Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Are Muslims Directed To Collect, Transmit And Obey Hadith In Quran?

Tagged: ,

  • Are Muslims Directed To Collect, Transmit And Obey Hadith In Quran?

    Posted by Ali Raza on August 23, 2023 at 6:14 pm

    AoA!

    Hadees Muslims ki Roz maraa Zindagi bohat ahmiat ki hamil Hain, ur ham ulmaa ko har bat ya masla ki wazahat ka liay hadees ka istmaal krty suntty ur dakhty Hain.

    Guzishta 15 sadiyoun ma hadees par bohat Kam Howa ur Aaj ya aik ilm ki hisiat ikhtiyar kr Gai Hain. Seha sitta ki ahmiat ur unka moukam Muslims ma bohat buland ha.

    Mara sawal is hawaly Sy ya ha ka: kia Quran ma be Muslims ko ya taqeed ki Gai ha ka wo apny historical record ko tarteeb kr ka, dein samajny ka liay us istafaida karein?

    Quran kahen Nabi (SAW) ko taqeed farmai Gai ha ka wo jamaa e hadees ka hiwaly Sy Muslims targeeb dein?

    Quran ma kahen aya ha ka Quran ko Sahi trhan samajny ka liay hum hadees Sy be istafaida kr sakty Hain?

    Baraay e Karam Quran ki Roshni ma is bat ki wazahat farma dein. Sukriya!

    Umer replied 8 months, 3 weeks ago 3 Members · 3 Replies
  • 3 Replies
  • Are Muslims Directed To Collect, Transmit And Obey Hadith In Quran?

    Umer updated 8 months, 3 weeks ago 3 Members · 3 Replies
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar August 25, 2023 at 5:27 am

    قرآن مجید میں ایسی کوئی ہدایت نہیں۔

    حدیث رسول ایک قیمتی ذخیرہ ہے مگر وہ راویوں کی روایت سے آیا ہے اس لیے اس پرکھنے اور سمجھنے میں تحقیق کرنا پڑتی ہے۔ اس میں جو قرآن کے مطابق درست ثابت ہو جائے اسے قبول کیا جاتا ہے اور نہ اس کی تاویل کی جاتی ہے اور تاویل بھی ممکن نہ ہو تو پھر اسے راوی کا وہم یا غلطی سمجھ کر قبول نہیں کیا جاتا۔

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar August 25, 2023 at 5:29 am

    حدیث بذات خود علم دین کا مستقل ماخذ نہیں بلکہ قرآن پر انحصار کرتی ہے۔ جو بات قرآن اور سنت متواترہ کے مطابق درست ہو قبول کی جاتی ہے۔

    تفصیل کے لیے یہ لیکچر سیریز دیکھیے

    https://www.youtube.com/watch?v=SMuklg6OObs

  • Umer

    Moderator August 25, 2023 at 5:42 am

    Quran main nabi (sws) kai har hukam ki pairwi karna iman ki haqiqat kai tor pai Quran main kae jagah bayan hua hai jaisay kai Quran 49:1-5, Quran 33:36, Quran 4:65, Quran 24:63. Isi sai ulema jaisay kai Imam Shafii nai istambat kiya hai kai Musalmanon par bahasiyat jamat yai zimmadari farz-e-kifaya kai tor pai aaed hoti hai kai woh Hazaoor (sws) kai ehkam jo unhon nai apni zindagi main sadir farmaye unhain jama karain. Yahi wajah hai kai aik groh nai apni poori zindagi is mawad ko akhta karnay main sarf ki.

    Laikin pooray zakheera-e-hadees main asal deen bayan nhi hota balkay deen ki faruhat aur Nabi (Sws) kai ijtihadat bayan hotay hain. Un par tehqiq kai baad agar hum mutmain hoo jaen kai un baton ki nisbat Nabi (Sws) sai theek hai toh un par amal karna hum musalmanon par farz hai.

    Tafseel kai liya daikhain neechay wala thread:

    Discussion 83915

    __

    Also refer to the video below (specifically from 12:09 to 26:09)

    https://youtu.be/cFZuGsjAj5c?si=Xg5UuPNacd8bOZRW&t=729

You must be logged in to reply.
Login | Register