-
Inheritance Share Of Sisters Who Are Married And Well Settled
As salamu alaikum
mei India se hun, mere walid ka ek chhota sa makaan hai jaha hum (mai, mere walid or mere biwi bachhe) rehte hai, meri walida ka inteqal ho gaya hai, meri do behne hai dono shadishuda hai or vo dono unke shohar k khud k ghar me rehti hai.
Mera sawaal ye hai ki mere walid k inteqal k baad mujhe mere walid k makaan me se meri dono behno ko hissa dena padega? Kyon ki ek wahi chhota sa makan hai jaha me or meri family rehti hai or financially me itna mazboot nahi hu k dusra makaan kharid saku or meri jo bhi savings hai vo bachho k liye rakhi hai to agar mujhe mere walid k inteqal k baad meri do behno ko hissa dena pade to mujhe wo makan bechna padega tab hi me meri behno ko hissa de paaunga, or makaan ki kimat k hisaab se mujhe jo hissa milega uss se me dusra ghar nahi kharid paaunga, to iss condition me meri rehnumai farmae
Sponsor Ask Ghamidi