Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Youth and Islam Praying For Marriage To The Person You Love

Tagged: ,

  • Praying For Marriage To The Person You Love

    Posted by Omar Javaid on August 4, 2023 at 11:26 am

    Asslam O Alaikum

    I wanted to inquire if we can pray to Allah to break off a person’s engagement with whom we are in love and they love us too. I fell in love with a colleague and they fell in love with me too but she’s engaged and the wedding is in 5 months. The person she got engaged to was of her choice too but solely on the basis of practicality and not any feelings. They had differences and grew apart. Now she loves me and I love her too, not being able to live without each other kind of love but she can’t take a stand in front of anyone because the person was of her choice in the first place and the stigma associated with breaking off a girl’s engagement in the Pakistani society. For me, it’s become like a matter of life and death. I’ve been having panic attacks and not at peace. There’s a constant restlessness and I can’t talk to anybody about it. I’ve praying to Allah to take my pain away but can I pray to Him that we get married as He is Alldoing?

    Abu Talha replied 9 months ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Praying For Marriage To The Person You Love

    Abu Talha updated 9 months ago 2 Members · 1 Reply
  • Abu Talha

    Member August 5, 2023 at 10:40 am

    Aap zaroor dua kar sakte, banda apne Rabb e Kareem se koi bhi dua kar sakta ha, han albatta hame is baat ka khayal rakhna chahiye ki ham rabb-e-kareem se aisi guzarish na karen jo wo khud na pasand karta ho

    Misal k taor par aisi dua karna jiske natije me kisi k sath julm ho, kisi masoom k barbadi or nuksan k liye dua karna takabbor me aake ya jealous feel karne k wajah se, is tarah ki dua karna sahi nahi,

    Ya aisi dua karna jo aam qanoon k mutabiq Allah tala ne namumkin rakha ho, jaise ki ye dua karna ki ae allah mere flah aziz ka inteqal ho gaya hai use wapas zinda karde ya ae Allah mai bilkul budha ho gaya hun mujhe wapas bilkul jawan banade ya ye kahna ae Allah mujhe farishta apni asal surat me dikha de wagaira wagaira

    Iske elawa aap koi bhi dua kar sakte hain ager Allah chahenge to qabool karenge or ager nahi chahenge to nahi karenge

    Shayad aapke zehan me ye aa raha hoga ki kya engagement toot jaane k liye dua kar sakte hain to mere hisab se haan ager wo bhi aapko pasand karti hai to q ki kisi mahaan insan ne kaha tha 2 mohabbat karne walon k darmiyan nikah se bahtar koi cheez nahi ( matlab ki ye baat Allah k akhri paigambar ne kaha tha )

    Aapne ek waqiya suna hoga kafi maroof hai ek sahabia ka nikah unke walid ya chacha ne kisi ameer sahibi se Kara Diya tha bawajood iske ki wo sahabia kisi aur ek gareeb sahabi se mohabbat karti thi, jab ye baat huzoor yani k Allah k rasool k ilm me ai to unhone nikah hi khatm kardiya or un sahabia ka nikah unse kara diya jinhe wo pasand karti thi,

    Sahabia k case me to nikah bhi ho chuka tha phir bhi huzoor ne ise durust nhi samjha or nikah khatm kar diya aapke case me to nikah bhi nahi hua to aap dua q nhi kar sakte zaroor kar sakte hain or karna chahiye

    Hame apne Rabb e Kareem se hamesha dua karte rahna chahiye bhala ham rabb se nahi mange ge to kisse mange ge wo hi to hai sabki sunta hai or hame Allah kabhi na ummeed nahi hona chahiye

    Ager aapko wo mil jae jinhe aap pasand karte hain to isko Allah k shukr ka imtihan samajhyega aur ager ( khuda na kare ) wo aapko na mile to isko Allah k traf se sabr ka ek imtehan samajhyega, Allah Quran me farmate hain insaan ko har wo cheez nahi milti jowo chahta

    Allah shukr karne wale bahot pasand karta hai

    Or Allah sabr karne walon k sath hai

You must be logged in to reply.
Login | Register