Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Youth and Islam Impurities On Floor

  • Impurities On Floor

    Posted by Ashif Ahmed on December 12, 2023 at 8:38 am

    Mera sawal yeh hei ki kuch din pehle

    Ek chotein bachein ne floor peshab kar diya tha aur meri ammi ne sirf ek bar us jagah ko pehle soak karke geela kapde wipe kar diya

    Yakinan woh jagah toh paak nehi hua hoga

    Aur puri tarah se dry bhi nehi hua tha kuch log waha par pair rakh ghar me yaha waha chal rahe the par jdry ho chuka tha mujhe pata nehi kaha kaha napaki feli hogi toh fir mere walid wet feet se yaha waha chal rahe the toh napaki pero par transfer hua hoga

    Halaki mene sab jagah ko thik se dho diya tha lekin mere walid phir se apne pero ko geela jagah par rakh chal raha tha toh kya mujhe firse sab kuch dhona zaroori hei

    Ashif Ahmed replied 5 months ago 2 Members · 6 Replies
  • 6 Replies
  • Impurities On Floor

    Ashif Ahmed updated 5 months ago 2 Members · 6 Replies
  • Umer

    Moderator December 12, 2023 at 8:52 am

    Nhi, aik dafa agar theek sai safai karli hai toh kaafi hai. Apni tasali kai liya mazeed safai karna chahain toh karlain laikin bunyadi pakeezgi hasil hoo jayegi pehli safai sai.

  • Ashif Ahmed

    Member December 12, 2023 at 9:57 am

    1: Ji actually mera swal yeh tha ki peshab kiye jagah par meri ammi pehle us jagah ko soaked karke dusri geela kapdo se wipe kar diya tha aur us geela jagah par kuch log apne per rakh kar chal rahe the aur kaha kaha napaki feli meine dekha nehi aur bad me sukh jane ke bad mere walid bhi aur ammi bhi floor par geele pero se chal rahe the lekin mujhe pata nehi ki napaki kaha kaha lagi hei toh phir unke bhi pero ko bhi me Napak samjhu ? Halaki mene bad me poori tarah apne tasali se saaf kar diya tha lekin mere walid phir floor par chal rahe the toh kya napaki tranfer hogi kyki unhone pero ko dhoya nehi tha pani se

    2 .Ek aur sawal kya napak floor ko soaked karke floor ko geela kapdo se hee wipe kar ke hamare yaha paak samajhte hei log jabki hadith me ata hei jab masjid me kisi me peshab ki thi toh rasullah s a w ne pani bahane ko kaha tha

    3 kya napak floor dry hone ke baad paak hojata hei jsise ki kai ulma kehte hei napak zameen Dry hone ke baad paak hojate hei

    • Umer

      Moderator December 12, 2023 at 10:45 am

      1 & 2. maqsad pakeezgi hasil karna hai aur is kai liya Islam nai koe khas tareeqa farz nhi kiya laikin pani bahana aur pani sai pakeezgi hasil karna pasand kiya gaya hai. Geelay kapray sai wipe karna bh bunyadi pakeezgi achieve karwa dai ga, Is liya is maamlay main zayada shak main nhi parna chaiyai. Aik dafa soak karkai wipe kardiya hai toh uskai baad koe us par chal raha hai toh us sai koe farq nhi parta.

      3. Yai najasat pai depend karta hai. Kuch najastain aisi hain jo sirf geeli hi najasat ka ehsas daitee hain aur dry honay par loog us qisam ki karahat mehsoos nhi kartay. Laikin kuch aisi najastain bh hoo sakti hain jo dry surat main bh najasat ka ehsas dain. Is main logon ka amumi rawaiya theek hi hota hai fitrat kai mutabiq, shak ki surat main usko daikh laina chaiyai kai loog aap kai irdgird us baray main kaisa mehsoos kartay hain.

  • Ashif Ahmed

    Member December 12, 2023 at 11:33 am

    No 3 apne jaise kaha ki karahat mehsoos hona ji stool wagera jaise napaki dry hone par bhi karahat mehsoos hoti hei lekin

    Kuch geeli napaki jo sukh gaya ho kuch waqt ho gaya ho log unko qarahat nehi mehsus karte kuch log toh napak hee nehi samajhte kyki asaraf wagera nehi rehta

    Toh kya fitrat me jin chizo se qarahat nehi hoti usko ignore kiya ja sakta hei aur of course mein direct napaki ki baat nehi kar raha hu mein un chizo ki bat kar raha hu jaise ki agar geele hatoon se kisi dry impurity jinme asrat nazar ya mehsoos nehi hoti un par hat lag jaye par usme transfer hua ya nehi asrar wagera malum na ho aur qarahat bhi mehsoos na ho un mamlo ko nazar andaz kiya ja sakta hei ??

    • Umer

      Moderator December 13, 2023 at 7:51 am

      Ji bilkul ignore kiya jaa sakta hai balka aisay maamlat ko ignore he karna chaiyai warna khawam khah kai shakook main mubtala hoo jata hai insan.

  • Ashif Ahmed

    Member December 18, 2023 at 4:39 am

    Ek aur sawal agar jism par napaki lagi ho

    Like chest wagera par toh pani se saaf karte waqt toh chitein lag hee jayenge pero par ya bathroom ke tiles o par kya in chiton ko bhi ignore karna chahiye kyki aksar logo ko dekha hei ki napaki ko dhote waqt log chiton se parhez nehi karte aur waise bhi in chiton se bacha bhi nehi ja sakta hei

You must be logged in to reply.
Login | Register