Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Understanding The Meaning Of Jinsi Mamlat Ka Ifshah In Fawahish

Tagged: ,

  • Understanding The Meaning Of Jinsi Mamlat Ka Ifshah In Fawahish

    Posted by Daniyaa Khan on September 11, 2023 at 9:05 am

    Assalamualaikum

    Janab Ghamidi Sahab ne Fawahish ko bayan krte hove Kaha “Jinsi mamlat ka ifshah bhi fawahish hai” Janab Ghamidi Sahab ne Kaha seeing opposite gender with lust, hugging, kissing, touching yeh sb Zina k muqadmaat hain ibtadai noiyaat ky. Jis ko Sadd-e-Zariya k Asool pe mamnuh Qarar diya gya hai… Nudity be fawahish hai aur use agy k mamlat be fawahish hain Yani (Mubashrat) bhi fawahish hy aur aslan mumnuh hai jis k Baad iske ibtadai muqadmaat Yani Sadd-e-Zariya ky acts bhi gunah ka hisa Hun gy agr (Mubashrat) hovi hy tu…Yeh main samjhi Hun Tamam Discussions aur jawabat se….

    Tu Kiya “Jinsi Mamlat ka Ifshah” Jo ky fawahish hy us main Sadd-e-Zariya ky acts bhi shamil hain? Maslan agr koe character drama/Movie main is tarh dekhta hy, touch krta hy tu Kya, yah In short Sadd-e-Zariya ky mamlat us character ka hissa hain Nudity se pehle Yani jaisy Pakistani Dramas main Intimacy scenes hain us main hath pakrte hain yah eye contact dekhaya jata hy husband wife k Character main yah GF BF k character main tu Kiya yeh Fawahish main shamil Hoga k Jinsi mamlat ka Ifshah horha hai? Yah Jb Asal Fawahish Yani Nudity yah Is se agy k mamlat ko publicly dekhaya jay ga tb Fawahish ky zumry main aye ga?

    Aur Jo dramas/Movies main dekhaya jata hai us k lye Logon ko educate Kya jay ga aur Sadd-e-Zariya k Asool pe is se roka jay ga lakin yeh Fawahish ma Shamil nahi Hoga?

    Kiya yeh durust hai iski Wazahat Kr dijye aur agr Ghalati hai tu Waziya Kr dijye

    Umer replied 7 months, 2 weeks ago 3 Members · 3 Replies
  • 3 Replies
  • Understanding The Meaning Of Jinsi Mamlat Ka Ifshah In Fawahish

    Umer updated 7 months, 2 weeks ago 3 Members · 3 Replies
  • Saqib Ali

    Member September 11, 2023 at 11:40 pm

    جی زنا کے معاملے میں اللہ تعالی نے سد ذریعہ کی چیزوں کو بھی ممنوع قرار دیا ہے اس کی وجہ یہ ہے کہ انسان جب اس طرف آوارہ گردی کرنا شروع کر دیتا ہے تو وہ اتنا آگے نکل جاتا ہے کہ اسے پتہ ہی نہیں چلتا اس لیے اس میں شروع سے ہی روک دیا گیا ہے۔

    اب جن چیزوں کا آپ نے ذکر کیا کہ جو فلموں اور ڈراموں میں ہو رہی ہوتی ہیں تو ظاہر ہے یہ چیزیں بھی ممنوع قرار پائیں گے انہی ڈراموں اور فلموں کو دیکھ کر ہماری نسلیں پروان چڑھ رہی ہوتی ہیں فلم اور ڈرامہ اپنی ذات میں کوئی ممنو ع چیز نہیں ہے تا ہم ان میں اگر اس طرح کی کوئی بے حیائی کی چیزیں پائی جاتی ہیں تو وہ غلط ہیں اور انہیں دیکھنے سے ہمیں ممکن حد تک بچنا چاہیے

  • Daniyaa Khan

    Member September 12, 2023 at 5:15 am

    جی یہ بات درست ہے بالکل لیکن معذرت چاہتی ہوں میرا سوال کچھ مختلف ہے یہ غلط ہے اور روکنا بھی چاہیے لیکن میں اسکی تفصیل کسی اور پہلو سے جاننا چاہتی ہوں

    @faisalharoon

    @UmerQureshi

    • Umer

      Moderator September 14, 2023 at 1:55 am

      Aisay tamam maamlaat ko Zina kai itlaqat par Qiyas kar kai samjha jaa sakta hai. Jaisay zina kai kuch muqadmat sadd-e-zariya kai asul par mana hain, isi tarah baqi fawahish kai muqadmat bh sadd-e-zariya kai asul par mamnu tasawwur hon gai. Laikin un muqadmat ka irtikab apni zaat main saghira gunnah hai laikin agar asal jurm ka irtiqab un muqadmat ko bh kabeera Gunnah ka hissa bana dai ga.

      Agar aik jumlay main apkai sawal ka jawab hoo toh inko fawahish ka irtiqab nhi qarar diya jaa sakta jab tak kai jinsi afsha ka maamla khul kai na samnay aa jaye, chahy dialogue ki surat main ya video ki surat main ya article ya song ki surat main.

      Jahan tak Tv dramas ka talluq hai, yai mamlat censorship sai nhi rokay jaa saktay, kuch had tak censorship kaam aati hai laikin asal main aisay tv dramas ka banna is baat ko zahir karta hai kai awam main zina ya fawahish kai mamlat main kuch shaur ki kami waqay hoo rahi hai tabhi unko gawara kiya jaa raha hai, asiay main awam ki taleem-o-tarbiyat zayada eham qirdar ada karti hai.

You must be logged in to reply.
Login | Register