Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Epistemology and Philosophy Fear Of Temptation On Topic Of Veil (fitnay Ka Andaisha)

Tagged: ,

  • Fear Of Temptation On Topic Of Veil (fitnay Ka Andaisha)

    Posted by MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER on July 30, 2023 at 3:16 pm

    Jab kabhi ulama aur fuqaha ki rai di jaati parde ya dusre mauzu par to wo ek lafz ka baar baar istemal karte Hain (fitne ka andesha) is se muraad kya hai? Baaz dafa koi wahem me aakar apne khaas maa aur bahen ki taraf b khauf khata hai k kahi ye laad shehwat ki taraf se to nahi?

    To kya ye khauf insan k liye andesha hai fitne ka? Ya phir kisi ko ye wazeh mahsoos hoon k XYZ Amal hi Jo qareb karega badkari ki taraf aur yahi wo cheez hai jise tabeer digai( fitne ka andesha)

    MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER replied 9 months, 1 week ago 3 Members · 4 Replies
  • 4 Replies
  • Fear Of Temptation On Topic Of Veil (fitnay Ka Andaisha)

  • Umer

    Moderator July 31, 2023 at 8:18 am

    Iski behtar tojih woh ulema-e-karam hi dai sakain gai jo yai istilah istemal kartay hain. Ghamidi Sahab nai aisay alfaz parda kai hawalay sai nhi kahay.

    Following discussion will be helpful to get their perspective in the context of Fitna:

    https://youtu.be/x-Op1GVcWTQ

  • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

    Member July 31, 2023 at 8:26 am

    Bil umum har ulama kahte hai farahi ulama bhi ! Aur urf e aam me bhi!

    To iski asl istelah kya hai? (Fitne ka andesha) wahemi banke khauf khate rahna ya phir ek clear cut idea bina koi shak k ye cheez burai ki taraf potentially bhejrahi hai?

  • Uwais Subhan

    Member July 31, 2023 at 12:56 pm

    “Baaz dafa koi wahem me aakar apne khaas maa aur bahen ki taraf b khauf khata hai k kahi ye laad shehwat ki taraf se to nahi?”

    Aapki puri baat ka jawab to shayad umer bhai de payenge, lekin aapki yeh baat ke “ye laad shehwat ki taraf se to nahi” is mamle me main apni raye rakhna chahunga psychology ko zehan me rakhe to har orat se muhabbat me mard ki sexual psychology bada role play karti he, khuwah voh orat uski maa, bahen, biwi, beti, dadi, etc sabhi se khas muhabbat hoti he uske piche unki ya khud ki sexual pehchan badi vjh hoti he, khuwah voh mard ho ya orat.

    Yeh ek Haqeeqat he halanke har rishte ki had or role hota he, jese maa se rishta alag hota he or biwi se rishta alag hota he.

    Isi tarah maa ko bete se jis tarah ki muhabbat hoti he uske piche us maa ki or us bete ki sexuality role play karti he, isi tarah baap or bete ke rishte me dono ki sexuality chuke same hoti he isliye khas muhabbat paida hoti he.

    Barhaal meri baat galat lage to ma’zrat arz karta hu.

    • MOHAMMAD MOINUDDIN HYDER

      Member July 31, 2023 at 1:17 pm

      @Uwais bade bhai mere sawal ko aur pechida na karein aap!

      Aapne hurmat e musahrat ka masla suna hoga ! Bas usi k baad hi ulama e ahanaaf k nazariye sun kar my khud par mashkook hogaya! Ap ki rai se na k jawab mila balke aur b peechedgi badgai!

      Ulama e farahi se guzarish hai is mamle me rahnumai farmaien

You must be logged in to reply.
Login | Register