Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Inheritance Share Of Sisters Who Are Married And Well Settled

Tagged: 

  • Inheritance Share Of Sisters Who Are Married And Well Settled

    Posted by KAFIL SAIYED on June 24, 2023 at 5:09 am

    As salamu alaikum

    mei India se hun, mere walid ka ek chhota sa makaan hai jaha hum (mai, mere walid or mere biwi bachhe) rehte hai, meri walida ka inteqal ho gaya hai, meri do behne hai dono shadishuda hai or vo dono unke shohar k khud k ghar me rehti hai.

    Mera sawaal ye hai ki mere walid k inteqal k baad mujhe mere walid k makaan me se meri dono behno ko hissa dena padega? Kyon ki ek wahi chhota sa makan hai jaha me or meri family rehti hai or financially me itna mazboot nahi hu k dusra makaan kharid saku or meri jo bhi savings hai vo bachho k liye rakhi hai to agar mujhe mere walid k inteqal k baad meri do behno ko hissa dena pade to mujhe wo makan bechna padega tab hi me meri behno ko hissa de paaunga, or makaan ki kimat k hisaab se mujhe jo hissa milega uss se me dusra ghar nahi kharid paaunga, to iss condition me meri rehnumai farmae

    Umer replied 10 months, 1 week ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Inheritance Share Of Sisters Who Are Married And Well Settled

    Umer updated 10 months, 1 week ago 2 Members · 1 Reply
  • Umer

    Moderator June 26, 2023 at 4:42 am

    Agar walid sahab apni zindagi main koe faisla nhi karkai gaye ya phir koe wasiyat nhi kar kai gaye toh us surat main behnon ko lazman hissa daina paray ga kyunkai yai hissay Allah nai muqarrar kardiyai hain.

    Aap isi surat main apnai Walid kai ghar reh saktay hain agar aap ki behnain apni marzi sai apkai haq man apna hissay chor dain, ya uski payment delay kardain aur apko mohlat dai dain apnai raza mandi sai.

You must be logged in to reply.
Login | Register