirkiya Rawaiye k takhat bayan farmya hai waha bat samjh ATI hai k insan ne samjh lya k yeh sb sirf Meri he mehnat aur qabilyat se ha hamesha mare pas rhy ga Qayamat Ani nahi agr aye tu tb bhi muje mile ga yeh soch samjh ATI hai Yaha yeh b bayan krna chahye tha Duniya ma Jb b ALLAH k hukam khilaf warzi hogi wo gunah nahi Hoga aur b shirkya Rawaiya Hoga jb k Aik jaga sawal Hoga tu Janab Ghamidi Sahab ne Kaha yeh shirk nahi ha shirk wo he ha Jo Maine apni kitab ma bayan Kya yeh fisq ha…waha bhi Janab Ghamidi Sahab farmya sakte thy yeh shirkya rawaiya ha agr yeh Un k nazdeek shirkya rawaiya hota tu….ma bhi boht pareshan hn agr ye shirkya rawaiye ma shamil hai tu boht pareshani ki bat ha

  • Umer

    Moderator June 27, 2023 at 11:08 pm

    1. Ji yai sab shirkiya rawaiyai hain laikin yai aqiday wala shirk nhi hai, toh is par shirk wala hukam nhi lagta. Dusri baat yai kai kuch shirkiya rawaiyai aisay hain jo kai insan ko batadreej shirk ki taraf lai kai jaa saktay hain, is liya aisay sab rawaiyon sai bacha chaiyai. Kuch shirkiya rawaiai kabeera gunnah ban saktau hain, jaisay auham ki pairwi kabeera gunahon main aati hai kyunkai yai aik adat kai tor pa insan ki zindagi ka mamul ban jati hai. Isi Tarah kisi shirkiya rawaiyai main mustaqil mizaji bh ussay gunnah bana sakti hai. Aik do dafa aisa hoo janay kai baad insan ruju kar lai toh phir is ka darja kabira gunnah ka nhi hoo sakta. Is liya shirkiya rawaiyai kai mukhtalif darjaat hain insan kai majmui rawaiyai ko lai kar.

    2. Chunkai shirk aqiday ka mamla hai jiska zahur shirkiya amal main hota hai, isliya uska mamla bhot wazeh hai.

    Shirkiya rawaiyai sab aik jaisay nhi hotay, balkay kuch aqeeday ki had tak pukhta hoo jatay hain jaisay kai hadith main bayan hua jin logon ka sitaron par iman thaa, woh mamla sakht hoo jaye ga, laikin agar abhi baat aqiday tak nhi phonchi, balkau mehaz kuch amal aisay hoo rahay hain, toh unpar tawajjo dilae jayegi, hukam nho lagaya jayega. Aur unka mamla bh kam sakht hoga.

    3. Agar kisi bh cheez ka ishq insan ko us maqam par lai gaya hai jo baagh walay ki misal main bayan hua toh woh shirkiya rawaiya hoga. Iski aur surtain bh hoo sakti hain jaisay kisi kai liya ishq khuda kai hukam kai muqablay main aa jaye. Ibtida main yai shirkiya rawaiya hoga, laikin apni inteha main yai iman kai manafi aik amal ban jayega. Ishq ki had tak kisi ko khuda kai muqabil khara kar dain amumi khilaf warzi kai brabar nhi hoo sakta. Amumi khilaf warzi par yaqeenan iska itlaq nhi hota kyunkai woh kisi bh aam moharik kai tehat hoo sakti hai.

  • Daniyaa Khan

    Member June 28, 2023 at 3:01 am

    1- Tu ishq word Jo humre Yahan amm istamal hota ha jaisy songs ma peotry, writing ma Kya usko Sunna yah aisi koe poetry yah writing share krna yeh shirk yah shirkya rawaiyon ma aye ga? Yah iska istamal Kya jasakta hai? Kiun k Apne Kaha ibdata ma yeh shirkya rawaiya ha inteha ma Iman k munafi…tu aisi koe chez suna parhna share krna yeh sb b Iman k munafi Hoga yah shirkya rawaiye ma aye ga yah isko Kisi AUR tarh samjhain gy??

    • Umer

      Moderator June 28, 2023 at 5:39 am

      Mujarrad iska istemal na shirk hai na hi shirkiya rawaiya, Isko poetry ya dusray literature main istemal karnay main koe harj nhi. Masla tab banay ga jab iska istemal ya jin jazbat kai liya yai istemal hota hai un jazbat ki shiddat insan ko us mqam pai lai jaye jahan woh cheez ya woh shaks jis kai liya ishq kai jazbat hain, insan ko khuda kai muqablay main laa khara karain (sarih nafarmani ki surat main ya aisay kalmat ada karnay ki surat main jo shirkiya noiyat kai hon ya us sai miltay jultay).

  • Daniyaa Khan

    Member June 28, 2023 at 5:50 am

    LLakin sir yeh word istamal ki is lye Kya jata is ma had se zaida koe cheez hoti mtlb Jo cheez muhabat ma soch samjh Kr har aik ki muhabat ko jaisy ALLAH ki us k Baad jis jis ki Unko Un k hisab sy ehmiyat dena hota lakin ishq ma Aisa hota he nahi yeh istamal he aizy jazbat k lye hota jis ma obsession, passion out of control bht zaida shidat Kisi cheez ki bayan Krna hoti….aur dosri bt yeh bhi k fun ma Yani poetry ma songs ma in cheezon ma tu har bt ko barha charha Kr bayan kya jata Jo keh lein k writing ki beauty hai direct agr shirk bola yah likha ja rha ha Jo k ghalat ha yah aisy kalamat kahy ja rhy Jo arih shirk hn wo Beshak ghalat ha lakin har poetry har songs ko pehle is tarh samjha jay ga k yeh kis level ki bt horhe ha Yahan Kya bayan krna maksad ha

    Yeh tu mushkil nahi hojay ga

  • Daniyaa Khan

    Member June 28, 2023 at 5:51 am

    Aur sarih nafarmani sy Kya Murad ha nafarmani tu nafarmani ha jb insan koe b hukam ALLAH ka nahi man rha wo nafarmani he ha

  • Daniyaa Khan

    Member June 28, 2023 at 5:57 am

    Aur agr ma janab Ghamidi Sahab se uper pochy Jane wale sawal ki tafseel janna chahti hn tu kis tarh unse pocha jasakta ha koe Tariqa mumkin hai?

    Main mutmain nahi Hun mind confused haai sawalat se aur main aik br Janab Muhtram Ghamidi Sahab se jawab chahti Hun ta k mind clear hosaky

    • Umer

      Moderator June 28, 2023 at 6:03 am

      Yai wala event jab open hoga toh is par register kar lijiya ga time pai. Wahan aap baraihirast Ghamidi Sahab sai sawal pooch sakti hain:

      Discussion 85121

  • Daniyaa Khan

    Member June 29, 2023 at 4:38 am

    Jee boht shukria

    JAZAK ALLAH

    • Umer

      Moderator June 29, 2023 at 8:55 am

      The event is open for registration.

You must be logged in to reply.
Login | Register